% ISB File: TeesriQasam_1966.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{chalat musaafir moh liyo re pi.nja.De vaalii muniyaa}%
\film{Teesri Qasam}%
\year{1966}%
\starring{Raj Kapoor, Nutan}%
\singer{Manna De, chorus}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Credits: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
%          PVR Narasimha Rao (pvr@rice.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

chalat musaafir moh liyo re pi.nja.De vaalii muniyaa \- 4

u.D u.D baiThii halava_iyaa dukaniyaa \- 2
he raamaa!!!!
u.D u.D baiThii halava_iyaa dukaniyaa
aare!!
(barafii ke sab ras le liyo re
pi.nja.De vaalii muniyaa ) \- 2

a he a he \threedots he raamaa

u.D u.D baiThii bajajavaa dukaniyaa \- 2
aahaa!!!!
u.D u.D baiThii bajajavaa dukaniyaa
aare!
(kapa.Daa ke sab ras le liyo re
pi.nja.De vaalii muniyaa ) \- 3

jiyo jiyo palakadas jiyo!! 

u.D u.D baiThii panava.Diyaa dukaniyaa \- 2
he raamaa!!!!
u.D u.D baiThii panava.Diyaa dukaniyaa
aare!!
(bii.Daa ke sab ras le liyo re
pi.nja.De vaalii muniyaa ) \- 3

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{duniyaa banaane vaale, kyaa tere man me.n samaaii}%
\film{Teesri Qasam}%
\year{1966}%
\starring{Raj Kapoor, Waheeda}%
\singer{Mukesh}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          Private Eye (an36002@anon.penet.fi)
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

(duniyaa banaane vaale,  kyaa tere man me.n samaaI 
kaaheko duniyaa banaaI, tuune kaaheko duniyaa banaaI )  \- 2

kaahe banaae tuune maaTii ke putale,
dharatii ye pyaarii pyaarii mukha.De ye ujale
kaahe banaayaa tuune duniyaa kaa khelaa \- 2
jisame.n lagaayaa javaanii kaa melaa
gup\-chup tamaashaa dekhe, vaah re terii khudaaI
kaaheko duniyaa banaaI, tuune kaaheko duniyaa banaaI  \threedots

tuu bhii to ta.Dapaa hogaa man ko banaakar,
tuufaa.n ye pyaar kaa man me.n chhupaakar
koI chhavi to hogii aa.Nkho.n me.n terii  \- 2
aa.Nsuu bhii chhalake ho.nge palako.n se terii
bol kyaa suujhii tujhako, kaaheko priit jagaaI
kaaheko duniyaa banaaI, tuune kaaheko duniyaa banaaI  \threedots

priit banaake tuune jiinaa sikhaayaa, ha.nsanaa sikhaayaa,
ronaa sikhaayaa
jiivan ke path par miit milaae  \- 2
miit milaake tuune sapane jagaae
sapane jagaake tuune, kaahe ko de dii judaaI
kaaheko duniyaa banaaI, tuune kaaheko duniyaa banaaI  \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{haay Gazab kahii.n taaraa TuuTaa}%
\film{Teesri Qasam}%
\year{1966}%
\starring{Waheeda Rehman, Raj Kapuur}%
\singer{Asha}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Veena Nayak
% Transliterator: K Vijay Kumar
% Series : The Missing Element (4)

\printtitle
#indian

haay Gazab kahii.n taaraa TuuTaaa
luuTaa re luuTaa mere sai.nyyaa ne luuTaa

pahalaa taaraa aTariyaa pe TuuTaa (2)
daa.Nto.n tale mai.n ne daabaa a.nguuThaa (2)
luuTaa re luuTaa, saa.Nvariyaa ne luuTaa
haay Gazab kahii.n taaraa TuuTaaa   \threedots

duusaraa taaraa bajariyaa me.n TuuTaa  (2)
dekhaa hai sabane __________ chhuuTa  (2)
luuTaa re luuTaa, sipahyaa ne luuTaa
haay Gazab kahii.n taaraa TuuTaaa   \threedots

