% ISB File: YaadgarGhazlen_1990(NON-FILM).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ai dard\-e\-hijr\-e\-yaar Gazal kah rahaa huu.N mai.n}%
\film{Yaadgar Ghazlen (Non-Film)}%
\year{1990}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

ai dard\-e\-hijr\-e\-yaar Gazal kah rahaa huu.N mai.n
be\-mausam\-e\-bahaar Gazal kah rahaa huu.N mai.n

mere bayaan\-e\-Gam kaa tasalasul na TuuT jaaye
Gesuu zaraa sa.Nwaar Gazal kah rahaa huu.N mai.n

raaz\-o\-nayaaz\-e\-ishq me.n kyaa daKl hai teraa
haT fiqr\-e\-rozagaar Gazal kah rahaa huu.N mai.n

saaqii bayaan\-e\-shauq me.n ra.ngiiniyaa.N bhii ho.n
laa jaam\-e\-Kush\-gawaar Gazal kah rahaa huu.N mai.n

tujhasaa sukhan\-shanaas ko_ii duusaraa nahii.n
sun ai Kayaal\-e\-yaar Gazal kah rahaa huu.N mai.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bechain bahut phiranaa ghabaraaye huye rahanaa}%
\film{Yaadgar Ghazlen (Non-Film)}%
\year{1990}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Munir Niyazi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

bechain bahut phiranaa ghabaraaye huye rahanaa
ik aag sii jazbo.n kii dahakaaye huye rahanaa

chhalakaaye huye chalanaa Kushbuu lab\-e\-laalii kii
ik baaG saa saath apane mahakaaye huye rahanaa

us husn kaa shevaa hai jab ishq nazar aaye
parde me.n chale jaanaa sharmaaye huye rahanaa

ik shaam sii kar rakhanaa kaajal ke karishme se
ik chaa.Nd saa aa.Nkho.n me.n chamakaaye huye rahanaa

aadat hii banaa lii hai tumane to 'muniir' apanii
jis shahar me.n bhii rahanaa ukataaye huye rahanaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Kaatir se yaa lihaaz se mai.n maan to gayaa}%
\film{Yaadgar Ghazlen (Non-Film)}%
\year{1990}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Daag}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

Kaatir se yaa lihaaz se mai.n maan to gayaa
jhuuThii qasam se aapakaa iimaan to gayaa

dil le ke muft kahate hai.n kuchh kaam kaa nahii.n
ulTii shiqaayate.n rahii.n ehasaan to gayaa

afshaa\-e\-raaz\-e\-ishq me.n go jillate.n hu_ii.n
lekin use jataa to diyaa jaan to gayaa

hosh\-o\-hawaas\-o\-taab\-o\-tawaa.N 'daaG' jaa chuke
ab ham bhii jaane waale hai.n saamaan to gayaa

% the following shers were not in the version I heard

Darataa huu.N dekh kar dil\-e\-be_aarazuu ko mai.n
sunasaan ghar ye kyuu.N na ho mehamaan to gayaa

kyaa aa_ii raahat aa_ii jo ku.nj\-e\-mazaar me.n
wo walawalaa wo shauq wo aramaan to gayaa

dekhaa hai butakade me.n jo ai shekh kuchh na puuchh
iimaan kii to ye hai ki iimaan to gayaa

go naamaabar se kuchh na hu_aa par hazaar shukr
mujhako wo mere naam se pahachaan to gayaa

bazm\-e\-uduu me.n suurat\-e\-parawaanaa meraa dil
go rashq se jalaa tere qurbaan to gayaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kisii ko de ke dil ko_ii nawaa sa.nj\-e\-fuGaa.N kyuu.N ho}%
\film{Yaadgar Ghazlen (Non-Film)}%
\year{1990}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Ghalib}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

kisii ko de ke dil ko_ii nawaa sa.nj\-e\-fuGaa.N kyuu.N ho
na ho jab dil hii siine me.n to phir mu.Nh kyuu.N ho

wo apanii kuu.N na chho.De.nge ham apanii bazzaa kyuu.N badale.n
subak\-sar banake kyaa puuchhe ke hamase saraGaraa.N kyuu.N ho

kiyaa Gam\-Kaar ne rusawaa lage aag is muhabbat ko
na laave taab jo Gam kii wo meraa raazadaa.N kyuu.N ho

ye kah sakate ho ham dil me.n nahii.n hai.n par ye batalaa_o
ke jab dil me.n tumhii.n tum ho to aa.Nkho.n se nihaa.N kyuu.N ho

kahaa tumane ke kyuu.N ho Gair se milane me.n ruswaa_ii
bajaa kahate ho sach kahate ho phir kahiyo ki haa.N kyuu.N ho

nikaalaa chaahataa hai kaam kyaa taano.n se tuu 'Gaalib'
tere bemehar kahane se wo tujh par meharabaa.N kyuu.N ho

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mujhe dekh ek azaab me.n, kabhii Kaab me.n}%
\film{Yaadgar Ghazlen (Non-Film)}%
\year{1990}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

mujhe dekh ek azaab me.n, kabhii Kaab me.n
kabhii aatish\-e\-sar\-e\-Kaab me.n, kabhii Kaab me.n

ko_ii naql jhuumataa hai nigaah ke ruu\-ba\-ruu
kabhii i.ntazaar\-e\-sahaab me.n, kabhii Kaab me.n

kabhii baad\-o\-aatish\-e\-tez me.n hai merii namuu.N
kabhii Kaak me.n, kabhii aab me.n, kabhii Kaab me.n

kabhii apanii tarz badal badal ke bhii mil hame.n
kabhii aashnaa_ii ke baab me.n, kabhii Kaab me.n

hame.n phir se taazaa haqiiqato.n kaa suraaG de
kabhii pardaa aaye hijaab me.n, kabhii Kaab me.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{tumhaare Kat me.n nayaa ik salaam kisakaa thaa}%
\film{Yaadgar Ghazlen (Non-Film)}%
\year{1990}%
\starring{}%
\singer{Ghulam Ali}%
\music{}%
\lyrics{Daag Dehalwi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

tumhaare Kat me.n nayaa ik salaam kisakaa thaa
na thaa raqiib to aaKir wo naam kisakaa thaa

rahaa na dil me.n wo bedard aur dard rahaa
muqiim kaun hu_aa hai maqaam kisakaa thaa

% mukiim: maalik, resident, basane waalaa

wafaa kare.nge, nibaahe.nge, baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kisakaa thaa

guzar gayaa wo zamaanaa kahuu.N to kisase kahuu.N
Kayaal dil ko mere subah\-o\-shaam kisakaa thaa

% the following sher are not in the version I heard

wo qatl karake mujhe har kisii se puuchhate hai.n
ye kaam kisane kiyaa hai ye kaam kisakaa thaa

inhii.n safaat se hotaa hai aadamii mashahuur
jo lutf aap wo karate to naam kisakaa thaa

na puuchh gachchh kisii kii wahaa.N na aaw\-bhagat
tumhaarii bazm me.n kal ehataraam kisakaa thaa

hamaare Kat ke to purje kiye pa.Dhaa bhii nahii.n
sunaa jo tumane ba\-dil wo payaam kisakaa thaa

har ek se kahate hai.n kyaa 'daaG' bewafaa nikalaa
ye puuchhe inase ko_ii wo Gulaam kisakaa thaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
