% ISB File: Shama_1961.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aapase pyaar huaa jaataa hai}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiyya}%
\singer{Suraiyya}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 04/15/1997

\printtitle
#indian

aap se pyaar huaa jaataa hai
khel dushvaar huaa jaataa hai

tumane kyo.n pyaar se dekhaa mujhako   \- 2
dard bezaar huaa jaataa hai

is tamanna me.n ki tum doge sazaa, tum doge sazaa
dil gunaahaGaar hu_aa jaataa hai

dil jo har qaid se ghabaraataa thaa, ghabaraataa thaa
Kud hii giraftaar huaa jaataa hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dha.Dakate dil kii tamannaa ho meraa pyaar ho tum}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiyya}%
\singer{Suraiyya}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

\printtitle
#indian

dha.Dakate dil kii tamannaa ho meraa pyaar ho tum
(mujhe qaraar nahii.n) \- 2 
(jab se beqaraar ho tum) \- 2
dha.Dakate dil kii tamannaa ho meraa pyaar ho tum

(khilaao phuul kisii ke kisii chaman men raho) \- 2 
jo dil kii raah se (guzarii hai vo bahaar ho tum) \- 2

(zah-e-nasiib ataa kii jo dard kii sauGaat) \- 2
vo Gam hasiin hai jis (Gam ke zimmedaar ho tum) \-2
dha.Dakate dil kii tamannaa ho meraa pyaar ho tum

cha.Daauu.N phuul yaa aa.Nsuu tumhaare qadamo.n me.n
merii vafaao.n ke (ulfat kii yaadagaar ho tum) \- 2
dha.Dakate dil kii tamannaa ho meraa pyaar ho tum

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil Gam se jal rahaa hai jale, par dhuaa.N na ho}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Nimmi}%
\singer{Lata}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Samiuddin Mohammed <sm0e@lehigh.edu>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 10/25/1996

\printtitle
#indian

dil Gam se jal rahaa hai jale, par dhuaa.N na ho
mumakin hai isake baad koii, imtehaa.n na ho

% (knock knock! "Shama, Shama darwaaza khol do" )
duniyaa to kyaa Kudaa se bhii ghabaraake kah diyaa \-2
vah maharbaa.n nahii.n to koii maharbaa.n na ho
dil Gam se \threedots

luuTaa Kushii ne aag lagaa dii bahaar ne \-2
barabaad is tarah bhii kisii kaa jahaa.N na ho
dil Gam se \threedots

ab to vahii.n sukuu.n milegaa mujhe jahaa.N \-2
ye sa.ngadil zamii.n na ho, aasmaa.n na ho

dil Gam se jal rahaa hai jale, par dhuaa.N na ho

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiya, Nimmi, Vijay Dutt, Kammo, Tuntun, Leela Mishra}%
\singer{Suman Kalyanpur, Shamshad, Chorus}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

sha:	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa \-2
ko:	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa \-2

su:	aapakaa aasaraa mil gayaa \-2
	pyaar ko bhii Kudaa mil gayaa mil gayaa 
	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa \-2

	( chaahataa thaa ye nafarat kaa maaraa jahaa.N
	aa ) \-2
	ek hone na paaye.n zamii.n aasamaa.N \-2
	roshanii kaa a.ndhere me.n ghuT jaaye dam \-2
	chaa.Nd jaane na maane chakorii kaa Gam
sha:	chaa.Nd jaane na maane chakorii kaa Gam
ko:	chaa.Nd jaane na maane chakorii kaa Gam
su:	o
	phuul se duur bha.Nwaraa pa.Daa tilamilaaye \-2
	shamaa tak u.D ke parawaanaa aane naa paaye \-2
sha:	kar ga_ii kaam chupake se niichii nazar
	ho ga_ii dil dha.Dakane kii dil ko Kabar
ko:	ho ga_ii dil dha.Dakane kii dil ko Kabar
su:	ho ga_ii dil dha.Dakane kii dil ko Kabar
	dard ko ek dard\-aashanaa mil gayaa \-2

