% ISB File: Waaris_1954.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{Gazab kiyaa tere waade pe ... sautan ghar na jaa}%
\film{Waaris}%
\year{1954}%
\starring{Talat, Suraiya}%
\singer{Rajkumari}%
\music{Anil Biswas}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 7, 2004

\printtitle
#indian

Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa i.ntazaar kiyaa

sautan ghar na jaa o more saiyaa.N \-2
sautan ghar na jaa bairan ghar na jaa o more saiyaa.N
sautan ghar na jaa o more saiyaa.N

Kabar na thii ke hame.n ashqabaar kar doge
hamaarii Kushiyaa.N kisii par nisaar kar doge
to.D ke meraa pyaar kaa sapanaa \-2
na jaa pa.Duu.N mai.n tore pa_iyaa.N o more saiyaa.N \-2
sautan ghar na jaa bairan ghar na jaa o more saiyaa.N

% the version I heard ends here abruptly

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kabhii hai.n Gam kabhii Kushiyaa.N}%
\film{Waris}%
\year{1954}%
\starring{Talat, Suraiyya}%
\singer{Talat}%
\music{Anil Biswas}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
% Transliterator: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian 

kabhI hai.n Gam kabhI khushiyA.n yahI to zindagAnI hai
kabhI lab par ha.NsI hai aur kabhI A.Nkho.n me.n pAnI hai
kabhI hai.n Gam

ne ghabarA AsamA.n par chhA gayA hai Aj agar bAdal \- 2
ke ye bAdal hI chandA ke nikalane kI nishAnI hai \- 2
kabhI hai.n Gam

bharA karate hai.n zakhm\-e\-dil aur A.NsU bhI hai.n tham jAte \- 2
aur A.NsU bhI hai.n tham jAte
banAI jisane duniyA ye usI kI meharabAnI hai \- 2
kabhI hai.n Gam \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{raahii matavaale tuu chhe.D ik baar}%
\film{Waris}%
\year{1954}%
\starring{Talat, Suraiyya}%
\singer{Talat, Suraiyya}%
\music{Anil Biswas}%
\lyrics{Qamar Jalalabadi}%

% Contributor: Balaji A.S. Murthy <fj076@cleveland.freenet.edu>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Credits: Ashok Dhareshwar <ADhareshwar@WorldBank.Org>
% Date: 03/30/1997
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Comments : Surajit Bose says "The first version of the song is identical 
%            in its tune to a very well-known Ravindra Sangeet song: 
%            o re grihavaasii, khol dvaar khol, laagalo je dol"

\printtitle
#indian

raahii matavaale, tuu chhe.D ik baar, man kaa sitaar
jaane kab chorii\-chorii aa_ii hai bahaar
chhe.D man kaa sitaar

(dekh dekh chakorii kaa mana huaa cha.nchal
 cha.ndaa ke mukha.De pe badalii kaa aa.Nchal) 	\-2
kabhii chhupe, kabhii khile, ruup kaa nikhaar,
khile ruup kaa nikhaar

kalii\-kalii chuum ke pavan kahe khil jaa
kalii\-kalii chuum ke,
khilii kalii bha.Nvare se kahe aa ke mil jaa
aa piyaa mila jaa, kalii\-kalii chuum ke
dil ne sunii kahii.n dil kii pukaar \-2
kahii.n dil kii pukaar

(raat banii dulhan bhiigii huii palake.n
 bhiinii\-bhiinii Kushabuu se saagar chhalake) \-2
aise me.n nainaa se nainaa ho.n chaar
zaraa nainaa ho chaar

#Slow version courtesy FITB#
raahii matavaale, tuu chhe.D ik baar, man kaa sitaar
jaane kab chorii chorii aa_ii hai bahaar, chhe.D man kaa sitaar
raahii matavaale, raahii matavaale 

raahii matavaale, raahii matavaale 
(dil kaa suruur tuu, maa.ng kaa si.nduur tuu
 man kahe baar baar aayegaa zaruur tuu
 aayegaa zaruur tuu) \-2
tujhako bulaaye mere a.Nsuo.n kii dhaar \-2
aajaa ek baar 

raahii matavaale, tuu aajaa ek baar, suunii hai sitaar
tere binaa ruuTh gayii hamase bahaar, tuu aajaa ek baar 

aa.Nkh na milaaye mose bairan ni.ndiyaa, bairan ni.ndiyaaa
aa.Nkh na milaaye mose bairan ni.ndiyaa
piyaa kahaa.N piyaa kahaa.N, (puuchh rahii bi.ndiyaa )\-2
aa.Nkh na milaaye mose bairan ni.ndiyaa, bairan ni.ndiyaa
ruuTh rahaa mujhase meraa hii si.ngaar \-2
aajaa ek baar 

raahii matavaale, tuu aajaa ek baar, suunii hai sitaar
tere binaa ruuTh gayii hamase bahaar, aajaa ek baar


#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
