% ISB File: Tulsidaas_1954.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{mujhe apanii sharaN me.n le lo raam}%
\film{Tulsidas}%
\year{1954}%
\starring{Mahipal, Shyama}%
\singer{Rafi}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{G S Nepali}%

%Contributor: Prithviraj Dasgupta
%Date: October 28, 2000
%Comments: Geetanjali (In praise of God#5)

\printtitle
#indian

(mujhe apanii sharaN me.n le lo raam le lo raam) \-2
(lochan man me.n jagah na ho to) \-2
jugal charaN me.n le lo raam le lo raam mujhe \threedots

jiivan deke jaal bichhaayaa
rach ke maayaa naach nachayaa
(chintaa merii tabhii rukegii) \-2
jab chintan me.n le lo raam le lo raam mujhe \threedots

tuu ne laakho.N paapii taare
merii baarii baazii haare baazii haare
(mere paas na puNya kii puu.Njii) \-2
padapuujan me.n le lo raam mujhe \threedots

raam he raam
raam he raam
dar dar bhaTakuu.N ghar ghar aTakuu.N
kahaa.N kahaa.N apanaa sar paTakuu.N
is jiivan me.n milo na tum to raam he raam
is jiivan me.n milo na tum to
mujhe maraN me.n le lo raam le lo raam mujhe \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{raadhaa jii ke ku.nwar kanhaiyaa ho}%
\film{Tulsidaas}%
\year{1954}%
\starring{Mahipal, Shyama}%
\singer{Rafi, Asha}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{G S Nepali}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 19, 2005

\printtitle
#indian

aa:	o
	( raadhaa jii ke ku.nwar kanhaiyaa ho 
	merii na_iya kaa kaun khewaiyaa
ra:	ho terii na_iyaa ke raam khewaiyaa ) \-2

aa:	achchhaa bataa do chaa.Nd gagan kaa
	kis dulhan kaa Tiikaa hai
	sa.njhaa ne si.nduur u.Dhaayaa \-2
	phir kyuu.N phiikaa phiikaa hai
ra:	o
	sadaa suhaagan puunam raanii
	chaa.Nd usii kaa Tiikaa hai
	jal darpan me.n dekh ke tujhako \-2
	cha.Ndaa phiikaa phiikaa hai
aa:	taare cha.ndaa ke raas rachaiyaa
	merii na_iya kaa kaun khewaiyaa
ra:	ho terii na_iyaa ke raam khewaiyaa

aa:	achchhaa bataa do lahare.n uTh kar
	laharo.n se kyuu.N Takaraaye.n
	kisako dekh sharaabii jaisii \-2
	uTh aaye.n gir gir jaaye.n
ra:	o
	ek chaa.Nd tum laakho.n laharo.n
	aapas me.n la.Datii aaye.n
	tujhe paka.Dane ko laharo.n ke
	ka.ndho.n par cha.Dhatii jaaye.n
aa:	kheluu.N laharo.n se ta ta thaiyaa
	merii na_iya kaa kaun khewaiyaa
ra:	ho terii na_iyaa ke raam khewaiyaa
aa:	raadhaa jii ke ku.nwar kanhaiyaa ho 
	merii na_iya kaa kaun khewaiyaa
ra:	ho terii na_iyaa ke raam khewaiyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
