% ISB File: Zeenat_1945.txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aa jaa rii ni.ndiyaa tuu aa ke na jaa}%
\film{Zeenat}%
\year{1945}%
\starring{Noorjehan, Yaaqub, Bibbo, Shantarin, Nasim Jr}%
\singer{Noorjehan}%
\music{Hafiz Khan}%
\lyrics{}%

% Contributor: V S Rawat, Aug 02, 2004
% Series: NOOR-E-TARANNUM

\printtitle
#indian

huu.N
( aa jaa rii ni.ndiyaa tuu aa ke na jaa
nanhii sii aa.Nkho.n me.n ghul\-mil jaa ) \-2
aa jaa rii ni.ndiyaa

aa
baaG me.n ko_ii kalii jo chiTake aa.Nkh isakii khul jaatii hai
hawaa se kah do dhiire aaye \-2
nii.nd kisii ko aatii hai \-3

aa jaa rii ni.ndiyaa tuu aa ke na jaa
nanhii sii aa.Nkho.n me.n ghul\-mil jaa
aa jaa rii ni.ndiyaa

suuraj kii tez dhuup hai duniyaa
subah sahe aur shaam nahii.n
dil kii kahaanii kyaa kahiye
aaGaaz to hai a.njaam nahii.n

huuk sii dil me.n uThatii hai \-2
jab yaad kisii kii aatii hai
yaad kisii kii aatii hai \-2

aa jaa rii ni.ndiyaa tuu aa ke na jaa
nanhii sii aa.Nkho.n me.n ghul\-mil jaa
aa jaa rii ni.ndiyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aa.Ndhiyaa.N Gam kii yuu.N chalii.n}%
\film{Zeenat}%
\year{1945}%
\starring{Noorjehan, Yaaqub, Bibbo, Shantarin, Nasim Jr}%
\singer{Noorjehan}%
\music{Hafiz Khan}%
\lyrics{}%

% Contributor: BOL ANAMOL #11864 [V S Rawat]
% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

aa.Ndhiyaa.N Gam kii yuu.N chalii.n
( aa.Ndhiyaa.N Gam kii yuu.N chalii.n
baaG uja.D ke rah gayaa ) \-2
( samajhe the aasaraa jise
wo bhii bichha.D ke rah gayaa ) \-2
aa.Ndhiyaa.N Gam kii yuu.N chalii.n
baaG uja.D ke rah gayaa

( puuchho naa maajaraa\-e\-Gam
uja.De hai.n is tarah se ham ) \-2
ghar kaa charaaG kyaa bujhaa \-2
ghar hii uja.D ke rah gayaa

aa.Ndhiyaa.N Gam kii yuu.N chalii.n
baaG uja.D ke rah gayaa

( mujh par bhii aa_ii thii bahaar
tho.Dii sii der ko magar ) \-2
ha.Nsate hii aa.Nsuu aa gaye \-2
ra.ng biga.D ke rah gayaa

aa.Ndhiyaa.N Gam kii yuu.N chalii.n
baaG uja.D ke rah gayaa
aa.Ndhiyaa.N Gam kii yuu.N chalii.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aahe.n na bharii.n shikave na kie}%
\film{Zeenat}%
\year{1945}%
\starring{}%
\singer{Noorjehan, Zohrabai Ambalewali, Kalyani}%
\music{Mir Sahib}%
\lyrics{Nakshab}%

% Contributor: David Windsor <David.Windsor@anu.edu.au>
% Transliterator: David Windsor <David.Windsor@anu.edu.au>
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>, Tabassum Hijazi
% Date: 10/25/1996

\printtitle
#indian

aahe.n na bharii.n shikave na kie
kuchh bhii na zabaa.n se kaam liyaa
is dil ko paka.D kar baiTh gae
haatho.n se kalejaa thaam liyaa

puuchhaa jo kisii ne haal to ham
kuchh kah na sake kuchh kah bhii gae
roke to bahut aa.Nsuu lekin
kuchh ruk bhii gae kuchh bah bhii gae
afsaanaa kahaa aur lab na hile
ashko.n se jahaa.N kaa kaam liyaa

rone se bhalaa kyaa dil rukataa
duniyaa ko aur ta.Dapaataa
sach puuchhiye ye to Kair huii
mahafil me.n tamaashaa ban jaataa
kuchh aap adaae.n rok gae
kuchh zabt se ham ne kaam liyaa

vo laakh tumhaare zulm sahe
par aa.Nkh se aa.Nsuu bah na sakaa
biimaar\-e\-mohabbat ai naKashab
kuchh aur to mu.Nh se kah na sakaa
ik ThaNDii sii lambii aah bharii
chupake se kisii kaa naam liyaa

aahe.n na bharii.n \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{bulabulo mat ro yahaa.N aa.Nsuu bahaanaa hai manaa}%
\film{Zeenat}%
\year{1945}%
\starring{Noorjehan}
\singer{Noorjehan}%
\music{Hafiz Khan}%
\lyrics{?}%

% Contributor: Nimish Pachapurkar
% Transliterator: Nimish Pachapurkar
% Credits:  GEETanjali- 5 September 2002

\printtitle
#indian

bulabulo mat ro yahaa.N aa.Nsuu bahaanaa hai manaa
in qafas ke qaidiyo.n ko Gul machaanaa hai manaa

chho.D kar tuufaa.N me.n ye mallaah kah kar chal diyaa
Duub jaa majhadhaar me.n saahil pe aanaa hai manaa

mai.n huu.N vo fariyaad jis kaa sunane vaalaa chal basaa
mai.n huu.N vo aa.Nsuu jise daaman pe aanaa hai manaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{naacho, naacho sitaaro naacho}%
\film{Zeenat}%
\year{1945}%
\starring{Noorjehan, Yaaqub, Bibbo, Shantarin, Nasim Jr}%
\singer{Noorjehan}%
\music{Hafiz Khan}%
\lyrics{}%

% Contributor: V S Rawat, Aug 7, 2004
% Series: NOOR-E-TARANNUM

\printtitle
#indian

naacho, naacho sitaaro naacho \-2
ab chaa.Nd nikalane waalaa hai \-2
naacho, naacho sitaaro naacho

dekh liyaa hai
la la la la
siikh liyaa hai jaan liyaa hai
apanaa unako maan liyaa hai \-2
aa.Nkh se dil me.n aane waalaa \-2

chaa.Nd
ab chaa.Nd nikalane waalaa hai
naacho, naacho sitaaro naacho

chaa.Ndanii raato.n me.n
haa.N
chaa.Ndanii raato.n me.n hil kar
phuulo.n kii Kushbuu me.n mil kar \-2
kaliyo.n ko sharamaane waalaa
haa.N
kaliyo.n ko sharamaane waalaa
haa.N
dil se nahii.n ab jaane waalaa \-2

chaa.Nd
ab chaa.Nd nikalane waalaa hai
naacho, naacho sitaaro naacho

legii mohabbat a.nga.Daa_ii \-2
taaro
taaro tumame.n kho jaayegii \-2
chaa.Nd saa cheharaa
chaa.Nd saa cheharaa dekh ke unakaa
raat bhii din ho jaayegii \-2
dil de ke dil se badale.nge \-2
aramaan, aramaan dilo.n ke nikale.nge \-2
hai aisaa zamaanaa aane waalaa
aake nahii.n jo jaane waalaa \-2

chaa.Nd
ab chaa.Nd nikalane waalaa hai
naacho, naacho sitaaro naacho

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