tiisaraa taaraa phul_bagiyaa me.n TuuTaa  (2)
phuulo.n se puuchhe koii hai kaun jhuuTha  (2)
luuTa re luuTa, darogaa ne luuTaa
haay Gazab kahii.n taaraa TuuTaaa   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{laalii laalii Doliyaa me.n laalii re dulhaniyaa}%
\film{Teesri Qasam}%
\year{1966}%
\starring{Raj Kapoor, Waheeda Rehman}%
\singer{Asha Bhosle, Chorus}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Arunabha S Roy
% Transliterator: Arunabha S Roy
% Date: 22 Feb 2005
% Series: GEETanjali
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

laalii laalii Doliyaa me.n laalii re dulhaniyaa
piyaa kii piyaarii bholii bhaalii re dulhaniyaa

laalii laalii Doliyaa me.n laalii re dulhaniyaa
miiThe bain tiikhe naino.n vaalii re dulhaniyaa

lauTegii jo godii bhar hame.n naa bhulaanaa
laDDuu pe.Dhe laanaa apane haatho.n se khilaanaa
terii sab raate.n ho.n diivaalii re dulhaniyaa

duulhe raajaa rakhanaa jatan se dulhan ko
kabhii na dukhaanaa tuu goriyaa ke man ko
naazuk hai naazo.n kii hai paalii re dulhaniyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{maare gaye gulafaam ajii haa.N}%
\film{Teesri Qasam}%
\year{1966}%
\starring{Waheeda Rehman, Raj Kapoor}%
\singer{Lata}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Hasrat}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11018 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

( maare gaye gulafaam
ajii haa.N maare gaye gulafaam ) \-2
ulfat bhii raas naa aa_ii
ajii haa.N maare gaye gulafaam

ik sabzaparii dekhii
aur dil ko ga.Nvaa baiThe
( mastaanaa\-nigaaho.n par
phir hosh luTaa baiThe ) \-2
phir hosh luTaa baiThe
kaahe ko mai.n muskuraa_ii

ajii haa.N maare ga_e gulafaam
maare gaye gulafaam
ajii haa.N maare gaye gulafaam

abaruu kii kaTaarii se
naino.n kii dodhaarii se
( wo ho ke rahe zaKmii
ik baad\-e\-bahaaarii se ) \-2
ik baad\-e\-bahaaarii se
ye zulf kyo.n laharaa_ii

ajii haa.N maare gaye gulafaam
maare gaye gulafaam
ajii haa.N maare gaye gulafaam

is pyaar kii mahafil me.n
wo aaye muqaabil me.n
( wo tiir chale dil par
halachal sii hu_ii dil me.n ) \-2
halachal sii hu_ii dil me.n
chaahat kii sazaa paa_ii

ajii haa.N maare gaye gulafaam
maare gaye gulafaam
ajii haa.N maare gaye gulafaam
ulfat bhii raas naa aa_ii
ajii haa.N maare gaye gulafaam

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{paan khaaye saiyyaa.N hamaaro}%
\film{Teesri Qasam}%
\year{1966}%
\starring{Waheeda Rehman, Raj Kapoor}%
\singer{Asha}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11502 [V S Rawat]

\printtitle
#indian

paan khaaye sai.nyaa.N hamaaro
saa.Nvalii suuratiyaa ho.nTh laal\-laal
haay\-haay malamal kaa kurataa
malamal ke kurate pe chhii.nT laal\-laal
paan khaaye sai.nyaa.N hamaaro

( hamane ma.Ngaa_ii suramedaanii
le aayaa zaalim banaaras kaa zaradaa ) \-2
aa
apanii hii duniyaa me.n khoyaa rahe wo
hamare dil kii na puuchhe bedardaa
puuchhe bedardaa

paan khaaye sai.nyaa.N hamaaro
hoy\-hoy
saa.Nvalii suuratiyaa ho.nTh laal\-laal
haay\-haay malamal kaa kurataa
##laugh##
malamal ke kurate pe chhii.nT laal\-laal
paan khaaye sai.nyaa.N hamaaro

( bagiyaa gun\-gun paayal chhun\-chhun
chupake se aa_ii hai rut matavaalii ) \-2
aa
khil ga_ii.n kaliyaa.N duniyaa jaane
lekin na jaane bagiyaa kaa maalii
bagiyaa kaa maalii

paan khaaye sai.nyaa.N hamaaro
hoy\-hoy
saa.Nvalii suuratiyaa ho.nTh laal\-laal
haay\-haay malamal kaa kurataa
malamal ke kurate pe chhii.nT laal\-laal
paan khaaye sai.nyaa.N hamaaro

