% ISB File: _A01(NonAlbum).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{pareshaa.N thaa, pareshaa.N hai ye dil kamabaKt dil meraa}%
\film{(Non-Film)}%
\year{1940s}%
\starring{}%
\singer{Abdul Shakoor}%
\music{}%
\lyrics{Faiyaz Hashmi}%

% Contributor: <Urzung Khan>, 19 Jun 2004

\printtitle
#indian

pareshaa.N thaa, pareshaa.N hai
ye dil kambaKt dil meraa
haa_e dil meraa
pareshaa.N thaa, pareshaa.N hai

mere gulshan ke gul saare
khile ik pal na bechaare
kabhii in par bahaar aa_e
ye aramaa.N thaa, ye armaa.N hai

jo marham kaam kar jaataa
to ko_ii zaKm bhar jaataa
mere zaKmo.n pe marham kaa
na ehsaa.N thaa, na ehsaa.N hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{shaam\-e\-firaaq ab na puuchh aa_ii aur aa ke Tal ga_ii}%
\film{(non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Abida Parveen}%
\music{}%
\lyrics{Faiz Ahmad Faiz}%

% Contributor: <Urzung Khan>, 2002-11-02

\printtitle
#indian

shaam\-e\-firaaq ab na puuchh aa_ii aur aa ke Tal ga_ii
dil thaa ke phir bahal gyaa jaa.N thii ke phir sambhal ga_ii

bazam\-e\-Kyaal me.n tere husn kii shamaa jal ga_ii
dard kaa chaa.Nd bhuj gyaa hijr kii raat Dhal ga_ii

jab tujhe yaad kar liyaa subah mahak mahak uThii
jab teraa Gam jagaa liyaa raat machal machal gaii

dil se to har muaamalaa kar ke chale the saaf ham
kahane me.n unake saamane baat badal badal ga_ii

aaKir\-e\-shab ke ham_safar #Faiz# na jaane kyaa hu_e
rah ga_ii kis jagah sabaa subah kidhar nikal ga_ii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mai.nne laakho.n ke bol sahe sitamagar tere liye}%
\film{non-Film}%
\year{1950s}%
\starring{}%
\singer{Afzal Hussain Naginavaale}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: <Urzung Khan>, Oct, 13, 2003

\printtitle
#indian

mai.n ne lakho.n ke bol sahe sitamgar tere liye

hu_aa jo gor\-e-\Gariibaa.n me.n ek roz guzar
to us jagah mujhe ik taazaa qabr aa_ii nazar
jo pa.Dh ke faatahaa chalane lagaa to mai.n ne sunaa
baa-zer\-e\-qabr ko_ii kah rahaa hai ro\-ro kar
mai.n ne lakho.n ke bol sahe
sitamgar tere liye

Thahar gyaa mai.n vahii.n ruk gyaa qadam meraa
ilaahii kaun hai is qabr me.n ye mai.n ne kahaa
abhii mai.n bahr\-e\-tafukkar me.n Garq thaa 'naazish'
ki itane me.n phir usii qabr se ye aa_ii sadaa
mai.n ne lakho.n ke bol sahe
sitamgar tere liye

sunaa dobaaraa jo us se yahii bayaan\-e\-alam
to puuchhaa mai.n ne ki ai dardma.nd kushtaa\-e\-Gam
tuu kis ke hijr me.n muztir hai sab bataa lillaah
tuu kis kii yaad me.n ro\-ro ke kahataa hai haradam
mai.n ne lakho.n ke bol sahe
sitamgar tere liye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kaun jatan karuu.N ruuThe piyaa}%
\film{(Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Ahmed Hussain, Mohammed Hussain}%
\music{Ahmed Hussain-Mohammed Hussain}%
\lyrics{}%

% Tags: virah Semi-Classical
% Contributor: Vinay P Jain
% Transliterator: Vinay P Jain
% Date: 25 Mar 2005
% Series: Sugam Sangeet
% generated using www.giitaayan.com

