% ISB File: Swades_2004.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aahistaa aahistaa}%
\film{Swades}%
\year{2004}%
\starring{Shahrukh Khan, Gayatri Joshi}%
\singer{Udit Narayan, Sadhna Sargam}%
\music{A R Rahman}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Apr 15, 2005
% This song was not there in the film

\printtitle
#indian

u \:	huu.N huu.N huu.N huu.N huu.N
	ni.ndiyaa tuu aa
	huu.N huu.N huu.N huu.N huu.N

	aahistaa\-aahistaa \-2
	ni.ndiyaa tuu aa, in do naino.n me.n
	halke se haule se, kuchh sapane bhole se
	ni.ndiyaa tuu laa, in do naino.n me.n
	ho
	bahe.n so_ii\-so_ii jaise saarii havaa_e.n
	samaa.N bhii hai soyaa\-soyaa saa
	ni.ndiyaa re, ni.ndiyaa re, tuu mere a.nganaa re
	aa jaa re
	in jhukatii palako.n pe chhaa jaa re

	aahistaa\-aahistaa \-2
	ni.ndiyaa tuu aa
	uu.N uu.N uu.N uu.N huu.N

	mulaayam\-mulaayam sii niilii\-niilii raat hai
	thapakatii hai.n is dil ko yaade.n ka_ii
	yaado.n ke paalane me.n ko_ii kho_ii\-kho_ii baat hai
	o ni.ndiyaa ab aa ke tuu merii biitii lorii gaa ke
	merii kho_ii sapane dikhalaa de
	haay
	yaado.n kaa palanaa jhulaa de
	aahistaa\-aahistaa \-2
	ni.ndiyaa tuu aa, in do naino.n me.n
	aahistaa\-aahistaa \-2
	ni.ndiyaa tuu aa
	uu.N uu.N uu.N uu.N huu.N

	hm
saa \:	hm
	mahakii havaa kii reshamii chaadar kaho to bichhaa duu.N
	niil gagan se chaa.Nd ko le ke takiyaa banaa duu.N
do \:	chaa.Ndanii
u \:	laa ke, tumako o.Dhaa ke, mai.n gunagunaa_uu.N giit koii
saa \:	us pal hii, chupake se phir ni.ndiyaa
do \:	aa jaaye
saa \:	palako.n pe jaise Thahar jaaye
	o
do \:	miiThii\-miiThii ni.ndiyaa aaye
saa \:	aahistaa\-aahistaa \-2
	ni.ndiyaa tuu aa, in do naino.n me.n
u \:	halke se haule se
saa \:	kuchh sapane bhole se, ni.ndiyaa tuu laa, in do naino.n me.n
do \:	bahe.n so_ii\-so_ii jaise saarii havaa_e.n
	samaa.N bhii hai soyaa\-soyaa saa
	ni.ndiyaa re, ni.ndiyaa re, tuu mere a.nganaa re
u \:	aa jaa re
saa \:	aa jaa re
	in jhukatii palako.n pe chhaa jaa re
	aahistaa\-aahistaa
u \:	aahistaa\-aahistaa
saa \:	uu.N uu.N uu.N uu.N uu.N huu.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dekho naa zaraa dekho naa}%
\film{Swades}%
\year{2004}%
\starring{Shahrukh Khan, Gayatri Joshi}%
\singer{Alka Yagnik, Udit Narayan}%
\music{A R Rahman}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Apr 15, 2005

\printtitle
#indian

a \:	uu.N huu.N
	dekho naa, zaraa dekho naa
	tum ho, mai.n huu.N aur ye tanahaa_iiyaa.N hai.n
	dekho naa, zaraa dekho naa
	kaisii naram sii ye parachhaa_iiyaa.N hai.n
	suno zaraa, suno zaraa, dha.Dakano.n kii sadaa
	suno zaraa, suno zaraa, giit Kaamoshii kaa
	suno zaraa, suno zaraa, kahatii hai.a.a raat kyaa

u \:	raat hai le ke aa_ii, kitane aramaa.N a.njaane
	kahatii hai sau afasaane, sunataa huu.N mai.n

	raat ne lii a.nga.Daa_ii, anahonii baat hai hotii
	bikhare hai.n jaise motii, chunataa huu.N mai.n

	tumane ye kyaa kah diyaa
	merii aa.Nkho.n me.n diye hai.n jaise jal gaye
	tumane ye kyaa kah diyaa
	merii raato.n ke a.ndhere jaise Dhal gaye

