% ISB File: Zebo_1972(PAKISTAN).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{meraa dil phir TuuTaa kyuu.N TuuTaa kaise TuuTaa}%
\film{Zebo (Pakistani-Film)}%
\year{1972 Not Released}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Khurshid Anwar}%
\lyrics{Qateel Shifai}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], Aug 02, 2004
% Credits: Irfan
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

meraa dil phir TuuTaa kyuu.N TuuTaa kaise TuuTaa
kisii naadaan kii Thokar se khilaunaa jaise TuuTaa
meraa dil phir TuuTaa

bikhar gayaa dil TuuT ke meraa kaun ise ab jo.De
dukh kii raate.n lambii hai.n aur Kushiyo.n ke din tho.De
dil kaa saaz ba.Daa naazuk thaa apanii lay se TuuTaa
kisii naadaan kii Thokar se khilaunaa jaise TuuTaa
meraa dil phir TuuTaa

saahil se phir jaa Takaraa_ii Duub chalii phir naav
naye dukho.n se aan mile hai.n aaj puraane ghaav
jaise dil pahale TuuTaa thaa aaj bhii vaise TuuTaa
kisii naadaan kii Thokar se khilaunaa jaise TuuTaa
meraa dil phir TuuTaa

kabhii jo dekhaa karate the merii Kushiyo.n ke sapane
kidhar gaye wo saathii mere kahaa.N gaye wo apane
ek\-ek kar ke chho.D gaye sab ye dil aise TuuTaa
kisii naadaan kii Thokar se khilaunaa jaise TuuTaa
meraa dil aise TuuTaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mere chaaro.n taraf ... mai.n tanahaa thaa}%
\film{Zebo (Pakistani-Film)}%
\year{1972 Not Released}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{Khurshid Anwar}%
\lyrics{Qateel Shifai}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], Aug 02, 2004
% Credits: Irfan
% Song Courtesy: http://hindi-movies-songs.com/

\printtitle
#indian

mere chaaro.n taraf zamazame.n, qahaqahe, saraKushii hai
mere chaaro.n taraf zi.ndagaii zi.ndagaii zi.ndagaii hai
par ai dil bataa ke mai.n kab talak isase mu.Nh mo.D kar
apane maazii kii yaado.n se lipaTaa rahuu.Ngaa
mai.n tanahaa thaa, tanahaa huu.N, tanahaa rahuu.Ngaa
kab talak

yuu.N lagataa hai jaise merii soch ke saaye
naach rahe hai.n aaj pahan kar jism paraaye
tuu bhii jhuum le, jhuum le, jhuum le
tuu bhii jhuum le har saayaa ye kahataa hai
are pagale kaun alag Kushiyo.n se rahataa hai
par ai dil bataa
ai dil bataa ke mai.n kab talak har Kushii se alag
apanii tanahaa_iiyo.n me.n bhaTakataa rahuu.Ngaa
mai.n tanahaa thaa, tanahaa huu.N, tanahaa rahuu.Ngaa
kab talak \-2

aaj ye kaise sundar sapane dekh rahaa huu.N
Gairo.n kii mahafil me.n apane dekh rahaa huu.N
narm reshamii baazuu baazuu baazuu
narm reshamii baazuu mujhe bulaate hai.n
haay aane waale kal ke Kaab dikhaate hai.n
par ai dil bataa
ai dil bataa ke mai.n kab talak apanii uja.De huye kal ke
maatam me.n aa.Nsuu bahaataa rahuu.Ngaa
mai.n tanahaa thaa, tanahaa huu.N, tanahaa rahuu.Ngaa
kab talak \-3

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
