% ISB File: CHAtma01(NonAlbum).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaye sakhii na baalamaa biitii bahaar}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{Khaiyyam}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 20, 2005

\printtitle
#indian

aaye sakhii na baalamaa biitii bahaar
piyaa lauT na aa lauT na aaye
aaye sakhii na baalamaa biitii bahaar

baiThii rahii mai.n aas lagaaye
par bedardii tum lauT na aaye
biitii bahaare.n karatii unakaa i.ntazaar
piyaa lauT na aa lauT na aaye

kaun des tum jaaye base baalam \-2
a.nkhiyaa.N bhii Dhuu.NDh sakii
is bedardii duniyaa kii hamane laakh sahii
laakh sahii
biitii bahaare.n karatii unakaa i.ntazaar
piyaa lauT na aa lauT na aaye
aaye sakhii na baalamaa biitii bahaar

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{chain na din bhar ... mai.n ghii kaa diyaa jalaauu.N}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Saroj Mohini Nayyar}%

% Contributor: Guri (guri@ix.netcom.com)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Thu Aug 17 1995
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)

\printtitle
#indian

chain na din bhar, rain na ni.Ndiyaa
bikhar ga_ii maathe kii bi.Ndiyaa
nainan niir bahaauu.N re ghar aao, ghar aao

ba.Dii der se kha.Dii suhaagan, raah takat hai tihaarii
aao man ke miit ab aao, puujaa karuu.N tihaarii
mai.n ghii kaa diyaa jalaauu.N re ghar aao, ghar aao

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{chalo na gorii machal\-machal ke}%
\film{non-Film}%
\year{1958}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{Khaiyyam}%
\lyrics{Madhukar Rajasthani}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 13/01/2004

% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

chalo na gorii
chalo na gorii machal\-machal ke
abhii to baalaapan hai
chaa.Nd sii suurat
chaa.Nd sii suurat prem kii muurat
paa.Nvo.n me.n jhaa.Njhan hai
chalo na gorii

halke\-halke paa.Nv dharo tum
man kii uma.ngo.n me.n naa baho tum
komal teraa man hai

chaa.Nd sii suurat
chaa.Nd sii suurat prem kii muurat
paa.Nvo.n me.n jhaa.Njhan hai
chalo na gorii

( kalii se tere ho.nTh rasiile
chupake se ko_ii ras naa pii le ) \-2
bha.Nwaro.n kaa madhuban hai
chalo na gorii

chaa.Nd sii suurat prem kii muurat
paa.Nvo.n me.n jhaa.Njhan hai
chalo na gorii

kaun na chaahe prem kii kaliyaa.N
sabako bhaaye.n pii kii galiyaa.N
par ye raah kaThin hai

chalo na gorii
chalo na gorii machal\-machal ke
abhii to baalaapan hai
chaa.Nd sii suurat
chaa.Nd sii suurat prem kii muurat
paa.Nvo.n me.n jhaa.Njhan hai
chalo na gorii
%
#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{hazaaro.n Kwaahishe.n aisii ki}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{1956}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{Bulo C Rani}%
\lyrics{Mirza Ghalib}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 14, 2004
% Song Courtesy: http://www.indianscreen.com
% Credits: Afzal A Khan

\printtitle
#indian

hazaaro.n Kwaahishe.n aisii ke har Kwaahish pe dam nikale
bahut nikale mere aramaa.N lekin phir bhii kam nikale

nikalanaa khuld se aadam kaa sunate aaye hai.n lekin
bahut be\-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale

muhabbat me.n nahii.n hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hai.n jis kaafir pe dam nikale

kahaa.N mayakhaane kaa darawaazaa 'Gaalib' aur kahaa.N vaa_iz
par itanaa jaanate hai.n kal wo jaataa thaa ke ham nikale

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kahane ko bahut kuchh thaa}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{C K Chauhan}%
\lyrics{Sajan Bihari}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 13/01/2004

% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
%
\printtitle
#indian
%
( kahane ko bahut kuchh thaa
magar kah nahii.n paaye ) \-2
phir sochaa ke Kaamosh rahe.n
rah nahii.n paaye
kahane ko bahut kuchh thaa
magar kah nahii.n paaye

samajhaa naa meraa Gam ko_ii
is baat kaa Gam hai
phir bhii mere dil tujhako
wafaa_o.n kii qasam hai
aa.Nkho.n me.n ho aa.Nsuu bhii
magar bah nahii.n paaye
kahane ko bahut kuchh thaa
magar kah nahii.n paaye

phuulo.n se chaman
aasamaa.N taaro.n se bharaa hai
ummiid kaa daaman meraa
Kaaro.n se bharaa hai
qisamat ne sitam aise kiye
sah nahii.n paaye

kahane ko bahut kuchh thaa
magar kah nahii.n paaye
phir sochaa ke Kaamosh rahe.n
rah nahii.n paaye
kahane ko bahut kuchh thaa
magar kah nahii.n paaye
%
#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kahuu.N jo haal to kahate ho mudd_aa kahiye}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{1957}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{Khayyam}%
\lyrics{Ghalib}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 14, 2004
% Song Courtesy: http://www.indianscreen.com
% Credits: Urzung Khan

\printtitle
#indian

kahuu.N jo haal to kahate ho mudda_aa kahiye
tumhii.n kaho ke jo tum yuu.N kaho to kyaa kahiye

% mudda_aa kahiye: come to the point.