a \:	tumase hii to mil ke mai.nne jaanaa hai sapane kyaa hote hai.n
	o ho ho
	tumase hii to mil ke mai.nne jaanaa hai dil kaise khote hai.n
	o ho ho

u \:	chaa.Ndanii se bhii pyaarii mujhako in palako.n kii chhaa.Nv
	tumane basaayaa mere dil me.n ik sapano.n kaa gaa.Nv

a \:	tumane mujhako chaahaa to mausam ra.ng chhalakaataa hai
	har pa.nchhii ab gaataa hai mere liye

u \:	tumane mujhako chaahaa to jiivan kii saarii raahe.n
	khole hai.n apanii baa.Nhe.n mere liye

a \:	dekho naa zaraa dekho naa
	tum ho mai.n huu.N aur ye tanahaa_iiyaa.N hai.n
	dekho naa zaraa dekho naa
	kaisii naram sii ye parachhaa_iiyaa.N hai.n

u \:	tum bin din suune the, raate.n suunii thii.n, viiraanii thii chhaa_ii
	o o o
	ab jaise din chamake raate.n mahakii hai.n tum ho jo hamaraahii
	o o o
a \:	tum bin jaise mai.n thii adhuurii puurii ho ga_ii huu.N mai.n
	tumako paa ke jag paayaa hai par Kud kho ga_ii huu.N mai.n
u \:	ham dono.n ne ab jaanaa jiine kaa matalab kyaa hai
a \:	pahale kyaa thii ab kyaa hai ye zi.ndagii
u \:	ham dono.n ne ab jaanaa duniyaa kitanii pyaarii hai
a \:	paa_ii kitanii saarii hai hamane Kushii

u \:	dekho naa zaraa dekho naa
	tum ho mai.n huu.N aur ye tanahaa_iiyaa.N hai.n
	dekho naa zaraa dekho naa
	kaisii naram sii ye parachhaa_iiyaa.N hai.n
a \:	suno zaraa, suno zaraa, dha.Dakano.n kii sadaa
	suno zaraa, suno zaraa, giit Kaamoshii kaa
	suno zaraa, suno zaraa, kahatii hai raat kyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{pal pal hai bhaarii}%
\film{Swades}%
\year{2004}%
\starring{Shahrukh Khan, Gayatri Joshi}%
\singer{Madhushree, Vijay Prakash, Ashutosh Gowarikar}%
\music{A R Rahman}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Apr 15, 2005

\printtitle
#indian

ma \:	aa aa aa aa aa

	pal pal hai bhaarii vo vipadaa hai aa_ii
	mohe bachaane ab aa_o raghuraaii
	aa_o raghuviir aao, raghupati raam aa_o
	more man ke swaamii, more shriiraam aa_o
	raam\-raam japatii huu.N, sun lo mere raam aa_o
	raam\-raam japatii huu.N, sun lo mere raam jii
ko \:	baje saty kaa Da.nkaa, jale paap kii la.nkaa
	isii kshaN tum aa_o, mukt karaa_o,
	sun bhii lo ab merii duhaa_ii

	pal pal hai bhaarii, vo vipadaa hai aa_ii
	mohe bachaane ab aa_o raghuraa_ii

pu \:	raam ko bhuulo, ye dekho raavan aayaa hai
	phailii saarii sR^iShaTii par jisakii chhaayaa hai
	kyo.n japatii ho raam\-raam tum?
	kyo.n letii ho raam naam tum?
	raam\-raam kaa raTan jo ye tumane hai lagaayaa
	siitaa, siitaa tumane raam me.n aisaa kyaa gun paayaa?

ma \:	gin paayegaa unake guN ko_ii kyaa, itane shabd hii kahaa.N hai.n
	pahu.nchegaa us shikhar pe kaun bhalaa, 	mere raam jii jahaa.N hai.n
	jag me.n sabase uttam hai.n, maryaadaa puruShottam hai.n
	sabase shaktishaalii hai.n, phir bhii rakhate sa.nyam hai
	par unake sa.nyam kii ab aane ko hai siimaa
	raavaN samay hai maa.Ng le kshamaa

ko \:	baje saty kaa Da.nkaa, jale paap kii la.nkaa
	aaye raajaa raam, kare.n ham praNaam
	sa.ng aaye lakshaman jaise bhaa_ii

ma \: pal pal hai bhaarii, wo vipadaa hai aa_ii
	mohe bachaane ab aa_o raghuraa_ii

pu \:	raam me.n shakti agar hai, raam me.n saahas hai to
	kyo.n nahii.n aaye abhii tak wo tumhaarii rakshaa ko?
	jinakaa varNan karane me.n thakatii nahii.n ho tum yahaa.N
	ye bataa_o wo tumhaare raam hai.n is pal kahaa.N??

