% ISB File: Saveraa_1958.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chhupaa chhupii o chhupii}%
\film{Saveraa}%
\year{1958}%
\starring{Ashok Kumar, Meena Kumari}%
\singer{Lata, Manna Dey, Chorus}%
\music{Sailesh}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor :  Satish Kalra
% Date : 3/21/2003
% Credits  : Nani Wadekar
% Comments : LATAanjali Series

\printtitle
#indian

lataa :  chhuppaa chhuppii, o chhuppii, aaga.D baaga.D jaaii re
         chuuhe maamaa, o maamaa, bhaag, billii aa_ii re
koras :  chhuppaa chhuppii, o chhuppii, aaga.D baaga.D jaaii re
         chuuhe maamaa, o maamaa, bhaag, billii aa_ii re
mannaa : billii bolii myaa.Nv kaahe ghabaraa_o
         mai.n to chalii kaashii gale mil jaa_o
lataa :  o chhuppaa chhuppii \threedots
koras :  lallalalla lallallaa \threedots
mannaa : bam bam bam bam bamabam bam \threedots  myaa.Nv \threedots

lataa :  mat ham ko banaa arii mausii
         tere dil me.n zaruur hai kaalaa
koras :  mat ham ko banaa arii mausii
         tere dil me.n zaruur hai kaalaa
lataa :  kisii aur ko dikhalaa jaake
         ye jog ye ka.nThii maalaa
koras :  kisii aur ko dikhalaa jaake
         ye jog ye ka.nThii maalaa
mannaa : raam kaa naam lo   aa.Nkh se kaam lo
         raam kaa naam lo   aa.nkh se kaam lo
         kal jo huaa thaa   bhuul jaao bhuul jaao
lataa :  chhuppaa chhuppii  \threedots

mannaa : mai.n to raam kii jogan apanaa
         paralok sudhaaran jaa_uu.N
         aaKir to buDhaapaa Thaharaa
         ab lauT ke aa_uu.N na aa_uu.N
lataa :  daa.nt bhii tez tere pa.nje bhii tez hai.n
         daa.nt bhii tez tere pa.nje bhii tez hai.n
         man me.n wahii hai   daav lage to lagaa_o
lataa :  chhuppaa chhuppii  \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{maane na maane na maane na}%
\film{Savera}%
\year{1958}% 
\starring{Ashok Kumar, Meena Kumari}%
\singer{Geeta}%
\music{Shailesh}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor: <Urzung Khan>
% Date: December 16, 2001
% Credits:Prithvi Dasgupta

\printtitle
#indian

maane na maane na maane na 
tere bin moraa jiyaa na maane
aise nainaa.n bhaye re divaane raam
haay raam
maane na maane na maane na

aisii adaa bhaa ga_ii ham se rahaa naa gayaa
mahafil me.n yuu.N aae vo ki un pe ye dil aa gayaa
bin piye hii nashaa chhaa gayaa
maane na maane na maane na \threedots

dekho idhar bhii zaraa ham se sharam kis liye
ham to tere ho chuke tere dil me.n bharam kis liye
ham pe itanaa sitam kis liye
maane na maane na maane na \threedots

ik hii mulaaqaat me.n ye kyaa Gazab ho gayaa
dil ko sambhaalaa magar na jaane kahaa.N kho gayaa
jo bhii honaa thaa vo ho gayaa
maane na maane na maane na \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{nadiyaa ke paanii o re nadiyaa ke paanii}%
\film{Saveraa}%
\year{1958}%
\starring{Ashok Kumar, Meena Kumari}%
\singer{Lata}%
\music{Sailesh}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Abhay Phadnis
% Transliterator: Abhay Phadnis
% Date: Nov 25, 2002
% Comments: LATAnjali series
% Availability: "Rare Gems - Lata Mangeshkar" - HMV release
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

(nadiyaa ke paanii o re nadiyaa ke paanii
chup chup jaiyo sajanaa se kahiyo
bairii bin tere kaise biitegii jawaanii) \-2

(mausam aa_e mausam jaa_e
saajan tum na aa_e) \-2
o bachapan ke miit \-2
tumhaare bin ab rahaa na jaa_e

nadiyaa ke paanii \threedots

(dil tum ko pahachaane lekin
ye a.Nkhiyaa.N bharamaa_e) \-2
in dono.n ke biich \-2
akele ham ta.Dape rah jaa_e

nadiyaa ke paanii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Thaharo zaraa sii der ko aaKir chale hii jaaoge}%
\film{Saveraa}%
\year{1958}%
\starring{Ashok Kumar, Meena Kumari}%
\singer{Geeta}%
\music{Sailesh}%
\lyrics{Prem Dhawan}%

% Contributor :  Ashok Dhareshwar
% Date: Apr 17, 2003
% Credits:  Malini Kanth

\printtitle
#indian

Thaharo zaraa sii der to aaKir chale hii jaaoge \-2
tum hii kaho kare.nge kyaa yaad jo ham ko aaoge
Thaharo zaraa sii der to

mil jaae teraa pyaar to qismat sa.Nvaar le.nge ham \-2
qadamo.n me.n tere zi.ndagi yuu.N hii guzaar le.nge ham
dil me.n naa rakh sake to kyaa nazaro.n se bhii giraaoge
tum hii kaho kare.nge kyaa yaad jo ham ko aaoge
Thaharo zaraa sii der to

qaabil nahii.n hai.n ham tere phir bhii ye hai karam teraa \-2
tujh ko naa paa sake.n to kyaa mil to gayaa hai Gam teraa
aa.Nkho.n se duur jaake bhii dil se naa jaane paaoge
tum hii kaho kare.nge kyaa yaad jo ham ko aaoge
Thaharo zaraa sii der to

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