jo mudda_i bane, usake na mudda_i baniye
jo naa\-sazaa kahe usako na naa\-sazaa kahiye

rahe na jaan to qaatil ko Kuu.N\-bahaa diije
kaTe zabaan to Ka.njar ko marahabaa kahiye

nahii.n bahaar ko furasat na ho bahaar to hai
taraavat\-e\-chaman\-o\-Kuubii\-e\-hawaa kahiye 

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kar solah si.ngaar ... o.Dh chunariyaa taaro.n kii}%
\film{}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{S R Rajan}%
\lyrics{Rajkanwar}%

% Contributor: Guri (buxi@ix.netcom.com)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)
% Date: Thu Aug 17 1995
% Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu)

\printtitle
#indian

kar solah si.ngaar baa.nvarii, maha.ndii se ra.Ng haath chalii

ba.Dii ba.Dii ummiide.n lekar, chalii piyaa ko manaane
man hii man me.n Daratii hai vo maane yaa na maane
haay ye diivaane dil me.n ab dilakii lekar baat chalii

jab usane pii apane dekhe, aa.Nkh usakii bhar aa_ii
ye thii apanaa jise samajhatii, nikalaa vo harjaaii
ye baa.nvarii prem kii dekho, aaj hai lekar ghaaT chalii

o.Dh chunariyaa taaro.n kii, cha.Ndaa ko lene raat chalii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kyaa ummiid kare.n ham unase jinako wafaa maaluum nahii.n}%
\film{non-Film}%
\year{1948}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{C K Chauhan}%
\lyrics{Zafar Gorakhpuri}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 13/01/2004

% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)
%
\printtitle
#indian
%
kyaa ummiid kare.n ham unase
jinako wafaa maaluum nahii.n \-2
Gam denaa maaluum hai lekin
Gam kii dawaa maaluum nahii.n
kyaa ummiid kare.n ham unase

jinakii galii me.n umar ga.Nvaa dii
jiiwan bhar hairaan rahe
paas bhii aa ke paas naa aaye
jaan ke bhii anjaan rahe
kaun sii aaKir kii thii hamane
aisii Kataa maaluum nahii.n \-2
kyaa ummiid kare.n ham unase

( ai mere paagal aramaano.n
jhuuThe bandhan to.D bhii do ) \-2
ai merii zaKamii ummido.n \-2
dil kaa daaman chho.D bhii do
tumako abhii is nagarii me.n
jiine kii sazaa maaluum nahii.n
haay sazaa maaluum nahii.n
kyaa ummiid kare.n ham unase

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{naino.n me.n do nain samaaye}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 20, 2005

\printtitle
#indian

naino.n me.n
naino.n me.n do nain samaaye
laakho.n jatan kiye par man ko chain kahaa.N se aaye
naino.n me.n do nain samaaye

ab tak mere madhur pyaar ko tumane jaan na paayaa
man kii kitanii gaharaa_ii me.n mai.nne tumhe.n chhupaayaa
prem agan ba.Dhatii hii jaaye
prem agan ba.Dhatii hii jaaye kaise ko_ii dabaaye
naino.n me.n do nain samaaye

ek baar tum aa jaavo to nainan pyaas bujhaa luu.N
wo matawaalii bholii bhaalii suurat man me.n basaa luu.N
tum bin suunaa jiiwan meraa
tum bin suunaa jiiwan meraa yo.n hii biit na jaaye
naino.n me.n do nain samaaye

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{priitam aan milo, priitam aan milo}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{O P Nayyar}%
\lyrics{Saroj Mohini Nayyar}%

% Contributor: Guri <buxi@ix.netcom.com>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@hendrix.coe.neu.edu>
% Date: 08/17/1996
% Credits: Balaji A.S. Murthy <fj076@cleveland.freenet.edu>
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@hendrix.coe.neu.edu>
% Comments: An abbreviated version of the song appears in
%           Mr. & Mrs. 55, in Geeta's voice (omits 1st stanza)

\printtitle
#indian

priitam aan milo, priitam aan milo
dukhiyaa jiyaa pukaare, priitam aan milo

raat a.Ndherii aayii baalamaa, man moraa ghabaraae hai
duur pe.D par baiThaa pa.nchhii, yahii raTanaa lagaae hai
aan milo, priitam aan milo, priitam aan milo

bhiigii raat me.n pe.D ke niiche, aa.Nkh\-micholii khel rachaayaa
priitam yaad karo jab tumane, prem bharaa ik giit sunaayaa
aan milo, priitam aan milo, priitam aan milo

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{yaaro mujhe maaf karo mai.n nashe me.n huu.N}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{C H Atma}%
\music{Murli Manohar Swarup}%
\lyrics{Mir Taqi Mir}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 13/01/2004

% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

( yaaro mujhe maaf karo
mai.n nashe me.n huu.N ) \-2
ab do to jaam Kaalii hii do
mai.n nashe me.n huu.N
yaaro mujhe maaf karo

maazuur ho jo paa.Nv meraa betarah pa.De \-2
betarah pa.De
tum saragaraa.N to mujhase na ho
mai.n nashe me.n huu.N
yaaro mujhe maaf karo

yaa haath\-o\-haath lo mujhe jaise ke jaam\-e\-may \-2
jaise ke jaam\-e\-may
yaa tho.Dii duur saath chalo
mai.n nashe me.n huu.N
yaaro mujhe maaf karo
mai.n nashe me.n huu.N
yaaro mujhe maaf karo

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
