% ISB File: Tarkeeb_2000.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chaa.Nd bhii dekhaa ... merii aa.Nkho.n ne chunaa hai}%
\film{Tarkeeb/ Reaching The Killer}%
\year{2000}%
\starring{Nana Patekar, Tabu, Shilpa Shetty, Milind Soman}%
\singer{Jagjit Singh, Alka Yagnik}%
\music{Aadesh Srivastava}%
\lyrics{Nida Fazli}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

chaa.Nd bhii dekhaa phuul bhii dekhaa
baadal bijalii titalii juganuu.n ko_ii nahii.n hai aisaa
teraa husn hai jaisaa

merii nigaaho.n ne ye kaisaa khvaab dekhaa hai
zamii.n pe chalataa hu_aa maahataab dekhaa hai

merii aa.Nkho.n ne chunaa hai tujhako duniyaa dekhakar
kisakaa cheharaa ab mai.n dekhuu.n teraa cheharaa dekhakar
merii aa.Nkho.n ne \threedots

nii.nd bhii dekhii khvaab bhii dekhaa
chuu.Dii bi.ndiyaa darpaN khushbuu ko_ii nahii.n hai aisaa
teraa pyaar hai jaisaa
merii aa.Nkho.n ne \threedots

ra.ng bhii dekhaa ruup bhii dekhaa
rastaa ma.nzil saahil mahafil ko_ii nahii.n hai aisaa
teraa saath hai jaisaa
merii aa.Nkho.n ne \threedots

bahut khuubasuurat hai.n aa.Nkhe.n tumhaarii
banaa diiji_e inako kismat hamaarii
use aur kyaa chaahiye zi.ndagii me.n
jise mil ga_ii hai muhabbat tumhaarii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dil meraa tarase mil jaa_e ko_ii aise}%
\film{Tarkeeb/ Reaching The Killer}%
\year{2000}%
\starring{Nana Patekar, Tabu, Shilpa Shetty, Milind Soman}%
\singer{Shaan, Sagarika}%
\music{Aadesh Srivastava}%
\lyrics{Nida Fazli}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

he dil meraa tarase mil jaa_e ko_ii aise
dha.Dake jo mujhame.n dhak dhak dil ke jaise
haa.n itanaa hasii.n ho us jaisaa ko_ii nahii.n ho
dekhaa hai maine usako yuu.n hii khvaabo.n me.n
dil meraa tarase \threedots

sochuu.n mai.n jise khyaalo.n kii tarah
dil me.n rahe jo ujaalo.n kii tarah
he he he usako pa.Dhuu.n mai.n usako sunuu.n mai.n
mujhame.n rahe vo jahaa.n bhii rahuu.n mai.n
dil meraa tarase \threedots

javaanii kaa chaman sitaaro.n kaa badan
khile to vo ka.nval saje to vo kiraN
vahii hai zi.ndagii vahii merii lagan
usii se hai javaa.n zamii.n ho yaa gagan
dil meraa tarase \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jaisaa jisake yaar kaa cheharaa ... kisii ko apanaa banaa le}%
\film{Tarkeeb/ Reaching The Killer}%
\year{2000}%
\starring{Nana Patekar, Tabu, Shilpa Shetty, Milind Soman}%
\singer{Sabari Brothers, Chorus}%
\music{Aadesh Srivastava}%
\lyrics{Nida Fazli}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

jaisaa jisake yaar kaa cheharaa
vaisaa hii sa.nsaar kaa cheharaa
kisii ko apanaa banaa le
haa.n kisii ko apanaa banaa le yaa kisii kaa ho jaa
ho khud ko paanaa hai to phir raah\-e\-vafaa me.n kho jaa
kisii kaa ban jaa ban jaa kisii kaa ho jaa ho jaa
apanaa banaa le kisii ko kisii ko apanaa banaa le
yaa kisii kaa ho jaa
kisii kaa ban jaa \threedots

giit ke vaaste raaganii chaahiye
raah tariiq hai roshanii chaahiye
hosh ke vaaste mayakashii chaahiye
hai talab apanii apanii sabhii ko yahaa.n
dard\-e\-dil ke li_e aashiqii chaahiye
ishq hii muurat muurat
ishq hii suurat suurat
ishq hii qudarat qudarat
ishq hii kismat kismat
dil hai to dil ke vaaste diladaar chaahiye
mushkil hai pyaar paanaa magar pyaar chahiye
akl ke dhokhe me.n mat aanaa akl ko hosh nahii.n
kyaa vo mayakash hai ho mayakhaane me.n madahosh nahii.n
ho Dhuu.nDh le ko_ii aa.Nkh nashiilii
haa.n Dhuu.nDh le ko_ii aa.Nkh nashiilii
mast nashe me.n ho jaa
kisii kaa ban jaa \threedots

