% ISB File: H01(NonAlbum).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{ik taaraa vajadaa ho ... kii kai.ndaa}%
\film{Non-Film}%
\year{1998}%
\starring{}%
\singer{Hans Raj Hans, Chorus}%
\music{Javahar Vattal, Surendra Sodi}%
\lyrics{Dev Kohli}%

% Contributor: V S Rawat, Oct 01, 2003

\printtitle
#indian

ik taaraa vajadaa ho ik taaraa vajadaa
ik taaraa vajadaa kii kai.ndaa
kii kai.ndaa ba_ii kii kai.ndaa
sur jad vii sajadaa kii kai.ndaa
kii kai.ndaa ba_ii kii kai.ndaa
ik taaraa vajadaa \threedots

gallaa.n vichcho.n gal hai ko_ii samajhegaaa dilavaalaa
prem daa pyaalaa pii ke phero apane yaar dii maalaa
sukh miladaa hai usanuu.N je.Daa pyaar de dukh nuu.N sii.ndaa
yaaro.n ai sukh aisaa hai jo aake phir nahii.n jaa.ndaa
ik taaraa vajadaa \threedots

ko_ii na rai.ndaa is jag te sukh aake mu.D mu.D jaa.nde
par sachche aashiq de ai duniyaa vaale guN gaa.nde
pyaar hii rai jaa.ndaa hai yaaro.n baakii kuchh nahii.n rai.ndaa
kii puchhade o is taare dii taaraa ai_iyo kai.ndaa
ik taaraa vajadaa \threedots

kii kai.ndaa suN kii kai.ndaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{javaab nahii.n gotii usadaa terii jhaa.njhar}%
\film{Non-Film}%
\year{1998}%
\starring{}%
\singer{Hans Raj Hans, Chorus}%
\music{Javahar Vattal, Surendra Sodi}%
\lyrics{Dev Kohli}%

% Contributor: V S Rawat, Oct 01, 2003

\printtitle
#indian

javaab nahii.n gorii usadaa terii jhaa.njhar ho_e
terii jhaa.njhar jisane banaa_ii ki pichhe pichhe asii.n aa ga_e
tuu jhaa.njhar jad chhanakaa_ii javaab nahii.n gorii usadaa

sab to.n vakhare tere nakhare vekh ke jii nahii.n bharadaa
lau.ng teraa maaare lishkaare ka.nganaa khan khan karadaa
das nii ku.Di_e kado.n kare.ngii naal mere ku.Damaa_ii
javaab nahii.n gorii usadaa \threedots

jor naa chale mere dil te haay kyuu.n akhiyaa.N la.Diyaa.N
kii karaa.n mai.n tere pyaar diyaa.N lag ga_iyaa.N hathaka.Diyaa.N
vekh ke tainuu.N hath malade_aa.N par tuu hath naa aa_ii
javaab nahii.n gorii usadaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jay gaNesh gaNanaath dayaanidhi ... shrii raadhe govi.ndaa man bhaj le}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Hari Om Sharan}%
\music{Murli Manohar Swarup}%
\lyrics{Hari Om Sharan}%

% Audio on: HMV
% Contributor: Surma Bhopali
% Transliterator: Surma Bhopali
% Date: 8 Sep 2003
% Series: Sukhsaagar
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

jaya gaNesha gaNanaath dayaanidhi
sakal vighan karo duur hamaare
mama va.ndana swiikaar karo prabhu
charaNa sharaNa ham aaye tumhaare
jaya gaNesha gaNanaath dayaanidhi

jaya na.ndalaalaa jaya gopaalaa
jaya na.ndalaalaa jaya jaya

shrii raadhe govi.ndaa mana bhajale hari kaa pyaaraa naam hai
gopaalaa hari kaa pyaaraa naam hai
na.ndalaalaa hari kaa pyaaraa naam hai
shrii raadhe govi.ndaa \threedots

( mor mukuT sir garabana maalaa ( kesar tilak lagaaye ) 2 ) 2
vR^i.ndaavan kii puNya galin me.n sabako naach nachaaye
oh sabako naach nachaaye
shrii raadhe govi.ndaa \threedots

