% ISB File: Shararat_2001.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{dil kahataa hai jo chaahe.n ham vo kare.n}%
\film{Shararat}%
\year{2001}%
\starring{Abhishek Bachchan, Hrishita Bhatt, Amrish Puri, Om Puri}%
\singer{Sonu Nigam, Chorus}%
\music{Sajid Wajid}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

dil kahataa hai jo chaahe.n ham vo kare.n
dil kahataa hai kahataa hai jo chaahe.n ham vo kare.n
ham naa ko_ii baat sune.n
jo chaahe.n raah chune.n
duniyaa se ham kyuu.N Dare.n
dil he kahataa hai kahataa hai \threedots

khushiyaa.N hamaare li_e hamako nahii.n ko_ii Gam
ma.nzil jahaa.N har gha.Dii chuume hamaare kadam
ra.ng jamaa_e.n ham jahaa.N jaa_e.n
mastii luTaa_e.n mauj manaa_e.n
aavaaragii kii kasam
saaraa jahaa.n ruk jaa_e ambar bhii jhuk jaa_e
jhuum ke ham jab bhii chaahe.n
he he dil kahataa hai jo \threedots

paaba.nd rahanaa yahaa.n ma.njuur hamako nahii.n
aazaad rakhanaa hame.n kahatii hai ye sarazamii.n
ham to likhe.nge aisii kahaanii
hamase misaale.n degii javaanii
hamase hai kal aaj kal
saazo.n kii galiyo.n me.n ghuT ghuT ke yaar mere
jiite jii ham kyuu.n mare.n
dil kahataa hai kahataa hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ek la.Dakii mujhe chaahatii hai magar}%
\film{Shararat}%
\year{2001}%
\starring{Abhishek Bachchan, Hrishita Bhatt, Amrish Puri, Om Puri}%
\singer{Sonu Nigam, Alka Yagnik}%
\music{Sajid Wajid}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

ek la.Dakii mujhe chaahatii hai magar
bolatii kuchh nahii.n mai.n kyaa karuu.n
ek la.Dakaa mujhe dekhataa hai magar
bolataa kuchh nahii.n mai.n kyaa karuu.n

merii tamannaa usako pataa hai anajaan hai vo sab jaanakar
usane to merii duniyaa badal dii usakii mohabbat me.n hai asar
usake binaa ab tanhaa lage hai mujhako merii zi.ndagii
aisaa lagataa hai kyuu.n vaisaa lagataaa hai kyuu.n
aisaa lagane lagaa mai.n kyaa karuu.n
o o

mahasuus har pal karatii huu.N usako vo dha.Dakano.n kaa ehasaas hai
dil kah rahaa hai usako bataa duu.N vo merii saa.Nso.n kii pyaas hai
bas jaa_uu.Ngii mai.n usakii nazar me.n duu.ngii use har khushii
kah rahii bekhudii kab milegii khushii
sharm aa_e mujhe mai.n kyaa karuu.n
ek la.Dakaa mujhe
ek la.Dakii mujhe
ham kyaa kare.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kuchh tum kaho kuchh ham kahe.n}%
\film{Shararat}%
\year{2001}%
\starring{Abhishek Bachchan, Hrishita Bhatt, Amrish Puri, Om Puri}%
\singer{Sonu Nigam}%
\music{Sajid Wajid}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

kuchh tum kaho kuchh ham kahe.n phir ho shuruu ye daastaa.n
ye to kahaanii hai apane pyaar kii
betaab dha.Dakan ke ikaraar kii
dil me.n hai kyaa tum jaan lo
jo ham kahe.n maan lo maan lo jaan lo
kuchh tum kaho \threedots

hosh hai kahii.n naa karaar hai
dard hai ajab saa khumaar hai
o kyaa kare.n diivaano.n saa haal hai
har gha.Dii tumhaaraa khyaal hai
nii.nd bhii aa_e naa raat bhar
Dhuu.NDhatii tumhe har gha.Dii nazar
tumako nahii.n shaayad isakii hai khabar
chaahegaa na ko_ii tumako is kadar
dil me.n hai kyaa \threedots

