% ISB File: SohniMahiwaal_1958.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aane vaale ko aanaa hogaa}%
\film{Sohni Mahiwaal}%
\year{1958}%
\starring{Bharat Bhushan, Nimmi, Achala sachdev, Sheela Kashmiri, Mukri, Tuntun}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10661 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	aane vaale ko aanaa hogaa
la \:	jaane vaale ko jaanaa hogaa \-2

ra \:	o milii hai pyaar kii ma.nzil na_e safar ke li_e
la \:	tumhaare ho ga_e ham aaj umr bhar ke li_e
ra \:	milii hai pyaar kii \threedots
la \:	tumhaare ho ga_e \threedots
ra \:	pyaar karake nibhaanaa hogaa
do \:	pyaar karake nibhaanaa hogaa
	aane vaale ko \threedots
	jaane vaale ko \threedots

ra \:	o Kushii kii mauj me.n ham aaj Duube jaate hai.n
la \:	hamaare haath se patavaar chhuuTe jaate hai.n
ra \:	Kushii kii mauj \threedots
la \:	hamaare haath se \threedots
ra \:	ishq me.n Duub janaa hogaa
do \:	ishq me.n Duub janaa hogaa
	aane vaale ko \threedots
	jaane vaale ko \threedots

la \:	o hamaare pyaar ke kisse sunaa_e jaa_e.Nge
ra \:	ye giit saare zamaane me.n gaa_e jaa_e.Nge
la \:	hamaare pyaar ke \threedots
ra \:	ye giit saare zamaane \threedots
la \:	ham naa ho.nge fasaanaa hogaa
do \:	ham naa ho.nge fasaanaa hogaa
	aane vaale ko \threedots
	jaane vaale ko \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ai merii zindagii ke sahaare ... aaj galiyo.n me.n terii}%
\film{Sohni Mahiwaal}%
\year{1958}%
\starring{Bharat Bhushan, Nimmi, Achala sachdev, Sheela Kashmiri, Mukri, Tuntun}%
\singer{Rafi}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10660 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ai merii zindagii ke sahaare kahaa.N hai tuu
mujhako bhii apane paas bulaa le jahaa.N hai tuu

aaj galiyo.n me.n terii aayaa hai diivaanaa teraa \-2
dil me.n lekar Gam teraa ho.nTho.n pe afasaanaa teraa
aaj galiyo.n me.n terii \threedots

bhiikh de diidaar kii paradaa uThaa jalavaa dikhaa \-2
maa.Ngataa hai husn kii Kairaat mastaanaa teraa \-2
aaj galiyo.n me.n terii \threedots

tuu hii dil ko husn kii chi.ngaariyo.n se phuu.Nk de \-2
aag me.n Gam kii jalaa jaataa hai paravaanaa teraa \-2
aaj galiyo.n me.n terii \threedots

terii marjii hai banaa de yaa miTaa de tuu mujhe \-2
zindagii tujh par hai sadake dil hai nazaraanaa teraa \-2
aaj galiyo.n me.n terii \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{chaa.Nd chhupaa aur taare Duube raat Gazab kii aaii}%
\film{Sohni Mahiwal}%
\year{1958}%
\starring{Bharat Bhushan, Nimmi}%
\singer{Mahendra Kapoor}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Fri Jan 26, 1996
% Credits: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

chaa.Nd chhupaa aur taare Duube raat Gazab kii aaii
husn chalaa hai ishq se milane zulm kii badalii chhaaii

TuuT pa.Dii hai aa.Ndhii Gam kii, aaj pavan hai paagal
kaa.Np rahii hai dharatii saarii, chiikh rahe hai.n baadal
duniyaa ke tuufaan hazaaro.n, husn kii ik tanahaaii

maut kii naagan aaj kha.Dii hai raah me.n phan phailaaye
ja.Ngal\-ja.Ngal naach rahe hai.n shaitaano.n ke saae
aaj Kudaa khaamosh hai jaise bhuul gayaa ho Kudaaii

ghor a.Ndheraa mushkil raahe.n, kadam\-kadam pe dhokhe
aaj mohabbat ruk na sakegii, chaahe Kudaa bhii roke
raah\-e\-vafaa me.n piichhe haTanaa, pyaar kii hai rusvaaii

paar nadii ke yaar kaa Deraa, aaj milan hai teraa
o.Dh le tuu leharo.n kii chunarii baa.Ndh le mauj kaa seharaa
Dole me.n ma.Njhadhaar ke hogii aaj terii vidaaii

Duub ke in uu.Nchii leharo.n me.n naiyyaa paar lagaa le
ulfat ke tuufaan me.n zindaa rahate hai.n marane vaale
jiite-jii sa.nsaar me.n kisane pyaar kii ma.nzil paayii

tere dil ke khuun se hogaa laal chenaab kaa paanii
duniyaa kii taariikh me.n likhii jaayegii yeh qurbaanii
sohanii aur mahivaal ne apanii ishq me.n jaan ga.Nvaayii

