% ISB File: Talaaq_1958.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ai duniyaa ke maa.N\-baap ... dukhiyo.n pe kuchh raham karo}%
\film{Talaaq}%
\year{1958}%
\starring{Rajendra Kumar, Kamini Kadam, Ashwini, Sajjan}%
\singer{Asha, Aarti Mujkherji}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

ai duniyaa ke maa.N\-baap suno ye desh hai kishan\-kanhaiyaa kaa
ye bhuumii vahii hai pyaar jahaa.N luTataa thaa jashodaa maiyaa kaa

lekin is desh me.n hii ab to aise bhii abhaage hote hai.n
maa.N\-baap ke hote huye bhii jo ha.Nsane kii umar me.n rote hai.n

( dukhiyo.n pe kuchh raham karo maa.N-baap hamaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare ) \-2
dukhiyo.n pe kuchh raham karo

ham hai.n wo diye ruuTh ga_ii jin se diiwaalii \-2
wo phuul hai.n jinase yahaa.N naaraaz hai maalii
ham wo hai.n jo pyaase rahe ga.ngaa ke kinaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare
dukhiyo.n pe kuchh raham karo

ho
jo ho sake tumase to zaraa pyaar hame.n do \-2
ham ro rahe hai.n ha.Nsane kaa adhikaar hame.n do
pyaar hame.n do
aa.Ngan me.n tumhaare hai.n kha.De haath pasaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare
dukhiyo.n pe kuchh raham karo

ma_iyaa zaraa ek baar hame.n paas bulaa lo \-2
baapuu hame.n sa.nsaar kii aa.Ndhii se bachaa lo
tumako hamaarii aa.Nkh kaa har aa.Nsuu pukaare

bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare
dukhiyo.n pe kuchh raham karo maa.N-baap hamaare
bhuule ho jinhe.n ham wahii bachche hai.n tumhaare
dukhiyo.n pe kuchh raham karo

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bigul baj rahaa aazaadii kaa ... kahanii hai ek baat}%
\film{Talaaq}%
\year{1958}%
\starring{Rajendra Kumar, Kamini Kadam, Ashwini, Sajjan}%
\singer{Manna Dey, Chorus}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: BOL ANAMOL #12240 [V S Rawat], 23/01/2004

\printtitle
#indian

ma \:	bigul baj rahaa aazaadii kaa
	gagan guu.Njataa naaro.n se
	milaa rahii hai aaj hind kii
	miTTii nazar sitaaro.n se

	ek baat kahanii hai lekin
	aaj desh ke pyaaro.n se
	janataa se netaa_o.n se
	fauzo.n kii kha.Dii qataaro.n se

	kahanii hai ik baat hame.n is
	desh ke paharodaaro.n se
	sambhal ke rahanaa apane ghar me.n
	chhipe huye Gaddaaro.n se

	jhaa.Nk rahe hai.n apane dushman
	apanii hii diiwaaro.n se

ko \:	sambhal ke rahanaa apane ghar me.n
	chhipe huye Gaddaaro.n se

ma \:	ai bhaarat maataa ke beTo \-2
	suno.n samay kii bolii ko
	phailaatii jo phuuT yahaa.N par
	duur karo us Tolii ko

ko \:	ai bhaarat maataa ke beTo
	suno.n samay kii bolii ko
	phailaatii jo phuuT yahaa.N par
	duur karo us Tolii ko

ma \:	kabhii na jalane denaa phir se
	bhed\-bhaav kii holii ko
	jo gaa.Ndhii ko chiir ga_ii thii
	yaad karo us golii ko

	saarii bastii jal jaatii hai
	muTThii bhar a.ngaaro.n se

ko \:	sambhal ke rahanaa apane ghar me.n
	chhipe huye Gaddaaro.n se

ma \:	jaago tumako baapuu kii
	jaagiir kii raxaa karanii hai
ko \:	jaago tumako baapuu kii
	jaagiir kii raxaa karanii hai
ma \:	jaago.n laakho.n logo.n kii
	taqadiir kii raxaa karanii hai
ko \:	jaago.n laakho.n logo.n kii
	taqadiir kii raxaa karanii hai
ma \:	abhii\-abhii jo banii hai us
	tasaviir kii raxaa karanii hai
ko \:	abhii\-abhii jo banii hai us
	tasaviir kii raxaa karanii hai
ma \:	hoshiyaar
ko \:	hoshiyaar
ma \:	hoshiyaar tumako apane
	kashmiir kii raxaa karanii hai
ko \:	hoshiyaar tumako apane
	kashmiir kii raxaa karanii hai
ma \:	aatii hai aawaaz yahii
	mandir masajid gurudwaaro.n se

