% ISB File: Sharabi_1964.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{kabhii na kabhii kahii.n na kahii.n koii na koii aayegaa}%
\film{Sharaabi}%
\year{1964}%
\starring{Dev Anand}%
\singer{Rafi}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

kabhii na kabhii kahii.n na kahii.n koii na koii to aayegaa
apanaa mujhe banaayegaa dil me.n mujhe basaayegaa

kabase tanhaa Dhuu.NDh raahaa huu.N duniyaa.N ke viiraane me.n
khaalii jaam liye baiThaa huu.N kab se is maikhaane me.n
koii to hogaa meraa saaqii koii to pyaas bujhaayegaa
kabhii na kabhii \threedots

kisii ne meraa dil na dekhaa na dil kaa paiGaam sunaa
mujhako bas aavaaraa samajhaa jis ne meraa naam sunaa
ab tak to sab ne Thukaraayaa koii to paas biThaayegaa
kabhii na kabhii \threedots

kabhii to degaa sannaaTe me.n pyaar bharii aavaaz koii
kaun ye jaane kab mil jaaye raste me.n ham_raaz koii
mere dil kaa dard samajh kar do aa.Nsu to bahaayegaa
kabhii na kabhii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mujhe le chalo aaj phir us galii me.n}%
\film{Sharaabi}%
\year{1964}%
\starring{Dev Anand, Madhubala, Lalita Pawar}%
\singer{Rafi}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: rathore@ece.rutgers.edu <Mohan Rathore>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@hendrix.coe.neu.edu>
% Date: 04/23/1996
% Credits: Vinod Jairaj <vjairaj@blue.weeg.uiowa.edu>
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@hendrix.coe.neu.edu>

\printtitle
#indian

mujhe le chalo, aaj phir us galii me.n
jahaa.N pahale\-pahale, ye dil la.Dakha.Daayaa

vo duniyaa, vo merii mohabbat kii duniyaa
jahaa.N se mai.n betaabiyaa.N leke aayaa
mujhe le chalo \threedots

jahaa.N so rahii hai merii zi.ndagaanii
jahaa.N chho.D aayaa mai.n apanii javaanii
vahaa.N aaj bhii ek chaukhaT tazaa
mohabbat ke sajaado.n kii hogii nishaanii	\-2
mujhe le chalo \threedots

vo duniyaa jahaa.N usake naqsh\-e\-kadam hai.n
vahii.n merii khushiyaa.N, vahii.n mere Gam hai.n
mai.n le aauu.Ngaa khaak us rahaguzar kii
ke us rahaguzaraa kii, to zarre sanam hai      \-2
mujhe le chalo \threedots

vahaa.N ek ra.Ngee.n chilaman ke piichhe
chamakataa huaa usakaa, ruKasaar hogaa
basaa luu.Ngaa aa.Nkho.n me.n vo roshanii mai.n
yuu.N hii kuchh ilaaj\-e\-dil\-e\-zaar hogaa     \-2
mujhe le chalo \threedots

mujhe le chalo, aaj phir us galii me.n
jahaa.N pahale\-pahale, ye dil la.Dakha.Daayaa
vo duniyaa, vo merii mohabbat kii duniyaa
jahaa.N se mai.n betaabiyaa.N leke aayaa
mujhe le chalo \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sochataa huu.N ki piyuu.N ... saavan ke mahiine me.n}%
\film{Sharaabi}%
\year{1964}%
\starring{Dev Anand}%
\singer{Rafi}%
\music{Madan Mohan}%
\lyrics{Rajinder Krishan}%

% Contributor: Vijay Kumar
% Transliterator: Vijay Kumar

\printtitle
#indian

sochataa huu.N ki piyuu.N piyuu.N na piyuu.N
Taak daaman ke siyuu.N siyuu.N na siyuu.N
dekh kar jaam kashamakash me.n huu.N
kyaa karuu.N mai.n jiyuu.N jiyuu.N haay! na jiyuu.N

saavan ke mahiine me.n
ik aag sii siine me.n
lagatii hai to pii letaa huu.N
do chaar gha.Dii jii letaa huu.N
saavan ke mahiine me.n

chaa.Nd kii chaal bhii hai bahakii huii
raat kii aa.Nkh bhii sharaabii hai
saarii kudarat nashe me.n hai chuur
are mai.n ne pii lii to kyaa kharaabii hai
saavan ke mahiine me.n \threedots

% Fast version

baraso.n chhalakaaye mai.n ne
ye shiishe aur ye pyaale
kuchh aa j pilaa de aisii
jo mukjahko hii pii Daale
har roz to yuu.N hii dil ko
bahakaa ke mai.n pii letaa huu.N
do chaar gha.Dii jii letaa huu.N \threedots

lambe jiivan se achchaa
vo ik pal jo apanaa ho
us pal ke baad ye duniyaa
kyaa Gam hai agar sapanaa ho
kuchh soch ke aisii baate.n
ghabaraa ke mai.n pii letaa huu.N
do chaar gha.Dii jii letaa huu.N \threedots

maikhaane me.n aayaa huu.N
mausam kaa ishaaraa paa ke
dam bhar ke liye baiThaa huu.N
ra.ngiin sahaaraa paa ke
saathii jo terii zidd.h hai to
sharamaa ke mai.n pii letaa huu.N
do chaar gha.Dii jii letaa huu.N \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