ko:	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa \-3

su:	le ke aramaan ke din muraado.n kii raat
	Gam kii duniyaa me.n aa_ii Kushii kii baaraat
	hotii jaatii hai.n aabaad tanahaa_iyaa.N
	dil ke nazadiik bajatii hai.n shahanaa_iyaa.N
sha:	dil ke nazadiik bajatii hai.n shahanaa_iyaa.N
ko:	dil ke nazadiik bajatii hai.n shahanaa_iyaa.N
su:	o
	a.nkha.Diyo.n me.n lahakane lage sau chaman \-2
	aarazuu_e.n banii jaa rahii.n hai.n dulhan
sha:	zi.ndagii le chalii hai na_ii raah par
	lag na jaaye kahii.n mujhako merii nazar
ko:	lag na jaaye kahii.n mujhako merii nazar
su:	lag na jaaye kahii.n mujhako merii nazar
	thaa jo qismat me.n usase siwaa mil gayaa \-2

ko:	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa \-3

su:	aa ke mujhako sajaaye sa.Nwaare ko_ii
	guu.nd de mahakii zulfo.n me.n taare ko_ii
	rah na jaaye kamii.n husn kii shaan me.n
	Taa.Nk ko chaa.Nd kore garebaan me.n
ko:	Taa.Nk ko chaa.Nd kore garebaan me.n \-2
su:	ho tamannaaye.n puurii to aaye qubuul
	muskaraaye hathelii pe meha.ndii ke phuul \-2
sha:	haar naazuk sii gardan me.n dil me.n bahaar \-2
	ho mubaarak mohabbat ko solah si.ngaar
ko:	ho mubaarak mohabbat ko solah si.ngaar
su:	ho mubaarak mohabbat ko solah si.ngaar
	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa \-2

ko:	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa \-2
su:	aapakaa aasaraa mil gayaa \-2
	pyaar ko bhii Kudaa mil gayaa mil gayaa 
	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa
ko:	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa

ko:	( dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa
su:	aa ) \-3
ko:	dil gayaa to gayaa dilarubaa mil gayaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ek jurm karake hamane chaahaa thaa muskuraanaa}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiyya, Nimmi, Vijay Dutt}%
\singer{Suman Kalyanpur}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Samiuddin Mohammed <sm0e@lehigh.edu>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 10/25/1996

\printtitle
#indian

ek jurm karake hamane chaahaa thaa muskuraanaa
marane na de mohabbat, jiine na de zamaanaa

ham betaalluqii kii rasme.n nibhaa de.nge
par tum na yaad karanaa, par tum na yaad aanaa

ye sochakar bujhaa dii Kud shamaa aarzuu kii
shaayad ho roshanii me.n, mushkil nazar milaanaa

jab ashk pii liye hai.n, jab ho.nTh sii liye hai.n
tab puuchhatii hai duniyaa, mujhase meraa fasaanaa

ek jurm karake hamane chaahaa thaa muskuraanaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{insaaf teraa dekhaa ai saaqii\-e\-mayaKaanaa}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiya, Nimmi, Vijay Dutt, Kammo, Tuntun, Leela Mishra}%
\singer{Suman Kalyanpur}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

insaaf teraa dekhaa ai saaqii\-e\-mayaKaanaa \-2
ham baiThe rahe pyaase chhalakaa kiyaa 
chhalakaa kiyaa paimaanaa \-2
ham baiThe rahe pyaase chhalakaa kiyaa paimaanaa

ham tazkiraa karate the duniyaa kii jafaa_o.n kaa \-2
kyuu.N tumane nazar badalii kyuu.N kah diyaa diiwaanaa \-2
insaaf teraa dekhaa ai saaqii\-e\-mayaKaanaa
ham baiThe rahe pyaase chhalakaa kiyaa paimaanaa