\printtitle
#indian

kaun jatan karuu.N, ruuThe piyaa
agan lagii hai more jiyaa ||sthaayii||

pii ke milan kii aas na TuuTe
nainan maa.Nhi baso rasiyaa ||1||

koyal kuuke, ko.npal jhuume
Tha.nDhii pawan chale, laraje jiyaa ||2||

hil-mil khele.n sa.ng sahelii
ko sa.ng khele birahaniyaa ||3||

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{i.nshaa jii uTho ab kuuch karo}%
\film{non-Film}%
\starring{}%
\singer{Amanat Ali Khan}%
\music{}%
\lyrics{Ibn-e-Inshaa}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

i.nshaajii uTho ab kuuch karo,
is shahar me.n jii kaa lagaanaa kyaa
vahashii ko sukuu.N se kyaa matalab,
jogii kaa nagar me.n Thikaanaa kyaa   \threedots

is dil ke dariidaa daaman me.n
dekho to sahii, socho to sahii
jis jholii me.n sau ched hue
us jholii ko phailaanaa kyaa   \threedots

shab biitii chaa.Nd bhii Duub chalaa
za.njiir pa.Dii daravaaze pe
kyo.n der gaye ghar aaye ho
sajanii se karoge bahaanaa kyaa   \threedots

jab shahar ke log na rastaa de
kyo.n ban me.n na jaa bisaraam kare
diivaano.n kii sii na baat kare
to aur kare diivaanaa kyaa   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aa tuu aa ab naa sataa teraa hii intazaar hai}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{1944}%
\starring{}%
\singer{Amirbai Karnataki}%
\music{Pannalal Ghosh}%
\lyrics{Ramesh Gupta?}%

% Contributor: dhananjay naniwadekar
% Date: 02 Feb 2003
% Credits: Hamraaz Sahab
% Series: GEETanjali
% Comments: Some sources mis-attribute the song to the
% film 'Police'. It is a non-film song.
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

aa tuu aa, ab naa sataa
teraa hii intazaar hai
gul khile chaman khilaa
aa_ii hu_ii bahaar hai

aa.Ndhii uThii, tufaa.N uThaa
kaalii ghaTaa_e.N chhaa ga_ii.n
raag pironaa bhuul gayaa
TuuTaa hu_aa sitaar hai

rotaa hai dil, ha.Nsii kahaa.N?
naino.n kii niind u.D ga_ii
shaam\-o\-sahar, aaTho.n pahar
dil kii yahii pukaar hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{saaz ye kiinaa\-saaz kyaa jaane.n}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Anait Bai}%
\music{}%
\lyrics{Firaq Gorakhpuri}%

% Contributor: <Urzung Khan>, Nov, 28, 2003

\printtitle
#indian

saaz ye kiinaa\-saaz kyaa jaane.n
naaz waale niaaz kyaa jaane.n

jin ko apanii Kabar nahii.n ab tak
vo mere dil kaa raaz kyaa jaane.n

puuchhiye maikasho.n se lutf\-e\-sharaab
ye  mazaa  pakbaaz  kyaa   jaane.n

jo raah\-e\-ishq me.n xxx naa the
vo nashe ko 'Firaq' kyaa jaane.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ho kaalaa shaa kaalaa}%
\film{Non-Film}%
\year{1998}%
\starring{}%
\singer{Anamika}%
\music{Edvin}%
\lyrics{Anamika}%

% Contributor: V S Rawat, 10/01/2003

\printtitle
#indian

##Black is white.##

ho kaalaa shaa kaalaa ho kaalaa shaa kaalaa
meraa kaalaa hai saradaar goreyaa.n nuu.n dafaa karo
goreyaa.n nuu.n dafaa karo mai aap tile dii taar
kaalaa shaa kaalaa \threedots

sasa.Di_e tere pa.nj puttar do aibii do sharaabii
je.Daa mere haaN daa o khi.Diyaa phul gulaabii
o kaalaa shaa kaalaa \threedots

sasa.Di_e tere pa.nj puttar do Tiin do kanastar
je.Daa mere haaN daa o chalaa gayaa nii daftar
kaalaa shaa kaalaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ishq me.n kyaa bataaye.n ki dono}%
\film{non-Film}%
\starring{}%
\year{?}%
\singer{Anup Jalota}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: Indu Shukla
% Transliterator: Vijay Kumar

\printitle
#indian

ishq me.n kyaa bataaye.n ki dono
kis qadar choT khaaye hu_e hai.n
maut ne unako maaraa hai aur ham
zi.ndagii ke sataaye hu_e hai.n

ai lahad apanii miTTii se kah de
daag lagane na paaye qafan ko
aaj hii hamane badale hai.n kapa.De
aaj hii ham nahaaye hu_e hai.n

usane shaadii kaa joDaa pahan kar
sirf chuumaa thaa mere badan ko
bas usii din se jannat me.n hure.n
mujhako duulhaa banaaye hu_e hai.n

ab hame.n to fakat ek aisii
chalatii firatii huii laash kahiye
jin kii maiyat me.n had hai ke ham Kud
apanaa ka.ndhaa lagaaye hu_e hai.n

dekh saaqii tere mayakade kaa
kitanaa pahu.Nchaa huaa rind hu.n mai.n
jitane aaye hai.n maiyat me.n merii
sab ke sab hii lagaaye hu_e hai.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{adharaM madhuraM ... madhurashtakaM}%
\singer{Ashwini Bhide}%
\film{(Non-Film)}%
\year{1991}%
\music{}%
\lyrics{Vallabhacharya}%

% Contributor + Transliterator = Animesh Kumar,
% Series: Sukhsaagar, Date: 7 April 2004.

