% ISB File: SubahKaaTaaraa_1954.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{apanii naakaamii se mujhako kaam hai}%
\film{Subah Ka Tara}%
\year{1954}%
\starring{Jayshree, Pradeep Kumar, Neelam Bai, Baby Rajshree}%
\singer{Talat}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Noor Lucknowi}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

apanii naakaamii se mujh ko kaam hai
ho unhe.n raahat hame.n aaraam hai

dil hamaaraa aur nahii.n kuchh iKtiyaar
haay majabuurii isii kaa naam hai

dil kii uljhan me.n pataa chalataa nahii.n
ham kahaa.N hai.n subah hai yaa shaam hai

ham ta.Dapate hai.n nahii.n un ko Kabar
kyaa muhabbat kaa yahii a.njaam hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bhaabhii aa_ii ... ba.Dii dhuum dhaam se}%
\film{Subah Kaa Taaraa}%
\year{1954}%
\starring{Jayshree, Pradeep Kumar, Neelam Bai, Baby Rajshree}%
\singer{Usha}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Noor Lakhnawi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 25, 2005

\printtitle
#indian

bhaabhii aa_ii \-2
ba.Dii dhuum dhaam se merii bhaabhii aa_ii \-2
bhaabhii aa_ii

( rel ne siiTii maarii, jaldii me.n girii bichaarii
bhaabhii kaa Diil thaa moTaa, aur rel kaa Dibbaa chhoTaa ) \-2
mushkil se jaa ke usame.n wo samaa_ii
bhaabhii aa_ii \-2

( khi.Dakii se nikaalii gardan, aur bhak bhak bolaa i.njan
bhaabhii ne jo ghuu.NghaT kholaa, aur aa.Nkh me.n pa.D gayaa koyalaa ) \-2
bhaabhii jii ne aa.Nkh bhii ga.Nwaa_ii
bhaabhii aa_ii \-2

ko:	paan bii.Dii maachis sigaraiT \-2
	chaay garam \-3
	taa.Ngaa e taa.Nge waale idhar aa_o
( bhaabhii ne bulaayaa taa.Nge, usane ek rupayyaa maa.Ngaa
taa.nge kaa nasiibaa phuuTaa, taa.nge kaa pahiyaa TuuTaa ) \-2
Thummak Thummak Thummak paidal aa_ii \-2
bhaabhii aa_ii \-2

lo bhaabhii ghuu.NghaT kholo, aa_o bhayyaa se bolo aa_o aa_o
lo bhaabhii ghuu.NghaT kholo, aa_o bhayyaa se bolo
tabiiyat hamaare bhayyaa kii lalachaa_ii
bhaabhii aa_ii \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{chalii ban ke dulhan ... moraa maike me.n jii ghabaraavat hai}%
\film{Subah Kaa Taaraa}%
\year{1954}%
\starring{Jayshree, Pradeep Kumar, Neelam Bai, Baby Rajshree}%
\singer{Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Noor Lakhnawi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10099 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

chalii ban ke dulhan unase laagii lagan moraa maike me.n jii ghabaraavat hai
moraa maane na man hai.n dvaare sajan moraa maike me.n jii ghabaraavat hai
chalii ban ke dulhan \threedots

malake meha.ndii mai.n solah si.ngaar karuu.N aur si.nduur se apanii maa.Ng bharuu.N
Tiikaa maathe pe mohe suhaavat hai moraa maike me.n jii ghabaraavat hai
chalii ban ke dulhan \threedots

duur kaa hai safar ko_ii saathii nahii.n hai akelii dulhan ko_ii baaraatii nahii.n
mohe jaane me.n ab bhay aavat hai moraa maike me.n jii ghabaraavat hai
chalii ban ke dulhan \threedots

shaadiyaane kahii.n sab bajaate chale.n giit pii ke milan ke sunaate chale.n
Dolaa sasuraal ko moraa jaavat hai moraa maike me.n jii ghabaraavat hai
chalii ban ke dulhan \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{gayaa a.Ndheraa huaa ujaaraa, chamakaa chamakaa subah kaa taaraa}%
\film{Subah Ka Tara}%
\year{1954}%
\starring{}%
\singer{Talat, Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Noor Lucknowi}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