aa
khud o.Dh liyaa hamane ilzaam mohabbat kaa
haa.N
khud o.Dh liyaa hamane ilzaam mohabbat kaa
dekhaa na gayaa hamase un aa.Nkho.n kaa sharmaanaa \-2
insaaf teraa dekhaa ai saaqii\-e\-mayaKaanaa
ham baiThe rahe pyaase chhalakaa kiyaa paimaanaa

aa
kaafii hai taaruf ye ai shamm\-e\-sar\-e\-mahafil \-2
hai kaam meraa jalanaa aur naam hai parawaanaa

insaaf teraa dekhaa ai saaqii\-e\-mayaKaanaa
ham baiThe rahe pyaase chhalakaa kiyaa
chhalakaa kiyaa paimaanaa \-2
ham baiThe rahe pyaase chhalakaa kiyaa paimaanaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mast aa.Nkho.n me.n sharaarat kabhii aisii to na thii}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiya, Nimmi, Vijay Dutt, Kammo, Tuntun, Leela Mishra}%
\singer{Suraiya}%
\music{Gulam Mohammed}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #12548 [V S Rawat], 10/02/2004
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

mast aa.Nkho.n me.n
mast aa.Nkho.n me.n sharaarat
kabhii aisii to na thii \-2
yuu.Nhii sharamaane kii aadat
kabhii aisii to na thii \-2

ho
ko_ii bijalii hai ki nas\-nas me.n jo laharaatii hai
mujhe kyaa jaane kahaa.N le ke u.Dii jaatii hai \-2
shoK a.nga.Daa_ii qayaamat
kabhii aisii to na thii \-3

dil dha.Dakataa hai to chehare pe nikhaar aataa hai
wo to wo hai use apane pe pyaar aataa hai \-2
jaisii ab hai merii haalat
kabhii aisii to na thii \-3

ho
bahakii\-bahakii hu_ii nazaro.n kaa salaam aataa hai
dil\-e\-betaab Thahar unakaa payaam aataa hai \-2
hai jo ab mujhape inaayat
kabhii aisii to na thii \-3

mast aa.Nkho.n me.n
mast aa.Nkho.n me.n sharaarat
kabhii aisii to na thii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere mahabuub tujhe pyaar karuu.N yaa na karuu.N}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiya, Nimmi, Vijay Dutt, Kammo, Tuntun, Leela Mishra}%
\singer{Suman Kalyanpur}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

mere mahabuub tujhe pyaar karuu.N yaa na karuu.N
pyaar ho jaaye to ikaraar karuu.N yaa na karuu.N
mere mahabuub tujhe pyaar karuu.N yaa na karuu.N

mai.n huu.N tasviir\-e\-Kizaa.N tuu hai bahaaro.n kii bahaar \-2
bas yahii isake siwaa saare hii rishte bekaar
aise hii rishte kaa bhii izahaar karuu.N yaa na karuu.N
mere mahabuub tujhe pyaar karuu.N yaa na karuu.N

chain lene nahii.n detaa dil\-e\-naakaam mujhe \-2
degaa kaahe wafaa kaa ko_ii iinaam mujhe
isii in_aamo.n pe isaraar karuu.N yaa na karuu.N
mere mahabuub tujhe pyaar karuu.N yaa na karuu.N

kuchh na kahane pe bhii har baat kahaa karataa hai \-2
ai ki tuu dil se bhii nazadiik rahaa karataa hai
duur se bhii teraa diidaar karuu.N yaa na karuu.N
mere mahabuub tujhe pyaar karuu.N yaa na karuu.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{unakaa ba.Dhaa jo haath yahaa.N dil luTaa diyaa}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiyya}%
\singer{Rafi}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: Samiuddin Mohammed <sm0e@Lehigh.EDU>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 06/12/1996