\printtitle
#indian

adharaM madhuraM vadanaM madhuraM nayanaM madhuraM hasitaM madhuraM .
hRRidayaM madhuraM gamanaM madhuraM madhuraadhipaterakhilaM madhuraM ..

vachanaM madhuraM charitaM madhuraM vasanaM madhuraM valitaM madhuraM .
chalitaM madhuraM bhramitaM madhuraM madhuraadhipaterakhilaM madhuraM ..

veNurmadhuro reNurmadhuraH paaNirmadhuraH paadau madhurau .
nRRityaM madhuraM sakhyaM madhuraM madhuraadhipaterakhilaM madhuraM ..

giitaM madhuraM piitaM madhuraM bhuktaM madhuraM suptaM madhuraM .
ruupaM madhuraM tilakaM madhuraM madhuraadhipaterakhilaM madhuraM ..

karaNaM madhuraM taraNaM madhuraM haraNaM madhuraM smaraNaM madhuraM .
vamitaM madhuraM shamitaM madhuraM madhuraadhipaterakhilaM madhuraM ..

gu.njaa madhuraa maalaa madhuraa yamunaa madhuraa viichii madhuraa .
salilaM madhuraM kamalaM madhuraM madhuraadhipaterakhilaM madhuraM ..

gopii madhuraa liilaa madhuraa yuktaM madhuraM muktaM madhuraM .
dRRiShTaM madhuraM shiShTaM madhuraM madhuraadhipaterakhilaM madhuraM ..

gopaa madhuraa gaawo madhuraa yaShTirmadhuraa sRRiShTirmadhuraa .
dalitaM madhuraM phalitaM madhuraM madhuraadhipaterakhilaM madhuraM ..

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mhaarii surataa suhaagan naar}%
\film{}%
\year{}
\starring{}%
\singer{Ashwini Bhide}%
\music{}%
\lyrics{Meerabai}%

% Contributor : Achyut Joshi
% Transliterator : Vijay Kumar

\printtitle
#indian

mhaarii surataa suhaagan naar
suurat mhaaraa shyaam so lagii
suurat diinaanaath so lagii
lagii rii mhaarii surataa suhaagan naar

aisaa varane kaay varuure (?)
janamii aur mar jaaye
var varuu.Ngii ek saa.Nvaro jii
mhaaro juu.Do mar (man?) ho jaaye
suurat mhaaraa shyaam so lagii \threedots

raam naam ko chuu.D lo beruu
prem ko sir mo saar (swaar?)
nakave sar hari naam kiije
utar chalo bele paar
suurat mhaaraa shyaam so lagii \threedots

surataa chalii jahaa.N le chalii rii
kR^ishNa naam aadhaar
avinaashii rii sobate jii
miiraa kare chhe pukaar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jo maa.Nganaa hai ... aa aa idhar aa, phir maa.Ng}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Aziz Ahmed Khan Warsi}%
\music{Aziz Ahmed Khan Warsi}%
\lyrics{Amjad Hyderabadi}%

% Contributor: Samiuddin Mohammed <sm0e@lehigh.edu>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 10/28/1996

\printtitle
#indian

jo maa.Nganaa hai musabbib\-e\-sabab se maa.Ngo
minnat se, Kushaamat se, adab se maa.Ngo
kyU.N Gair ke aage haath phailaate ho
ba.nde ho agar rab ke, to rab se maa.Ngo

maayuus saayal ne jab ghar kii raah lii
aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu the, thii jholii Kaalii
itane me.n rahamat jhu.njhalaake bolii
maayuus jaataa hai kyU.N haath Kaalii
saayal idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