ma \:	raam hR^iday me.n hai.n mere, raam hii dha.Dakan me.n hai.n
	raam merii aatmaa me.n, raam hii jiivan me.n hai.n
	raam har pal me.n hai.n mere, raam hai.n har shwaas me.n
	raam har aashaa me.n merii, raam hii har aas me.n

pu \:	ho
	raam hii to karuNaa me.n hai.n, shaanti me.n raam hai.n
	raam hii hai.n ekataa me.n, pragatii me.n raam hai.n
	raam bas bhakto.n nahii.n, shatru kii bhii chi.ntan me.n hai.n
	dekh taj ke paap raavaN, raam tere man me.n hai.n
	raam tere man me.n hai.n, raam mere man me.n hai.n \-2

	raam to ghar ghar me.n hai.n, raam har aa.Ngan me.n hai.n
	man se raavaN jo nikaale, raam usake man me.n hai.n \-2

ko \:	ho
ma \:	pal pal hai bhaarii, wo vipadaa hai aa_ii
	mohe bachaane ab aa_o raghuraa_ii

ko \:	( suno raam jii aaye, more raam jii aaye
	raajaa raamacha.ndr aaye, shrii raamacha.ndr aaye
	raam jii aaye, more raam jii aaye
	shrii raamacha.ndr aaye
	ho ) \-2
	he

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{saa.Nvariyaa saa.Nvariyaa}%
\film{Swades}%
\year{2004}%
\starring{Shahrukh Khan, Gayatri Joshi}%
\singer{Alka Yagnik}%
\music{A R Rahman}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Apr 15, 2005

\printtitle
#indian

( saa.Nvariyaa saa.Nvariyaa, mai.n to hu_ii baa.Nvariyaa
tuune man moh liyaa, saa.Nvariyaa ho ) \-2

ulajhaa saa ye man hai, sulagaa saa ye tan hai
sapano.n kaa saavan hai, naino.n kaa aa.Ngan hai
chhalake man gaagariyaa
saa.Nvariyaa ho \-2

saa.Nvariyaa saa.Nvariyaa, mai.n to hu_ii baa.Nvariyaa
tuune man moh liyaa, saa.Nvariyaa ho

jo tuu yuu.N paas aayaa hai
jo tuu yuu.N dil pe chhaayaa hai
to mai.nne kyaa paayaa hai
kaise kahuu.N
haa.N
kahii.n dha.Dakan kii kaliyaa.N hai.n
kahii.n sapano.n kii galiyaa.N hai.n
jo man me.n ra.ngaraliyaa.N hai.n
kaise kahuu.N
tuu jo mujhe aise bahakaaye
kabhii kabhii mujhe to ba.Dii laaj sii aaye
bhuulii huu.N mai.n jaise apanii Dagariyaa
jab se hai dekhii mai.nne prem\-nagariyaa, prem\-nagariyaa

saa.Nvariyaa saa.Nvariyaa, mai.n to hu_ii baa.Nvariyaa
tuune man moh liyaa, saa.Nvariyaa ho.a

tuu jo milaa mujhe to ye saaraa samaa.N badal gayaa
khilane lage phuul se merii raah me.n
phir yuu.N lagaa mujhe ki ye dharatii na_ii hu_ii
nayaa a.mbar hu_aa terii aur merii chaah me.n
cha.nchal havaa taraanaa ko_ii gaaye
nadiyaa bhii ko_ii kahaanii kahatii jaaye
jabase milii sajanaa tujhase najariyaa
kho ga_ii hai sudh\-budh kii mujhase gaThariyaa

saa.Nvariyaa saa.Nvariyaa \-2
mai.n to hu_ii baa.Nvariyaa
tuune man moh liyaa
saa.Nvariyaa ho

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye jo des hai teraa}%
\film{Swades}%
\year{2004}%
\starring{Shahrukh Khan, Gayatri Joshi}%
\singer{A R Rahman}%
\music{A R Rahman}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Apr 15, 2005