\printtitle
#indian

vo saadagii kahe.n ise, diivaanagii kahe.n
un kaa ba.Dhaa jo haath yahaa.N dil luTaa diyaa

aa.Nchal ki oT ho na ho ab nasiib me.n, ab nasiin me.n
mai.nne charaaG aaj havaa me.n jalaa diyaa
un kaa ba.Dhaa jo haath yahaa.N dil luTaa diyaa

ye kaun sochataa hai ke sajadaa qubuul ho, sajadaa qubuul ho
ye kaun sochataa hai kahaa.N, sar jhukaa diyaa
un kaa ba.Dhaa jo haath yahaa.N dil luTaa diyaa

pahale pahal ke dard kii lazzat na puuchhiye, lazzat na puuchhiye
uThii jo dil me.n huuk to, mai.n muskuraa diyaa
un kaa ba.Dhaa jo haath yahaa.N dil luTaa diyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{wo saadagii kahe.n ise diiwaanagii kahe.n}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiyya, Nimmi, Vijay Dutt, Kammo}%
\singer{Rafi}%
\music{Ghulam Mohammed}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% contributor: Animesh Kumar
% Transliterator: Animesh Kumar
% series: Rafi Veritable Gems
% date: mar 21, 2003

\printtitle
#indian

(wo saadagii kahe.n ise diiwaanagii kahe.n)\-2
unakaa ba.Dhaa jo haath yahaa.N dil luTaa diyaa

(pahale pahal ke dard kii lazzat na puuchhi_e)\-2
lazzat na puuchhi_e
(uTThii jo dil me huuk to mai.n muskuraa diyaa)\-2
unakaa ba.Dhaa jo\threedots

(ye kaun sochataa hai ke sajadaa qubuul ho)\-2
sajadaa qubuul ho
(ye kaun dekhataa hai kahaa.N sar jhukaa diyaa)\-2
unakaa ba.Dhaa jo \threedots

(aa.Nchal kii oT ho ke na ho ab nasiib me.n)\-2
ab nasiib me.n
(mai.nne charaag aaj hawaa me.n jalaa diyaa)\-2
unakaa ba.Dhaa jo \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj kii raat}%
\film{Shama}%
\year{1961}%
\starring{Suraiya, Nimmi, Vijay Dutt, Kammo, Tuntun, Leela Mishra}%
\singer{Rafi, Suman Kalyanpur}%
\music{Ghulam Mohammad}%
\lyrics{Kaifi Azmi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

su:	yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj kii raat \-2
	nii.nd kyaa maut na aayegii idhar aaj kii raat

ra:	ishq kii god me.n hai husn kaa sar aaj kii raat
	chaa.Nd se kah do
	chaa.Nd se kah do ke dekhe na idhar aaj kii raat
	dekhe na idhar aaj kii raat
	chaa.Nd se kah do

su:	bam\-o\-dar jaise simaTate se nazar aate hai.n \-2
	kabr se ta.ng hu_aa jaataa hai ghar aaj kii raat

ra:	tum jab aaye ho tab aayaa hai bahaaro.n kaa payaam \-2
	rashq\-e\-jannat nazar aane lagaa ghar aaj kii raat
	chaa.Nd se kah do \-2

su:	kitanii wiiraan hai sunasaan hai duniyaa merii \-2
	dil kii dha.Dakan se bhii lagane lagaa Dar aaj kii raat \-2

ra:	dil\-e\-betaab machalataa hai machal jaane de \-2
	aaj kii raat hamaarii hai na Dar aaj kii raat
	aaj kii raat hamaarii hai na Dar
	ho na Dar aaj kii raat
	chaa.Nd se kah do
	chaa.Nd se kah do ke dekhe na idhar aaj kii raat
	dekhe na idhar aaj kii raat
	chaa.Nd se kah do

su:	dil\-e\-naakaam ye aalam terii maayuusii kaa \-2
	pher lii jaise Kudaa ne bhii nazar aaj kii raat \-2

	yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj kii raat

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