ko \:	sambhal ke rahanaa apane ghar me.n
	chhipe huye Gaddaaro.n se

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{lagii jo Takkar ... jhuk ga_ii dekho gardan}%
\film{Talaaq}%
\year{1958}%
\starring{Rajendra Kumar, Kamini Kadam, Ashwini, Sajjan}%
\singer{Asha}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

lagii jo Takkar
are khaa gaye chakkar
TuuTe laDDuu man ke
chale the chaube chhabe hone
rah gaye duube ban ke

( jhuk ga_ii dekho gardan chalate the jo tan ke
ho gaye chaupaT sabhii iraade aaj Kushii ke man ke
ho ho ho aaj Kushii ke man ke ) \-2

kha.De hai.n ban ke bhiigii billii \-2
lage hai.n mu.Nh pe taale
( hamane dekhaa nahii.n barasate
bahot garazane waale ) \-2
giida.D sher nahii.n ho sakataa \-2
sher kii khaal pahan ke

ho gaye chaupaT sabhii iraade aaj Kushii ke man ke
ho ho ho aaj Kushii ke man ke

( buraa kisii kaa karane waalo.n
bhalaa bhii karanaa siikho
yahaa.N ser pe savaa ser hai.n
kuchh to Daranaa siikho ) \-2
ba.De bikaT hai.n log yahaa.N ke
samajhe
ba.De bikaT hai.n log yahaa.N ke
unase bach lo unase

ho gaye chaupaT sabhii iraade aaj Kushii ke man ke
ho ho ho aaj Kushii ke man ke

jhuk ga_ii dekho gardan chalate the jo tan ke
ho gaye chaupaT sabhii iraade aaj Kushii ke man ke

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere jiivan me.n kiraN ban ke bikharanewaale}%
\film{Talaq}%
\year{1959}%
\starring{}%
\singer{Manna De, Asha, chorus}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

%Contributor: Prithviraj Dasgupta
%Transliterator: Prithviraj Dasgupta
%Date: May 1, 2002
%Availability: HMV CD Rare Gems Duets of the 50s: Love songs

\printtitle
#indian

aa: aa aa aa aa
ma: aa aa aa aa
aa/ma: aa aa aa
ko: aa aa aa aa

aa: mere jiivan me kiraN ban ke bikharanewaale 
bolo tum kaun ho bolo tum kaun ho
ma: aa.Nkho.n aa.Nkho.n se man me utaranewaale
bolo tum kaun ho bolo tum kaun ho

aa: (kyaa kisii dev ke bheje hu_e varadaan ho tum) \-2
ma: kyaa mere pichhale janam kii ko_ii pahachaan ho
tum
aa: (Dhuu.NDhataa thaa jise dil kyaa wohii mahamaan ho
tum) \-2
ma: apanii musakaan se paagal mujhe karanewaalii 
bolo tum kaun ho bolo tum kaun ho
aa/ma: mere jiivan me \threedots

ma: (is tarah aaj kyuu.N lalachaa rahe ho tum mujhako)
\-2
aa: kidhar u.Daake li_e jaa rahe ho tum mujhako
ma: (baat vo kyaa hai jo samajhaa rahe ho tum mujhako)
\-2
aa: chhupake chhupake mere duniyaa ko badalanewaale
bolo tum kaun ho bolo tum kaun ho
aa/ma: mere jiivan me \threedots

ko: aa aa aa aa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{na_ii umar kii kaliyo tumako}%
\film{Talaaq}%
\year{1958}%
\starring{Rajendra Kumar, Kamini Kadam, Ashwini, Sajjan}%
\singer{Asha, Chorus/ Asha}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

