% ISB File: Vaasna_1968.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe}%
\film{Vaasna}%
\year{1968}%
\starring{Raj Kumar, Padmini, Biswajeet}%
\singer{Rafi}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Sahir}%

% contributor: Animesh Kumar
% Transliterator: Animesh Kumar
% series: Rafi Veritable Gems
% date: may 26, 2003

\printtitle
#indian

(aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe)\-2
beKudii itanii ba.Dhaa do ke na kuchh yaad rahe
aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe

dostii kyaa hai, wafaa kyaa hai muhabbat kyaa hai
dil kaa kyaa mol hai ehasaas kii kiimat kyaa hai
hamane sab jaan liyaa hai ke haqiiqat kyaa hai
aaj bas itanii du_aa do ke na kuchh yaad rahe
aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe

mufalisii dekhii, amiirii kii adaa dekh chuke
Gam kaa maahaul, masarrat kii Kizaa dekh chuke
kaise phiratii hai zamaane kii hawaa dekh chuke
shammaa yaado.n kii bujhaa do, ke na kuchh yaad rahe
aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe

ishq bechain Kyaalo.n ke siwaa ke kuchh bhii nahii.n
husn beruuh ujaalo.n ke siwaa kuchh bhii nahii.n
zi.ndagii cha.nd sawaalo.n ke siwaa kuchh bhii nahii.n
har sawaal aise miTaa do ke na kuchh yaad rahe
aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe

miT na paa_egaa jahaa.N se kabhii nafarat kaa riwaaj
ho na paa_egaa kabhii ruuh ke zaKmo.n kaa ilaaj
(saltanat zulm, Kudaa waham musiibat hai samaaj)\-2
zahan ko aise sulaa do ke na kuchh yaad rahe
aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe
beKudii itanii ba.Dhaa do ke na kuchh yaad rahe
aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{itanii naazuk naa bano, haay}%
\film{Vaasna}%
\year{1968}%
\starring{}%
\singer{Rafi}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Credits: sanjeevr@phoenix.Princeton.EDU (Sanjeev Ramabhadran)
%          Ravi Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Transliterator: Shripad Lale (lale@cent.gud.siemens.co.at)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian 

itanii naazuk naa bano, haay, itanii naazuk naa bano
hadake andar ho nazaakat to adaa hotii hai
hadase ba.Dh jaaye to aap apanii sazaa hotii hai
(itanii\threedots)

jism kaa bojh uThaaye nahii.n uThataa tumase
zi.ndagaanii kaa ka.Daa bojh sahogii kaise
tum jo halakiisii havaao.n me.n lachak jaatii ho
tez jho.nko.n ke thape.Do.n me.n rahogii kaise
(itanii\threedots)

ye naa samajho ke har ik raah me.n kaliyaa.n ho.ngii
raah chalanii hai to kaa.nTo.n pe bhii chalanA hogaa
ye nayaa daur hai is daur me.n jiine ke liye
husn ko husn kaa andaaz badalanaa hogaa 
(itanii\threedots)

koi rukataa nahii.n Thahare hue raahii ke liye
jo bhii dekhegaa voh kataraake guzar jaayegaa
ham agar vaqt ke hamaraah naa chalane paaye
vaqt ham dono ko Thukaraake guzar jaayegaa
(itanii\threedots)

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ye parbato.n ke daayare ye shaam kaa dhuaa.N}%
\film{Vasna}%
\year{1968}%
\starring{Biswajeet, Kumud Chugani, Rajkumar, Padmini}%
\singer{Lata, Rafi}%
\music{Chitragupt}%
\lyrics{Sahir}%

% Contributor: U V Ravindra

\printtitle
#indian

ye parbato.n ke daayare ye shaam kaa dhuaa.N
aise me.n kyo.n na chhe.D de.n dilo.n kii daastaa.N

zaraa sii zulf khol do fizaa me.n itr ghol do
nazar jo baat kah chukii vo baat mu.Nh se bol do
ki jhuum uThe nigaah me.n bahaar kaa samaa.N
ye parbato.n ke daayare \threedots

ye chup bhii ek savaal hai ajiib dil kaa haal hai
har ik Kayaal kho gayaa bas ab yahii Kayaal hai
ki faasalaa na kuchh rahe hamaare darmiyaa.N
ye parbato.n ke daayare \threedots

ye ruup ra.ng ye phaban chamakte chaa.Nd saa badan
buraa na maano tum agar to chuum luu.N kiraN kiraN
ki aaj hausalo.n me.n hai balaa kii garmiyaa.N
ye parbato.n ke daayare \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
