% ISB File: Toofaan_1954.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{jalaa kar aag dil me.n zindagii barabaad karate hai.n}%
\film{Toofaan}%
\year{1954}%
\starring{}%
\singer{S D Batish}%
\music{S D Batish}%
\lyrics{Waheed Qureshi}%

% Contributor: Balaji A S Murthy
% Transliterator: Balaji A S Murthy

\printtitle
#indian

jalaakar aag dil me.n, zindagii barabaad karate hai.n
na ha.Nsate hai.n, na rote hai.n, na kuchh fariyaad karate hai.n

ummiide.n, hasarat-o-aramaan, sab apanaa li_e dil me.n
li_e barabaadiyaa.N ab, ra.nj-o-Gam aabaad karate hai.n
na ha.Nsate hai.n \threedots

rahe.n majabuuriyaa.N apanii, rahe.n barabaadiyaa.N apanii
ham apane aashiyaa ko, aap hii barabaad karate hai.n
na ha.Nsate hai.n \threedots

nahii.n apanii ko_ii ma.nzil, kahaa.N jaa_e.n, kidhar jaa_e.n
sahaaraa maut kaa hai, maut ko apanaa karate hai.n
na ha.Nsate hai.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