ham terii baaho.n me.n so ga_e
chain kii panaaho.n me.n kho ga_e
o ik hasii.n suhaanii sii shaam de.n
aa tujhe mohabbat kaa naam de.n
ham sabhii rasmo.n ko to.D de.n
tum kaho to duniyaa bhii chho.D de.n
hoke judaa ik pal naa rah paa_e.nge
ro_e.nge ta.Dape.nge ham mar jaa_e.nge
dil me.n hai kyaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mahakii havaa_o.n me.n chaaro.n dishaa_o.n me.n}%
\film{Shararat}%
\year{2001}%
\starring{Abhishek Bachchan, Hrishita Bhatt, Amrish Puri, Om Puri}%
\singer{Sonu Nigam, KayKay}%
\music{Sajid Wajid}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

he mahakii havaa_o.n me.n chaaro.n dishaa_o.n me.n
nikalaa mai.n aazaad hoke
ma.nzil merii jaane kahaa.n hai mujhako nahii.n hai pataa
dil kahe jhuum luu.n aasamaa.n chuum luu.n

biite din tanhaa_ii ke mastii ke pal aa_e hai.n
yaaro.n is diivaane kii khushiyaa.n vaapas laa_e hai.n
mujhako un viiraano.n me.n lauT ke jaanaa nahii.n
huu.n meraa unase bhalaa ab hai kyaa vaastaa
jo milii har khushii dard hai kis baat kaa
he he
bekhabar ho gayaa mai.n kahaa.n kho gayaa
par paraa par paa paa paa paa
ham to aise pa.nchhii hai.n jo pi.njare se u.D jaate hai.n
karate apanii marazii kii haath kisii ke na aate hai.n
hamako saare zamaane kaa dard\-o\-gam bhuul jaanaa hai
huu.n koshishe.n terii saarii ho jaa_e.ngii naakaam
chain se naa kaTegii terii subah\-o\-shaam
yaad unakii jab aa_egii to rulaa_egaa dil
ab kabhii naa unhe.n bhuul paa_egaa dil

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mastaanaa alabelaa sirf ek tuu hai laakho.n me.n akelaa}%
\film{Shararat}%
\year{2001}%
\starring{Abhishek Bachchan, Hrishita Bhatt, Amrish Puri, Om Puri}%
\singer{Hariharan, Arvindar Singh, Sauud Khan, Mohitosh, Upendra Sharma, Sarfaraz Khan, Sanjivani Bhelende, Shraddha Pandit, Sneha Pant, Vajid Khan}%
\music{Sajid Wajid}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

mastaanaa alabelaa sirf ek tuu hai laakho.n me.n akelaa
hamako aisaa lagaa jab hame.n tuu milaa
surama_ii raat me.n chaa.Nd jaise khilaa
tere chaaro.n taraf hai lagaa sitaaro.n kaa ye melaa

bholaa hai saadaa hai tuu ko_ii shahazaadaa hai
ham tujhako chaahe.nge apanaa to ye vaadaa hai
Gam ho chaahe.n khushii kah rahii zi.ndagii
tujhape qurabaan hai apanii jaa.n
diivaane muskuraa de

aa.Nkho.n me.n sapane hai.n anjaanii ye raate.n hai.n
tumase vo kahanii hai.n is dil me.n jo baate.n hai.n
tuu sharaarat kare hamase jhaga.Daa kare
phir bhii ham to tujhe apanaa maane.n
ye raaz tuu naa jaane

lambii umar kii ham tujhako du_aa_e.n de.n
chuume.n teraa maathaa terii balaa_e.n le.n
mamataa ke aa.Nchal me.n tujhako sulaa_e.nge
tujhase to hai ko_ii naataa
lage tuu hame.n pyaaraa tuu sabase hai nyaaraa
hamaaraa tuu sahaaraa
mastaanaa alabelaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{naa kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N}%
\film{Shararat}%
\year{2001}%
\starring{Abhishek Bachchan, Hrishita Bhatt, Amrish Puri, Om Puri}%
\singer{Talat Aziz}%
\music{Sajid Wajid}%
\lyrics{Bahadur Shah Zafar}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

