% ISB File: Shaahzaadaa_1955.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{Gam na kar zamaanaa aur aayegaa}%
\film{Shahzada}%
\year{1955}%
\starring{}%
\singer{Talat}%
\music{S Mohinder}%
\lyrics{Tanvir Naqvi}%

% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar

\printtitle
#indian

Gam na kar khushii kaa daur aayegaa
Gam na kar zamaanaa aur aayegaa

khatm ho gayii sitam kii daastaa.N
jhuk rahaa hai ab zamii.n pe aasamaa.N
ab na ye ha.Nsii terii rulaayegaa
Gam na kar \threedots

aa gaye hai.n dekho din bahaar ke
din guzar gaye hai.n i.ntazaar ke
duHkh kaa ye samaa badal hii jaayegaa
Gam na kar \threedots

chaar din guZaar de ha.Nsii khushii
aa gayaa vo vaqt jab kii aadamii
Thokare.n nasiib ke na khaayegaa
Gam na kar \threedots

dekhanaa ye raat kaT hii jaayegii
isake baad subah muskuraayegii
ik nayaa jahaaN jagamagaayegaa
Gam na kar \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