gayaa a.Ndheraa huaa ujaaraa, chamakaa chamakaa subah kaa taaraa
TuuTe dil kaa ba.Ndhaa shaaraa, chamakaa chamakaa subah kaa taaraa

saa.Ns khushii kii tan me.n aa_ii
aramaano.n ne lii a.nga.Daa_ii
jaag uThii.n ummiide.n saarii
jaag uThii taqadiir hamaarii
kahii.n kisii ne duur pukaaraa
chamakaa chamakaa subah kaa taaraa   \threedots

murajhaayii kalii kyaa phir se khilegii
khoyii huii kyaa raahat milegii
kahii.n ye taaraa TuuT na jaaye
subah kaa saathii chhuuT na jaaye
aa.Nkho.n me.n rah jaaye nazaaraa
chamakaa chamakaa subah kaa taaraa   \threedots

gayii udaasii raunak chhaayii
roshanii ab jiivan me.n aayii
ha.Nsii khushii kaa chhe.Do taraanaa
naach uThe man jhuume zamaanaa
samaa suhaanaa pyaaraa pyaaraa
chamakaa chamakaa subah kaa taaraa   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kahuu.N kaase mai.n man kii baat}%
\film{Subah Ka Tara}%
\year{1954}%
\starring{Pradeep Kumar, Jayshree}%
\singer{Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Noor Lucknowi}%

% Contributor: Neha Desai
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Srinivas Ganti

\printtitle
#indian

aa~ aa~ aa~ aa~
kahuu.N kaa se mai.n
kahuu.N kaa se mai.n man kii baat jiyaravaa haale Dole ho \-2
ta.Dap siine me.n dil pe haath jiyaravaa haale Dole ho

aa~ aa~ aa~ aa~

khushii bhii ho rahii hai aa.Nkh bhii sharamaayii jaatii hai \-2
kahe kaise koi ye dil kii lagii nahii.n batalaayii jaatii hai \-2
nahii.n batalaayii jaatii hai, ye nahii.n batalaayii jaatii hai
merii tamannaa hai mere saath jiyaravaa haale Dole ho
kahuu.N kaa se mai.n
kahuu.N kaa se mai.n man kii baat \threedots

basatii hai naino.n kii galiyaa.N, hai.n ab jiivan me.n ra.ngaraliyaa.N \-2
jhuum jhuum jhuum ke aayii bahaare.n kaise khilii hai.n ye kaliiyaa.N \-2
hai.n ab jeevan me.n ra.ngaraliyaa.N
din sunehare suhaanii hai raat jiyaravaa haale Dole ho
kahuu.N kaa se mai.n
kahuu.N kaa se mai.n man ki baat \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Kushii achchhii hai ... qisamat ne hamako zulm uThaanaa sikhaa diyaa}%
\film{Subah Kaa Taaraa}%
\year{1954}%
\starring{Pradeep Kumar, Jayashree}%
\singer{Lata}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Noor Lucknowi}%

% Contributor: U.V. Ravindra
% Transliterator: U.V. Ravindra
% Date: 31 Jan 2004
% Series: GEETanjali, date: 2004-01-31
% Comments: generated using giitaayan

\printtitle
#indian

Kushii achchhii hai hame.n aur na malaal achchhaa hai
hamako jis haal me.n rakkhe wahii haal achchaa hai

qisamat ne hamako zulm uThaanaa sikhaa diyaa \- 2
dard\-e\-jigar ko dil me.n chhupaanaa sikhaa diyaa \- 2
qisamat ne hamako zulm uThaanaa sikhaa diyaa

ab to musiibato.n se bhii raahat sii ho ga_ii \- 2
kuchh itanii khaa_ii Thokare.n aadat sii ho ga_ii
dar\-dar kii hamako Thokare.n khaanaa sikhaa diyaa \-2
qisamat ne hamako zulm uThaanaa sikhaa diyaa

dil me.n jo Tiis uTThe to aahe.n na bhar sake.n \- 2
duniyaa ke tiir khaate rahe.n, uf na kar sake.n \- 2
apane lahuu se pyaas bujhaanaa sikhaa diyaa \- 2

qisamat ne hamako zulm uThaanaa sikhaa diyaa \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
