% ISB File: TuHiMeriZindagi_1965.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{maayuus na ho ai mere vatan ... aadam kaa lahuu}%
\film{Tu Hi Meri Zindagi}%
\year{1965}%
\starring{Deb Mukherji, Nivedita}%
\singer{Rafi}%
\music{Ronodeb Mukherji}%
\lyrics{Neeraj}%

% Contributor: Ashok M. Dhareshwar (ADhareshwar@WorldBank.Org)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Wed Jan 17, 1996
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)

\printtitle
#indian

maayuus na ho ai mere vatan
aa.Nsuu se na dho ye laal kafan
miTakar bhii nahii.n miT paataa hai
aadam kaa lahuu, aadam kaa lahuu	\-2

aayaa banakar gaa.ndhii
vo kabhii aayaa banakar gaa.ndhii
vo kabhii jaagaa banakar sukraat
kabhii bolaa banakar manasuur
kabhii chiikhaa banakar farahaad
kabhii sau bhes badalakar aataa hai
aadam kaa lahuu, aadam kaa lahuu	\-2

hi.nduu vo nahii.n, musalim vo nahii.n	\-2
inasaan re bas inasaan hai vo
nafarat jo kare shaitaan hai vo
Gar pyaar kare bhagavaan hai vo
aTare (??) me.n sama.ndar laataa hai
aadam kaa lahuu, aadam kaa lahuu        \-2

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere himaalay ke paasabaano}%
\film{Tu Hi Meri Zindagi}%
\year{1965}%
\starring{Deb Mukherji, Nivedita}%
\singer{Rafi}%
\music{Ronodeb Mukherji}%
\lyrics{Neeraj}%

% Contributor: BOL ANAMOL #12241 [V S Rawat], 23/01/2004

\printtitle
#indian

mere himaalay ke paasabaano
mere gulistaa.N ke baaGabaano
uTho.n ki sadiyo.n kii nii.nd taj kar
tumhe.n watan phir pukaarataa hai \-2

mere himaalay ke paasabaano
mere gulistaa.N ke baaGabaano

( hawaa_o.n ke dil dahal rahe hai.n
gulaab neharuu ke jal rahe hai.n ) \-2
zamii.n to kyaa hai \-2
falaq ke aa.Nsuu nikal rahe hai.n

qasam tumhe.n maa.N ke duudh kii hai
qasam shahiido.n ke duudh kii hai
zamii.n se usakaa nishaa.N miTaa do
jo baaG apanaa ujaa.Dataa hai

mere himaalay ke paasabaano
mere gulistaa.N ke baaGabaano

( ham apane Kuu.N me.n nahaa chuke hai.n
safiinaa apanaa Dubaa chuke hai.n ) \-2
khilo\-phalo tum ai ahal\-e\-ma.nzil
ham apanii ma.nzil pe aa chuke hai.n

hai aaKirii ye salaam apanaa
hai aaKirii ye payaam apanaa
jo jaagataa hai nahii.n samay par
wo jiitii baazii ko haarataa hai

mere himaalay ke paasabaano
mere gulistaa.N ke baaGabaano

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