na_ii umar kii kaliyo.n tumako dekh rahii duniyaa saarii
tumape ba.Dii zimmedaarii
ghar\-ghar ko tum swarg banaanaa \-2
har aa.Ngan ko phulawaarii
hamape ba.Dii zimmedaarii
dekh rahii duniyaa saarii

tum us desh me.n janmii ho jis desh me.n janmii thii siitaa \-2
tum us desh kii kanyaa ho jis desh me.n guu.Nj rahii giitaa
kabhii bhuul kar bhii na lagaanaa \-2
jiivan me.n tum chinagaarii

ghar\-ghar ko tum swarg banaanaa
har aa.Ngan ko phulawaarii
hamape ba.Dii zimmedaarii
dekh rahii duniyaa saarii

ye na bhuulanaa jahaa.N jahaa.N hai phuul wahaa.N hai.n kaa.NTe bhii \-2
jahaa.N jahaa.N par hote hai.n tuufaan wahaa.N sannaaTe bhii
tum is jag me.n ha.Ns ha.Ns jiinaa mat karanaa man ko bhaarii

ghar\-ghar ko tum swarg banaanaa
har aa.Ngan ko phulawaarii
hamape ba.Dii zimmedaarii
dekh rahii duniyaa saarii

dekho kahii.n bhaTak mat jaana jhuuThe haas vilaaso.n me.n \-2
karanaa aise kaam tumhaaraa naam rahe itihaaso.n me.n
saavadhaan rahanaa bahano \-2
aa rahii tumhaarii bhii baarii

ghar\-ghar ko tum swarg banaanaa
har aa.Ngan ko phulawaarii
( hamape ba.Dii zimmedaarii
dekh rahii duniyaa saarii ) \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{o baabuu saab, o mem saab, kyaa rakhaa is taqaraar me.n}%
\film{Talaaq}%
\year{1958}%
\starring{Rajendra Kumar, Kamini Kadam, Ashwini, Sajjan}%
\singer{Asha, Manna Dey}%
\music{C Ramchandra}%
\lyrics{Pradeep}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 07/08/2004
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

o baabuu saab
o mem saab
aa
la la
o baabuu saab
o mem saab
kyaa rakhaa is taqaraar me.n
zaraa to aa.Nkhe.n dekho milaa ke ba.Daa mazaa hai pyaar me.n

are ruuTho na ##sister## man jaa_o ##mister## mil ke raho sanasaar me.n
zaraa to aa.Nkhe.n dekho milaa ke ba.Daa mazaa hai pyaar me.n
o baabuu saab
o mem saab
o baabuu saab mem saab

achchhii nahii.n hai aapas me.n anaban
suno suno shiriiman jii
haa.N suno suno shiriiman jii
la.Danaa to ##madam## hai ik la.Dakapan
isame.n ba.Daa nukasaan jii
haa.N suno suno shiriiman jii
kyuu.N baiThe haT ke mukha.Daa palaT ke phir se ba.ndho ik taar me.n

zaraa to aa.Nkhe.n dekho milaa ke ba.Daa mazaa hai pyaar me.n
o baabuu saab
o mem saab
o baabuu saab mem saab

miyaa aur biiwii ke jhaga.Do.n ne raajaa
laakho.n gharo.n ko ujaa.Daa
miiThii shaitaanii ha.Nsatii me.n raanii
ghar ko banaa_o naa akhaa.Daa
ab chho.Do ye garmii aane do narmii
chho.Do ye garmii aane do narmii
Gusse ke tiikhe Kumaar me.n

zaraa to aa.Nkhe.n dekho milaa ke ba.Daa mazaa hai pyaar me.n
o baabuu saab
o mem saab
o baabuu saab mem saab

dulhan me kisako jo rahanaa hai to ??
Gusse pe kuchh ##control## karo
haa.N Gusse pe kuchh ##control## karo
apanii aka.D pe ##break## lagaa_o jii
jhuuThaa ba.Dappan gol karo
Gusse pe kuchh ##control## karo
jhaga.Daa na karanaa Duubegii varanaa
na_iyaa sabhii majhadhaar me.n

zaraa to aa.Nkhe.n dekho milaa ke ba.Daa mazaa hai pyaar me.n
o baabuu saab
o mem saab
o baabuu saab mem saab

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