\printtitle
#indian

( ye jo des hai teraa, swades hai teraa
tujhe hai pukaaraa.a.a
ye wo ba.ndhan hai jo kabhii TuuT nahii.n sakataa ) \-2

miTTii kii hai jo Kushbuu, tuu kaise bhulaayegaa
tuu chaahe kahii.n jaaye, tuu lauT ke aayegaa
na_ii\-na_ii raaho.n me.n, dabii\-dabii aaho.n me.n
khoye\-khoye dil se tere ko_ii ye kahegaa

ye jo des hai teraa, swades hai teraa
tujhe hai pukaaraa
ye wo ba.ndhan hai jo kabhii TuuT nahii.n sakataa

tujhase zi.ndagii hai ye kah rahii
sab to paa liyaa, ab hai kyaa kamii
yuu.N to saare sukh hai.n barase
par duur tuu hai apane ghar se
aa lauT chal tuu ab divaane
jahaa.N ko_ii to tujhe apanaa maane
aavaaz de tujhe bulaane
vahii des

ye jo des hai teraa, swades hai teraa
tujhe hai pukaaraa.a.a
ye wo ba.ndhan hai jo kabhii TuuT nahii.n sakataa

ye pal hai.n vahii, jisame.n hai.n chhupii
puurii ik sadii, saarii zi.ndagii
tuu na puuchh raaste me.n kaahe
aaye hai.n is tarah doraahe
tuu hii to hai raah jo sujhaaye
tuu hii to hai ab jo ye bataaye
jaaye to kis dishaa me.n jaaye
vahii de.a.as

ye jo des hai teraa, swades hai teraa
tujhe hai pukaaraa.a.a
ye wo ba.ndhan hai jo kabhii TuuT nahii.n sakataa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye taaraa vo taaraa har taaraa}%
\film{Swades}%
\year{2004}%
\starring{Shahrukh Khan, Gayatri Joshi}%
\singer{Udit Narayan, Master Vignesh, Baby Pooja, Kids}%
\music{A R Rahman}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Apr 15, 2005

\printtitle
#indian

u \:	e he
	o o o o ho
	ye taaraa vo taaraa har taaraa \-2
	dekho jise bhii lage pyaaraa
	ye taaraa vo taaraa har taaraa
	( ye sab saath me.n, jo hai.n raat me.n
	to jagamagaa_e aasamaan saaraa ) \-2
	jagamag taare, do taare, nau taare, sau taare, jagamag saare
	har taaraa hai sharaaraa

	tumane dekhii hai dhanak to
	bolo ra.ng kitane hai.n
	saat ra.ng kahane ko
	phir bhii sa.ng kitane hai.n
	samajho sabase pahale to
	ra.ng hote akele to
	i.ndradhanuSh banataa hii nahii.n
	ek na ham ho paaye to
	anyaay se la.Dane ko
	hogii koii janataa hii nahii.n
	phir na kahanaa nirbal hai kyo.n haaraa
	hm taaraa taaraa
	ye taaraa vo taaraa har taaraa \-3
	dekho jise bhii lage pyaaraa
	ye sab saath me.n, jo hai.n raat me.n
	to jagamagaa_e aasamaan saaraa
	jagamag taare, do taare, nau taare, sau taare, jagamag saare
	har taaraa hai sharaaraa

	buu.Nd\-buu.Nd milane se banataa ek dariyaa hai
	buu.Nd\-buu.Nd saagar hai varanaa ye saagar kyaa hai
	samajho is pahelii ko, buu.Nd ho akelii to
	ek buu.Nd jaise kuchh bhii nahii.n
	ham auro.n ko chho.De.n to, muu.Nh sabase hii mo.De.n to
	tanahaa rah na jaaye.n dekho ham kahii.n
	kyo.n na mil ke bane.n ham dhaaraa
	hm taaraa taaraa
ki 1 \:	ye taaraa vo taaraa har taaraa \-2
	dekho jise bhii lage pyaaraa
	ye taaraa vo taaraa har taaraa
	ye sab saath me.n, jo hai.n raat me.n
	to jagamagaa_e aasamaan saaraa
	jagamag taare, do taare, nau taare, sau taare, jagamag saare
	har taaraa hai sharaaraa

u \:	he he
	o o o o ho
	jo kisaan hal sa.mbhaale
	dharatii sonaa hii ugaaye
	jo govaalaa ga_iyaa.N paale
	duudh kii nadii bahaaye
	jo lohaar lohaa Dhaale
	har auzaar Dhal jaaye
	miTTii jo kumhaar uThaa le
	miTTii pyaalaa ban jaaye
	sab ye ruup hai.n mehanat ke
	kuchh karane kii chaahat ke
	kisii kaa kisii se ko_ii bair nahii.n
	sab ke ek hii sapane hai.n
	socho to sab apane hai.n
	ko_ii bhii kisii se yahaa.N Gair nahii.n
	siidhii baat hai samajho yaaraa
	hm taaraa taaraa