## coda : Lata, Rafi ##
hamaare pyaar ke kisse sunaaye jaayenge
yeh giit saare zamaane me.n gaaye jaayenge
ham na ho.nge fasaana hogaa (2)
aane vaale ko aanaa hogaa, jaane vaale ko jaanaa hogaa 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{duniyaa hai isii kaa naam kahii.n shaadii kahii.n barabaadii}%
\film{Sohni Mahiwaal}%
\year{1958}%
\starring{Bharat Bhushan, Nimmi, Achala sachdev, Sheela Kashmiri, Mukri, Tuntun}%
\singer{Rafi}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10659 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

duniyaa hai isii kaa naam
kahii.n shaadii kahii.n barabaadii \-2
kabhii subah kabhii hai shaam
kahii.n shaadii kahii.n barabaadii

naGmaa hai kahii.n shahanaa_ii kaa
maatam hai kahii.n tanahaa_ii kaa
ko_ii zahar pi_e ko_ii jaam ho re
ko_ii zahar pi_e ko_ii jaam
duniyaa hai isii kaa \threedots

tum gair se naataa jo.D chale
aur mujhako ta.Dapataa chho.D chale
sochaa naa meraa a.njaam re
sochaa naa meraa a.njaam
duniyaa hai isii kaa \threedots

ho tumako mubaarak duniyaa na_ii
kar lenaa hame.n bhii yaad kabhii \-2
tum shaad ho ham naakaam re
tum shaad ho ham naakaam
duniyaa hai isii kaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{iid kaa din tere bin hai phiikaa}%
\film{Sohni Mahiwaal}%
\year{1958}%
\starring{Bharat Bhushan, Nimmi, Achala sachdev, Sheela Kashmiri, Mukri, Tuntun}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10658 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

ra \:	iid kaa din tere bin hai phiikaa
	aajaa aajaa ke din hai Kushii kaa
	ham akele aur ye mele
	iid hai aur terii yaad hai

la \:	chaa.Nd nikalaa na merii Kushii kaa
	iid kaisii jo Gam ho kisii kaa
	mai.n qafas me.n Gam ke bas me.n
	zindagii merii barabaad hai

ra \:	iid mil jaa ke dil kaa miTe Gam
	jaane agale janam ho.n ke na ho.n ham
	kuchh bharosaa nahii.n zindagii kaa
	iid kaa din tere bin \threedots

la \:	iid hai aur majabuuriyaa.N hai.n
	kyaa karuu.N yaar se duuriyaa.N hai.n
	aaj din hai ba.Dii beqasii kaa
	iid kaisii jo Gam ho \threedots
do \:	iid kaa din tere bin \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{meraa bichha.Daa yaar milaa de sadakaa rasuul kaa}%
\film{Sohni Mahiwaal}%
\year{1958}%
\starring{Bharat Bhushan, Nimmi, Achala sachdev, Sheela Kashmiri, Mukri, Tuntun}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10657 [V S Rawat]
% Credits: Abhay Jain

\printtitle
#indian

meraa bichha.Daa yaar milaa de sadakaa rasuul kaa
mere dil kaa dard miTaa de sadakaa rasuul kaa

maalik tuune duniyaa bhar kii biga.Dii baat banaa_ii
merii bhii taqadiir banaa de jaanuu.N terii Kudaa_ii
meraa uja.Daa pyaar basaa de
meraa bichha.Daa yaar \threedots

tuu hii bataa de jaa_uu.N kidhar ki naa ma.nzil naa Deraa
us nagarii kii raah dikhaa de yaar jahaa.N ho meraa
merii naiyaa paar lagaa de
meraa bichha.Daa yaar \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{terii mahafil teraa jalvaa terii suurat dekh lii}%
\film{Sohni Mahiwal}%
\year{1958}%
\starring{Bharat Bhushan, Nimmi}%
\singer{Mahendra Kapoor}%
\music{Naushad}%
\lyrics{Shakeel}%

% Contributor: Nita
% Transliterator: Nita
% Date: 2 April 2000
% Comments:GEETanjali series

\printtitle
#indian

terii mahafil teraa jalvaa terii suurat dekh lii
merii aa.Nkho.n ne isii duniyaa me.n jannat dekh lii
terii mahafil teraa jalvaa \threedots

ai merii jaan\-e\-tamannaa ai merii jaan\-e\-vafaa
pyaar kii ma.nzil dikhaa dii tuune teraa shukriyaa
tere dar pe muskuraatii mai.n ne qismat dekh lii
merii aa.Nkho.n ne isii duniyaa me.n jannat dekh lii
terii mahafil teraa jalvaa \threedots

ek dil aur us pe laakho.n girane vaalii bijaliyaa.N
ye javaanii ye adaaye.n ye ta.Dap ye shoKhiyaa.N
sar se lekar paa.Nv tak mai.n ne qayaamat dekh lii
merii aa.Nkho.n ne \threedots
terii mahafil teraa jalvaa \threedots

umr bhar zi.ndaa rahuu.Ngaa mai.n sahaare par tere
zi.ndagii apanii luTaa du.Ngaa ishaare par tere
mai.n ne terii mast nazaro.n me.n muhabbat dekh lii
merii aa.Nkho.n ne \threedots
terii mahafil teraa jalvaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
