% ISB File: Shamaa_1981.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa}%
\film{Shamaa}%
\year{1981}%
\starring{Shabana Azmi, Girish Karnad, Aruna Irani}%
\singer{Lata}%
\music{Usha Khanna}%
\lyrics{Zafar Gorakhpuri}%

% Contributor: Ashok Dhareshwar
% Transliterator: Ashok
% Date: 20 Jun 2004

\printtitle
#indian

chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa
 shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii
chaa.N apanaa safar Katm karataa rahaa
 shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii
dil me.n yaado.n ke nashtar se TooTa kie
 ek tamannaa kalejaa masalatii rahii
chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa
 shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii

badanasiibii sharaafat kii dushman banii
 saj sa.nvar ke bhii dulahan na dulahan banii
Tiikaa maathe pe ik daaG banataa gayaa
 meha.ndii haatho.n se shole ugalatii rahii
chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa
 shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii

Kvaab palako.n se gir kar fanaa ho gae
 do qadam chalake tum bhii judaa ho gae
merii haarii thakii aa.Nkh se raat din
 ik nadii aa.Nsuuo.n kii ubalatii rahii
chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa
 shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii

subah maa.ngii to Gam kaa a.ndheraa milaa
 mujh ko rotaa sisakataa saveraa milaa
mai.n ujaalo.n kii naakaam hasarat lie
 umr bhar mom ban kar pighalatii rahii
chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa
 shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii

cha.nd yaado.n kii parachhaa_io.n ke sivaa
 kuchh bhii paayaa na tanahaa_io.n ke sivaa
vaqt merii tabaahii pe ha.Nsataa rahaa
 ra.ng taqadiir kyaa kyaa badalatii rahii
chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa
 shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii
dil me.n yaado.n ke nashtar se TooTa kie
 ek tamannaa kalejaa masalatii rahii
chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa
 shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