ki 2 \:	ye taaraa vo taaraa har taaraa \-2
ki 1 \:	dekho jise bhii lage pyaaraa
	ye taaraa vo taaraa har taaraa
u \:	ye sab saath me.n, jo hai.n raat me.n
	to jagamagaa_e aasamaan saaraa
ki 2 \: jagamag taare, do taare, nau taare, sau taare, jagamag saare
	har taaraa hai sharaaraa

	ye taaraa vo taaraa har taaraa \-3
	dekho jise bhii lage pyaaraa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{yuu.N hii chalaa chal raahii}%
\film{Swades}%
\year{2004}%
\starring{Shahrukh Khan, Gayatri Joshi}%
\singer{Udit Narayan, Hariharan, Kailash Kher}%
\music{A R Rahman}%
\lyrics{Javed Akhtar}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Apr 15, 2005

\printtitle
#indian

	tamaa tani nidaa tamaa \-2
	u u u u u \-2

ha \:	yuu.N hii chalaa chal raahii \-2
	kitanii hasiin hai ye duniyaa
	bhuul saare jhamele, dekh phuulo.n ke mele
	ba.Dii ra.ngiin hai ye duniyaa
	rum dum daaraa rutaaruu rum daaraa \-3
	bhaiyaa

u \:	( ye raastaa hai kah rahaa ab mujhase
	milane ko hai ko_ii kahii.n ab tujhase ) \-2
	ho
	dil ko hai kyo.n ye betaabii kisase mulaakaat honii hai
	jisakaa kab se aramaa.N thaa shaayad vohii baat honii hai

kai \:	yuu.N hii chalaa chal raahii \-2
	jiivan gaa.Dii hai samay pahiyaa
	aa.Nsuu kii nadiyaa.N bhii hai.n
	Kushiyo.n kii bagiyaa.N bhii hai.n
	raastaa sab teraa take bhaiyaa

u \:	yuu.N hii chalaa chal raahii \-2
	kitanii hasiin hai ye duniyaa
	bhuul saare jhamele, dekh phuulo.n ke mele
	ba.Dii ra.ngiin hai ye duniyaa

	hai na\-na\-na \-2
	dekhuu.N jidhar bhii in raaho.n me.n
	ra.ng pighalate hai.n nigaaho.n me.n
	ThaNDii havaa hai, ThaNDii chhaa.Nv hai
	duur wo jaane kisakaa gaa.Nv hai

	baadal ye kaisaa chhaayaa
	dil ye kahaa.N le aayaa
	sapanaa ye kyaa dikhalaayaa hai mujhako

kai \:	har sapanaa sach lage, jo prem agan jale
	jo raah tuu chale, apane man kii
	har pal kii siip se motii hii tuu chune
	jo tuu sadaa sune, apane man kii

u \:	yuu.N hii chalaa chal raahii \-2
kai \:	kitanii hasiin hai ye duniyaa
u \:	bhuul saare jhamele, dekh phuulo.n ke mele
	ba.Dii ra.ngiin hai ye duniyaa

	man apane ko kuchh aisaa halakaa paaye
	jaise ka.ndho.n pe rakhaa bojh haT jaaye
	jaise bholaa saa bachapan phir se aaye
	jaise baraso.n me.n ko_ii ga.ngaa nahaaye
kai \:	jaise.a.a baraso.n me.n ko_ii ga.ngaa nahaaye
u \:	dhul saa gayaa hai ye man
	khul saa gayaa har ba.ndhan
	jiivan ab lagataa hai paavan mujhako.a
kai \:	jiivan me.n priit hai, ho.nTho.n pe giit hai
	bas ye hii jiit hai, sun le raahii
	tuu jis dishaa bhii jaa, tuu pyaar hii luTaa
	tuu diip hii jalaa, sun le raahii
u \:	yuu.N hii chalaa chal raahii \-2
	kaun ye mujhako pukaare
	nadiyaa pahaa.D jhiil aur jharane, ja.ngal aur vaadii
	in me.n hai.n kisake ishaare

	yuu.N hii chalaa chal raahii \-2
	kitanii hasiin hai ye duniyaa
	bhuul saare jhamele, dekh phuulo.n ke mele
	ba.Dii ra.ngiin hai ye duniyaa

	ye raastaa hai kah rahaa ab mujhase
	milane ko hai ko_ii kahii.n ab tujhase
	rum dum daaraa rutaaruu rum daaraa \-3
	bhaiyaa

kai \:	yuu.N hii chalaa chal raahii \-2
	kitanii hasiin hai ye duniyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