Kush hote hai.n ham, terii sadaa se
aa phir sadaa de, dilkash adaa se
ai ba.nde mat ruuTh apane Kudaa se
le haath phailaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng
aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

paidaa siqa.ndar ko kisane kiyaa thaa
aadam ke haatho.n me.n kisane diyaa thaa
tuu kyaa samajhakar vaapas chalaa thaa
maayuus jaane ko kisane kahaa thaa
aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

ham apanii shaan\-e\-rahamat dikhaae.n
sab aarzue.n terii bar laae.n
(tuu maa.Ngataa jaa, ham dete jaae.n
 tuu chup na ho jaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng)	\- 2

ab ye sukuun hai, ye be\-qaraarii
zor aur zar se, hehatar hai zaarii
chhaaii hai tujhapar, rahamat hamaarii
har dam hamaare fazl\-o\-karam kaa
jaarii hai dariyaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

tuu hai bhikaarii, ham hai.n daataa
le bhar le "amjad" kaasaa havas kaa
ham bhii to dekhe.n, hai zarf kitanaa
le haath phailaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng
aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hue naamavar ... cha.Dhataa suuraj dhiire dhiire}%
\film{}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Aziz Mian}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@ndsun.cs.ndsu.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

hue naamavar \threedots benishaa.n kaise kaise \threedots
zamii.n khaa gayii \threedots naujavaan kaise kaise \threedots

aaj javaanii par itaraanevaale kal pachhataayegaa \- 3
cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa \- 2
Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa \- 2

tU yahaa.N musaafir hai ye saraaye faanii hai
chaar roj kii mehamaa.n terii zindagaanii hai
zar zamii.n zar zevar kuchh naa saath jaayegaa
khaalii haath aayaa hai khaalii haath jaayegaa
jaanakar bhii anjaanaa ban rahaa hai diivaane
apanii umr e faanii par tan rahaa hai diivaane
kis kadar tU khoyaa hai is jahaan ke mele me
tu khudaa ko bhuulaa hai pha.nsake is jhamele me
aaj tak ye dekhaa hai paanevaale khotaa hai
zindagii ko jo samajhaa zindagii pe rotaa hai
miTanevaalii duniyaa kaa aitabaar karataa hai
kyaa samajh ke tuu aakhir ise pyaar karataa hai
apanii apanii fikro.n me.n
jo bhii hai vo ulajhaa hai \- 2
zindagii haqiikat me.n
kyaa hai kaun samajhaa hai \- 2
aaj samajhale \threedots
aaj samajhale kal ye maukaa haath n tere aayegaa
o gafalat kii nii.nd me.n sonevaale dhokhaa khaayegaa
cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa \- 2
Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa \- 2

maut ne zamaane ko ye samaa dikhaa Daalaa
kaise kaise rustam ko khaak me.n milaa Daalaa
yaad rakh sikandar ke hausale to aalii the
jab gayaa thaa duniyaa se dono haath khaalii the
ab naa vo halaakU hai aur naa usake saathii hai.n
ja.ng jo na koras hai aur na usake haathii hai.n
kal jo tanake chalate the apanii shaan\-o\-shaukat par
shamaa tak nahii jalatii aaj unakii qurabat par
adanaa ho yaa aalaa ho
sabako lauT jaanaa hai \- 2
mufhiliso.n kaa andhar kaa
kabr hii Thikaanaa hai \- 2
jaisii karanii \threedots
jaisii karanii vaisii bharanii aaj kiyaa kal paayegaa
sarako  uThaakar chalanevaale ek din Thokar khaayegaa
cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa \- 2
Dhal jaayegaa Dhal jaayegaa \- 2

maut sabako aanii hai kaun isase chhuuTaa hai
tU fanaa nahii hogaa ye khayaal jhuuThaa hai
saa.Ns TUTate hii sab rishte TuuT jaaye.nge
baap maa.N bahan biivii bachche chhuuT jaaye.nge
tere jitane hai.n bhaaI vaqatakaa chalan de.nge
chhiinakar terii daulat dohii gaz kafan de.nge
jinako apanaa kahataa hai sab ye tere saathii hai.n
kabr hai terii ma.nzil aur ye baraatii hai.n
laa ke kabr me.n tujhako muradaa bak Daale.nge
apane haatho.nse tere mu.Nh pe khaak Daale.nge
terii saarii ulfat ko khaak me.n milaa de.nge
tere chaahanevaale kal tujhe bhulaa de.nge
is liye ye kahataa huu.N khuub sochale dil me.n
kyuu.N pha.nsaaye baiThaa hai jaan apanii mushkil me.n
kar gunaaho.n pe taubaa
aake bas sambhal jaaye.n \- 2
dam kaa kyaa bharosaa hai
jaane kab nikal jaaye \- 2
muTThii baa.Ndhake aanevaale \threedots
muTThii baa.Ndhake aanevaale haath pasaare jaayegaa
dhan daulat jaagiir se tuune kyaa paayaa kyaa paayegaa
cha.Dhataa sUraj dhiire dhiire Dhalataa hai Dhal jaayegaa \- 4

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
