% ISB File: Sharmeelee_1971.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaj madhosh huaa jaae re meraa man}%
\film{Sharmilee}%
\year{1971}%
\starring{Shashi Kapoor, Raakhee}%
\singer{Kishore, Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Neeraj}%

% Contributor: Anup Pandey
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 03/30/1997

\printtitle
#indian

la: aaj madhosh huaa jaae re
    meraa man meraa man meraa man
    binaa hii baat muskuraae re
    meraa man meraa man meraa man
    o rii kalii sajaa tuu Dolii
    o rii lahar pahanaa tuu paayal
    o rii nadii dikhaa tuu darpan
    o rii kiraN u.Daa tuu aa.Nchal
    ek jogan hai banii aaj dulhan ho o
    aao u.D jaae.n kahii.n banake pavan
    aaj madhosh huaa jaae re

ki: sharaarat karane ko lalachaae re
    meraa man meraa man meraa man
    ai, yahaa.N hame.n zamaanaa dekhe
la: to
ki: aao chalo kahii.n chhup jaae.n
la: achchhaa
ki: yahaa.N hame.n zamaanaa dekhe
    aao chalo kahii.n chhup jaae.n
    kaise kaho pyaase rah jaae.n
    tuu merii mai.n huu.N teraa terii qasam ho o

la: mai.n terii tuu meraa merii qasam ho o
    aaj madhosh huaa jaae re
    meraa man meraa man meraa man

la: rom rom bahe sur dhaaraa
    a.Ng a.Ng baje shahanaaii
    jiivan saaraa milaa ek pal me.n
    jaane kaisii gha.Dii ye aaii
    chhuu liyaa aaj mai.nne saaraa gagan ho o
    naache man aaj moraa jhuum chhanan chhanan o o
    aaj madhosh huaa jaae re
    meraa man meraa man meraa man

ki: sharaarat karane ko lalachaae re
la: binaa hii baat muskuraae re
ki: meraa man
la: meraa man

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kaise kahe.n ham pyaar ne hamako}%
\film{Sharmilee}%
\year{1971}%
\starring{Shashi Kapoor, Raakhee}%
\singer{Kishore}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Neeraj}%

% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: Ekkad, Srinath Varadarajan (sve6324@zeus.tamu.edu)
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)

\printtitle
#indian

kaise kahe.n ham, pyaar ne hamako, kyA kyA khel dikhaaye 
yuu.n sharamaa_ii, kismat hamase, khud se ham sharamaae 

baago.n ko to patajha.D luuTe, luuTA hame.n bahaar ne 
duniyA maratii maut se lekin, maaraa hamako pyaar ne 
apanA vo haal hai.n bIch safar me.n jaise koI luT jaaye 
kaise kahe.n ham pyaar ne hamako kyA kyA khel dikhaaye 

tum kyA jaano, ##(laughs)##
tum kyA jaano, kyA chaahaa thaa kyA lekar aaye ham 
TuuTe sapane ghaayal nagame kuchh shole kuchh shabanam 
itanaa sab hai paayaa hamane kaho to kahaa.NA jaaye
kaise kahe.n ham pyaar ne hamako kyA kyA khel dikhaaye 

aise baajii shahanaa_ii ghar me.n, ab tak so nA sake ham 
apano.n ne hamako itanaa sataayaa, roye to ro nA sake ham 
ab to karo kuchh aisA yaaro.n hosh nA hamako aaye
kaise kahe.n ham pyaar ne hamako kyA kyA khel dikhaaye 
yuu.n sharamaa_ii kismat hamase khud se ham 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{khilate hai.n gul yahaa.N khil ke bikharane ko}%
\film{Sharmilee}%
\year{1971}%
\starring{Shashi Kapoor, Rakhee}%
\singer{Kishore}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Neeraj}%

% Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: rec.music.indian.misc 
%          Venkatasubramanian K G (gopala@cs.wisc.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

khilate hai.n gul yahaa.N, khilake bikharane ko
milate hai.n dil yahaa.N, milake bichha.Dane ko
khilate hai.n gul yahaa.N \threedots

