% ISB File: TheTrain_1970.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{gulaabii aa.Nkhe.n jo terii dekhii.n sharaabii ye dil ho gayaa}%
\film{The Train}%
\year{1970}%
\starring{Rajesh Khanna, Nanda}%
\singer{Rafi}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10806 [V S Rawat]
% Credits: Ashok Dhareshwar

\printtitle
#indian

gulaabii aa.Nkhe.n jo terii dekhii.n sharaabii ye dil ho gayaa
sa.mbhaalo mujhako o mere yaaro.n sa.mbhalanaa mushkil ho gayaa
gulaabii aa.Nkhe.n jo \threedots

dil me.n mere Kvaab tere tasviire.n jaise ho.n diivaar pe
tujhape fidaa mai.n kyuu.N hu_aa aataa hai gussaa mujhe pyaar pe
mai.n luT gayaa maan ke dil kaa kahaa
mai.n kahii.n kaa naa rahaa kyaa karuu.N mai.n dilarubaa
buraa ye jaaduu terii aa.Nkho.n kaa ye meraa qaatil ho gayaa
gulaabii aa.Nkhe.n jo \threedots

maine sadaa chaahaa yahii daaman bachaa luu.n hasiino.n se mai.n
terii qasam Kvaabo.n me.n bhii bachataa phiraa naazaniino.n se mai.n
taubaa magar mil ga_ii tujhase nazar mil gayaa dard\-e\-jigar
sun zaraa o beKabar
zaraa saa ha.Ns ke jo dekhaa tuune mai.n teraa bismil ho gayaa
gulaabii aa.Nkhe.n jo \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kisali_e mai.nne pyaar kiyaa}%
\film{The Train}%
\year{1970}%
\starring{Rajesh Khanna, Nanda}%
\singer{Lata}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: Rizwan Syed (rizwan@earth.sparco.com)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Thu Sep  7, 1995
% Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com)
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)

\printtitle
#indian

(kis liye mai.n ne pyaar kiyaa
 dil ko yuu.Nhii beqaraar kiyaa
 shaam savere terii raah dekhii
 raat din i.ntazaar kiyaa)      \-2

aa.Nkho.n me.n mai.n ne kaajal Daalaa
maathe pe bi.ndiyaa lagaa_ii
aise me.n tuu aa jaae to
kyaa ho, raam duhaa_ii
chhup ke mu.nh me.n armaano.n ne
lii kaisii a.nga.Daa_ii
koii dekhe to kyaa samajhe
ho jaae rusvaa_ii
mai.n ne kyo.n si.nGaar kiyaa
dil ko yuu.N beqaraar kiyaa
shaam savere terii raah dekhii
raat din i.ntazaar kiyaa, ho\threedots
kis liye mai.n ne pyaar kiyaa

aaj vo din hai, jisake liye mai.n
ta.Dapii banake raadhaa
aaj mere man kii bachainii
ba.D ga_ii aur zyaadaa
pyaar me.n dhokaa na khaa jaae
ye man siidhaa\-saadaa
aisaa na ho jhuuThaa nikale
aaj milan kaa vaadaa
mai.n ne kyo.n aitabaar kiyaa
(dil ko yuu.Nhii beqaraar kiyaa
 shaam savere terii raah dekhii
 raat din i.ntazaar kiyaa, ho\threedots
 kis liye mai.n ne pyaar kiyaa)  \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mujhase bhalaa ye kaajal teraa nain base din\-rain}%
\film{The Train}%
\year{1970}%
\starring{Rajesh Khanna, Nanda}%
\singer{Rafi, Lata}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Contributor: BOL ANAMOL #10807 [V S Rawat]
% Credits: Ashok Dhareshwar

\printtitle
#indian

ra \:	mujhase bhalaa ye kaajal teraa nain base din\-rain
	nii soNiye \-2
la \:	ho chho.D bedardii aa.Nchal meraa ho ga_ii mai.n bechain
	re soNeyaa \-2

ra \:	naam kii tuu hai merii sajaniyaa naam kaa huu.N mai.n teraa piyaa o
	reshamii laT se khele ye gajaraa duur se tarase meraa jiyaa
	naa naa
la \:	haa.N haa.N
ra \:	taubaa
la \:	taubaa kaisii
	naam hai premii paagal teraa to sa.ng laage nain
	re soNeyaa \-2

	prem galii me.n hogaa na balamaa tujhasaa diivaanaa aur ko_ii o
	chain u.Daanaa nii.nd churaanaa siikhe tujhase chor ko_ii
	naa naa
ra \:	haa.N haa.N gorii
la \:	kyaa hai sai.nyaa
ra \:	huu.N mai.n to ghaayal teraa ta.Dapuu.N saarii rain
	nii soNiye \-2
la \:	chho.D bedardii aa.Nchal \threedots

ra \:	chaahe pavan ho chaahe kiraN ho chhuune na duu.Ngaa teraa badan
la \:	jalataa hai man to man me.n chhupaa ke rakh le mujhe tuu mere sajan
	naa naa
ra \:	haa.N haa.N raanii
la \:	kyaa hai raajaa
ra \:	haa.N ruup barasataa baadal teraa pyaase hai.n nain
	nii soNiye \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{o merii jaa.N mai.nne kahaa}%
\film{The Train}%
\year{1970}%
\starring{Rajesh Khanna, Nanda}%
\singer{R D Burman, Asha}%
\music{R D Burman}%
\lyrics{Anand Bakshi}%

% Audio on: Polydor/PolyGram/MIL/Universal
% Contributor: George Thomas (georgethomas at despammed dot com)
% Transliterator: George Thomas (georgethomas at despammed dot com)
% Editor: Vinay P Jain
% Date: 15 Mar 2005
% Series: Tere Hamsafar Geet Hain Tere (THGHT)
% generated using www.giitaayan.com

\printtitle
#indian

aar Dii:
(o merii jaa.N mai.nne kahaa
o merii jaa.N tuune sunaa)\-2
dil ne dil se kyaa kahaa

aashaa:
(o merii jaa.N mai.nne kahaa
o merii jaa.N tuune sunaa)\-2
dil ne dil se kyaa kahaa

baato.n baato.n me.n karatii huu.N mai.n kamaal
bas jaatii huu.N mai.n dil me.n ban ke Kayaal
aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n detii huu.N mai.n jawaab
aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n karatii huu.N mai.n sawaal

aar Dii:
o merii jaa.N mai.nne kahaa
o merii jaa.N tuune sunaa
aashaa:
o merii jaa.N mai.nne kahaa
o merii jaa.N tuune sunaa
dil ne dil se kyaa kahaa

aashaa:
mai.n bhii tho.Dii sii rahatii huu.N beqaraar
tuu bhii tho.Daa saa lagataa hai beqaraar
terii merii to haalat hai ek sii
kyo.n naa aapas me.n ham dono.n kar le.n pyaar

aar Dii:
o merii jaa.N mai.nne kahaa
o merii jaa.N tuune sunaa
aashaa:
o merii jaa.N mai.nne kahaa
o merii jaa.N tuune sunaa
dil ne dil se kyaa kahaa

aashaa:
dilakash baate.n hasii.n mahafil dil jawaa.N
aisii raate.n jawaanii me.n phir kahaa.N
mere ho.nTho.n pe afasaanaa pyaar kaa
tere lab pe mohabbat kii daastaa.N

aar Dii:
(o merii jaa.N mai.nne kahaa
o merii jaa.N tuune sunaa)\-2
are dil ne dil se kyaa kahaa
aashaa:
o merii jaa.N tuune kahaa
o merii jaa.N mai.nne sunaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