naa kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N
naa kisii ke dil kaa qaraar huu.N
jo kisii ke kaam naa aa sake
mai.n vo ek musht\-e\-gubaar huu.N
naa kisii kii aa.Nkh kaa \threedots

meraa ra.ng ruup biga.D gayaa
meraa yaar mujhase bichha.D gayaa
jo chaman Kizaa.n me.n uja.D gayaa
mai.n usii kii fasl\-e\-bahaar huu.N
naa kisii kii aa.Nkh kaa \threedots

mai.n kahaa.N rahuu.N mai.n kahaa.N basuu.N
naa ye mujhase Kush naa vo mujhase Kush
mai.n zamii.n kii piiTh kaa bojh huu.N
mai.n falaq ke dil kaa Gubaar huu.N
naa kisii kii aa.Nkh kaa \threedots

pa\-e\-faatehaa ko_ii aa_e kyuu.N
ko_ii chaar phuul cha.Dhaa_e kyuu.N
ko_ii aake shammaa jalaa_e kyuu.N
mai.n vo beqasii kaa mazaar huu.N
naa kisii kii aa.Nkh kaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye mai.n kahaa.n aa ke pha.ns gayaa}%
\film{Shararat}%
\year{2001}%
\starring{Abhishek Bachchan, Hrishita Bhatt, Amrish Puri, Om Puri}%
\singer{Sonu Nigam, Hariharan}%
\music{Sajid Wajid}%
\lyrics{Sameer}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

ye mai.n kahaa.n aake pha.ns gayaa
naa josh hai na hii shor hai
do hii gha.Dii me.n ghabaraa gayaa
yahaa.n zi.ndagii ba.Dii bor hai
aa_e nazar naa ko_ii raastaa
kinase pa.Daa hai meraa vaastaa
samajh me.n kuchh bhii aa_e naa
mai.n kyaa karuu.n bhalaa
ye mai.n kahaa.n \threedots

ko_ii jaane naa yaaro.n ke binaa
khoyaa khoyaa saa mai.n rahuu.n
yaad aa rahe biite din mujhe
kaise ye ghuTan mai.n sahuu.n
dekho zaraa gaur se achchhaa saa jel hai
tum saare rahate jahaa.n
naa ko_ii khvaab hai naa ko_ii ra.ng hai
naa ko_ii hai daastaa.n
nii.nd se jaago saath mere bhaago
mushkil hai jiinaa yahaa.n
puuchho zaraa hai kaisii zi.ndagii
jaise jiyo hai vaisii zi.ndagii
jahaa.N hai Gam vahii.n khushii
ye socho to zaraa
ye mai.n kahaa.n \threedots

nafarate.n yahaa.n rukatii hii nahii.n
is duniyaa me.n pyaar hai
begaanaa hai yahaa.n ko_ii bhii nahii.n
aisaa ye parivaar hai
dharatii kii god me.n ye apanaa svarg hai
ha.Ns ke yahaa.n rahate hai.n ham
hai.n uu.Nche hausale ummiide.n bhii hai.n javaa.n
hamako naa yahaa.n ko_ii Gam
naadaa.n hai bachchaa hai akl kaa tuu kachchaa hai
tujhako nahii.n kuchh bhii pataa
buDDhe pe.D ho kuchh naa paa_oge
jhukoge naa jo tum to TuuT jaa_oge
naa zid karo re maan lo ye kahanaa tum meraa
aatii jaatii hai.n mushkile.n ba.Dii
haar ham kabhii maanate nahii.n
jaan jaa_oge maan jaa_oge
tum abhii hame.n jaanate nahii.n
ye bataa_e.nge beTaa kal tujhe
buu.Dhe pe.D hii de.nge phal tujhe
buzurgo.n kii jo naa sune vo ro_e baad me.n
ye mai.n kahaa.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