(kal rahe naa rahe, mausam ye pyaar kaa 
kal ruke na ruke, Dolaa bahaar kaa ) \- (2)
chaar pal mile jo aaj, pyaar me.n guzaar de
khilate hai.n gul yahaa.N \threedots

jhiilo.n ke ho.nTho.n par, megho.n kaa raag hai
phuulo.n ke siine me.n, Tha.nDii Tha.nDii aag hai
dil ke aaine me.n tuu, ye samaa utaar de
khilate hai.n gul yahaa.N \threedots

pyaasaa hai dil sanam, pyaasii ye raat hai
ho.nTho.n me dabii dabii, koii miiThii baat hai
in lamho.n pe aaj tuu, har khushii nisaar de
khilate hai.n gul yahaa.N \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{meghaa chhaae aadhii raat, bairan ban ga_ii ni.ndiyaa}%
\film{Sharmilee}%
\year{1971}%
\starring{Raakhee, Shashi Kapoor}%
\singer{Lata}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Neeraj}%

% Transliterator: Arati Deo (arati@rice.edu)
% raag: paTadiip 
% taal: ruupak 

\printtitle
#indian

meghaa chhaae aadhii raat, bairan ban gaI ni.ndiyaa 
bataa de mai.n kyaa karuu.N 
meghaa chhaae aadhii raat, bairan ban gaI ni.ndiyaa 

(sab ke aa.ngan diyaa jale re, more aa.ngan jiyaa 
havaa laage shuul jaisii, taanaa maare chunariyaa ) \- 2
kaise kahuu.N mai.n man kii baat, bairan ban gayI.n ni.ndiyaa 
bataa de mai.n kyaa karuu.N 
meghaa chhaae aadhii raat, bairan ban gaI ni.ndiyaa 

(TuuT gaye re sapane saare, chhuuT gayI re aashaa 
nain bahe re ga.ngaa more, phir bhI man hai pyaasaa ) \- 2
aaii hai aa.Nsuu kii baaraat, bairan ban gayI ni.ndiyaa 
bataa de mai.n kyaa karuu.N 
meghaa chhaae aadhii raat, bairan ban gaI ni.ndiyaa 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{o merii o merii o merii sharamiilii aao naa tarasaao naa}%
\film{Sharmilee}%
\year{1971}%
\starring{Shashi Kapoor, Raakhee}%
\singer{Kishore}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Neeraj}%

% Contributor: P.V. Rao (pvr@rice.edu)
% Transliterator: Mani Upadhyaya (mani@eng.utoledo.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

o merii o merii o merii sharmiilii
aao naa tarasaao naa
o merii o merii o merii sharmiilii

teraa kaajala lekara raata banii, raata banii
terii me.nhadii lekara dina ugaa, dina ugaa
terii bolii sunakara sura jaage, sura jaage
terii khushabuu lekara phuula khilaa, phUl khilaa
jaana\-e\-mana tuu hai kahaa.N
o merii\threedots

terii raaho.n se guzare jaba se ham, jaba se ham
mujhe merii Dagara taka yaada nahii.n, yaada nahii.n
tujhe dekhaa jaba se dilarubaa, dilarubaa
mujhe meraa ghara taka yaada nahii.n, yaada nahii.n
jaana\-e\-mana tuu hai kahaa.N
o merii\threedots

o niiraja nayanaa aa zaraa, aa zaraa
terii laaja kaa ghuu.NghaTa khola duu.n, khola duu.n
tere aa.Nchala para koI gIt likhuu.N, gIt likhuu.N
tere ho.nTho.n me.n amR^ita ghola duu.N, ghola duu.N
jaana\-e\-mana tuu hai kahaa.N
o merii\threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{reshamii ujaalaa hai, makhamalii andheraa}% 
\film{Sharmilee}%
\year{1971}%
\starring{Shashi Kapoor, Raakhi}%
\singer{Asha}%
\music{S D Burman}%
\lyrics{Neeraj}%

% Contributor:  Prince Kohli on RMIM (pkohli@cc.gatech.edu)
% Transliterator: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

## Aaaaahhh (haaaaa? :) ##

(reshamI ujAlA hai, makhamalI a.ndherA 
aaj kI raat, aisA kuchh karo ) \- 2
ho nahI.n, ho nahI.n, ho nahI.n saverA \threedots

(aisI to raat roz nahI.n aaye, aa.Nkho.n se koI roz nA pilAye
aaj to jaam se hamAre, pI le, pI le, pI le zaraa \threedots ) \- 2:
reshamI ujAlA hai \threedots

(aisA re shabaab aur hai kahaa.N, merI zulfo.n kA aashiq hai jahaa.N
dekhI nA hogI kahI.n tUne, aisI, aisI, aisI adaa \threedots ) \- 2
reshamI ujAlA hai \threedots

A mere paas sochatA hai kyA, aaj hai muaaf terI har khatA 
dIvAnA tere liye kab se, dil hai, dil hai, dil hai, merA, merA, merA, merA \threedots ) \- 2
reshamI ujAlA hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