( khaa ke gilorii shaam se uu.Nghe
so jaaye wo diiyaa\-baatii se pahale ) \-2
haa
aa.Ngan\-aTaarii me.n ghabaraa_ii Doluu.N
chorii ke Dar se dil moraa dahale
dil moraa dahale

paan khaaye sai.nyaa.N hamaaro
saa.Nvalii suuratiyaa ho.nTh laal\-laal
haay\-haay malamal kaa kurataa
##laugh##
malamal ke kurate pe chhii.nT laal\-laal
paan khaaye sai.nyaa.N hamaaro

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{rahegaa ishq teraa ... aa aa bhii jaa raat Dhalane lagii}%
\film{Teesri Qasam}%
\year{1966}%
\starring{Raj Kapoor, Waheeda Rehman}%
\singer{Lata}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Arunabha S. Roy
% Transliterator: Arunabha S. Roy
% Date: 19 Feb 2003
% Series: LATAnjali
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

rahegaa ishq teraa Kaak me.n milaake mujhe
hu_e hai.n ibtedaa me.n ra.nj intehaa ke mujhe

aa, aa bhii jaa
raat Dhalane lagii, ho, chaa.Nd chhupane chalaa
ho aa, aa bhii jaa

terii yaad me.n beKabar, shamaa kii tarah raat bhar\-2
jalii aarzuu dil jalaa, aa, aa bhii jaa

sitaaro.n ne mu.Nh pherakar kahaa alvidaa hamasafar \-2
chalaa kaaravaa.N ab chalaa, aa, aa bhii jaa

ufak par kha.Dii hai sahar, a.Ndheraa hai dil me.n idhar \-2
vahii roz kaa silasilaa, aa, aa bhii jaa

raat Dhalane lagii, chaa.Nd chhupane chalaa
ho aa, aa bhii jaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sajan re jhuuTh mat bolo Kudaa ke paas jaanaa hai}%
\film{Teesri Kasam}%
\year{1966}%
\starring{Raj Kapoor}%
\singer{Mukesh}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) 
%          C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai
na haathii hai naa gho.Daa hai, vahaa.N paidal hii jaanaa hai

tumhaare mahal chaubaare, yahii.n rah jaae.nge saare    \- 2
aka.D kis baat ki pyaare
aka.D kis baat ki pyaare, ye sar phir bhii jhukaanaa hai
sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai \threedots

bhalaa kiijai bhalaa hogaa, buraa kiijai buraa hogaa    \- 2
bahii likh likh ke kyaa hogaa
bahii likh likh ke kyaa hogaa, yahii.n sab kuchh chukaanaa hai
sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai \threedots

la.Dakapan khel me.n khoyaa, javaanii nii.nd bhar soyaa    \- 2
bu.Dhaapaa dekh kar royaa
bu.Dhaapaa dekh kar royaa, vahii kissaa puraanaa hai
sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai
na haathii hai naa gho.Daa hai, vahaa.N paidal hii jaanaa hai
sajan re jhuuTh mat bolo, khudaa ke paas jaanaa hai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sajanavaa bairii ho gaye hamaar}%
\film{Teesri Kasam}%
\year{1966}%
\starring{Raj Kapoor, Waheeda}%
\singer{Mukesh}%
\music{Shankar-Jaikishan}%
\lyrics{Shailendra}%

% Contributor: Ravi Kant Rai, Preeti Ranjan Panda
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

sajanavaa bairii ho gaye hamaar (2)
chiThiyaa ho to har koI baa.Nche
bhaag naa baa.Nche koy
karamavaa bairii ho gaye hamaar

jaae base parades balamavaa sautan ke bharamaae
naa sandes naa koI khabariyaa, rut aae rut jaae
naa koI is paar hamaarA \- 2
naa koI us paar
sajanavaa bairii ho gaye hamaar

suunii sej god morii suunii marm naa jaane koy
chhaTapaT ta.Dape ek bichaarii mamataa aa.Nsuu roe
Duub gae ham biich bha.Nvar me.n \- 2
sarake solah saal
karamavaa bairii ho gaye hamaar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