phuul binaa gulazaar adhuuraa jaam binaa mayakhvaar adhuuraa
taaz binaa darabaar adhuuraa yaar binaa sa.nsaar adhuuraa
aadhii dharatii aadhaa ambar ye bhii adhuuraa vo bhii adhuuraa
dono.n ke mil jaane se hii hotaa hai sa.nsaar ye puuraa
har safar ke li_e hamasafar chaahiye
har musaafir ko ik rahaguzar chaahiye
zi.ndagii ke li_e zi.ndagii kii kasam
pyaar jisame.n ho aisii nazar chaahiye
ho jiivan dhuup ka.Dii hai ka.Dii hai
zulfo.n kii chhaa.nv me.n so jaa
kisii kaa ban jaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{javaanii kaa aalam ba.Daa bekhabar hai ... dupaTTe kaa palluu}%
\film{Tarkeeb/ Reaching The Killer}%
\year{2000}%
\starring{Nana Patekar, Tabu, Shilpa Shetty, Milind Soman}%
\singer{Richa Sharma, Chorus}%
\music{Aadesh Srivastava}%
\lyrics{Nida Fazli}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

javaanii kaa aalam ba.Daa bekhabar hai
dupaTTe kaa palluu kidhar kaa kidhar hai
kahii.n hai chunariyaa kahii.n pe kamar hai
vo tho.Dii idhar hai vo tho.Dii udhar hai
are ye jidhar hai zamaanaa udhar hai
javaanii kaa aalam \threedots

sulagatii ye saa.Nse.n dha.Dakatii javaanii
jise bhii ye chhuu le use kar de paanii aa aa
ye kaisii kasak hai ye kaisii chubhan hai
ye na_ii umar hai ye na_ii lagan hai
are ye jidhar hai \threedots

nach le nach le nach le goriyaa a.ng a.ng se nach le

ye cha.nchal adaa_e.N nashiilii nigaahe.n
khule_aam chorii kare.n dil churaa_e.n
lachakataa badan hai phisalatii kamar hai
are ye jidhar hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tujhe Dhuu.nDhuu.n mai.n Dhuu.nDhuu.n kaise merii jaa.n}%
\film{Tarkeeb/ Reaching The Killer}%
\year{2000}%
\starring{Nana Patekar, Tabu, Shilpa Shetty, Milind Soman}%
\singer{Vinod Rathod, Alka Yagnik}%
\music{Aadesh Srivastava}%
\lyrics{Nida Fazli}%

% Contributor: V S Rawat

\printtitle
#indian

tujhe Dhuu.nDhuu.n mai.n Dhuu.nDhuu.n mai.n Dhuu.nDhuu.n kaise merii jaa.n
tere binaa mai.n jiyuu.n mai.n jiyuu.n kaise merii jaa.n
ye dil ye jaa.n tere li_e hai aajaa
ab aajaa aajaa aa bhii jaa
tujhe Dhuu.nDhuu.n \threedots

mere hote tuu kisii ko chaahe ye mumakin nahii.n
chhiin luu.ngaa sabase tujhako vo gagan ho yaa zamii.n
baat merii maan le varanaa tuu pachhataa_egii
mai.n huu.N sholaa mujhase gar Takaraa_egii
jal jaa_egii Takaraa_egii jal jaa_egii
Dhuu.nDhatii hai nazar tuu hai jaane kidhar
dil pareshaan hai har saa.Ns hai ajanabii
ye dil ye jaa.n \threedots

Dhuu.nDhatii hai tuu jise jisake li_e betaab hai
vo chhalaavaa hai nazar kaa behakiikat khvaab hai
khvaab kaa piichhaa na kar tuu ye safar dushvaar hai
jo nahii.n hai usakii chaahat sun le tuu bekaar hai
raat kaTatii nahii.n din nikalataa nahii.n
ko_ii ma.nzar kahii.n ab badalataa nahii.n
ye dil ye jaa.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