( jamunaa kinaare dhenu charaave.n ( maadhav madan muraarii ) 2 ) 2
madhur muraliyaa jabhii bajaaye harale sudhabudh saarii
oh harale sudhabudh saarii
shrii raadhe govi.ndaa \threedots

( giradhar naagar kahatii miiraa ( suur ko shyaamal bhaayaa ) 2 ) 2
tukaaraam aur naamadev ne viTThal viTThal gaayaa
oh viTThal viTThal gaayaa
shrii raadhe govi.ndaa \threedots

( raadhaa shakti binaa na koii ( shyaamal darshan paave.n ) 2 ) 2
aaraadhan kar raadhe raadhe kaanhaa bhaage aave.n
oh kaanhaa bhaage aave.n
shrii raadhe govi.ndaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{mailii chaadar o.Dhake kaise dwaar tumhaare aauu.N}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Hari Om Sharan}%
\music{Murli Manohar Swarup}%
\lyrics{Hari Om Sharan}%

% Audio on: HMV
% Contributor: Surma Bhopali
% Transliterator: Surma Bhopali
% Date: 9 Jan 2004
% Series: Sukhsaagar
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

( mailii chaadar o.Dhake kaise dwaar tumhaare aauu.N ) - 2
he paawan parameshwar mere man hii man sharamaauu.N

tuune mujhako jaga me.n bhejaa nirmal dekar kaayaa
aakar ke sa.nsaar me.n mai.nne isako daag lagaayaa
janam\-janam kii mailii chaadar kaise daag chhu.Daauu.N
mailii chaadar \threedots

nirmal vaaNii paakar tujhase naam na teraa gaayaa
nain muu.ndakar he parameshwar kabhii na tujhako dhyaayaa
man viiNaa kii taare.n TuuTii ab kyaa giit sunaauu.N
mailii chaadar \threedots

in pairo.n se chalakar tere ma.ndir kabhii naa aayaa
jahaa.N\-jahaa.N ho puujaa terii kabhii na shiish jhukaayaa
he harihar mai.n haar ke aayaa ab kyaa haar cha.Dhaauu.N
mailii chaadar \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{teraa raamajii kare.nge be.Daa paar}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Hari Om Sharan}%
\music{Hari Om Sharan}%
\lyrics{Nirdosh}%

% Contributor: Dr. Bhanot <rahul@pl.jaring.my>
% Transliterator: Shree <shree@usa.net>
% Editor: Nandu Abhyankar <abhyankn@ug1.plk.af.mil>
% Date: 04/06/1997
% Comments: Bhajan

\printtitle
#indian

teraa raamajii kare.nge be.Daa paar
udaasii mana kaahe ko kare..

naiyaa terii raama havaale,
lahar lahar hari aap samhaale
hari aap hii uThaaye.n teraa bhaar
udaasii mana kaahe ko kare ..                        

kaabuu me.n ma.Njhadhaar usii ke
haatho.n me.n patavaar usii ke
terii haar bhii nahii.n hai terii haar
udaasii mana kaahe ko kare ..

sahaja kinaaraa mila jaayegaa
parama sahaaraa mila jaayegaa
Dorii sau.npa ke to dekh ek baar
udaasii mana kaahe ko kare ..

tuu {\rm `}nirdoshha' tujhe kyaa Dar hai
paga paga para saathii iishvara hai
sachchii bhaavanaa se kar le pukaar
udaasii mana kaahe ko kare  ..

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{madhushaalaa}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Harivansh Rai Bachchan, Manna De}%
\music{Jaidev???}%
\lyrics{Harivansh Rai Bachchan}%

% Contributor: Malini Kanth <MaliniX_Kanth@ccm.hf.intel.com>
% Transliterator: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>
% Date: 03/30/1997
% Editor: Rajiv Shridhar <rajiv@coe.neu.edu>

\printtitle 
#indian 

hariva.nsh raaya bachchan :

% Soft Music

madiraalaya jaane ko ghar se chalataa hai piine vaalaa \-2
kis path se jaauu.N, asama.njas me.n hai vo bholaa bhaalaa

alag alag path batalaate sab,
alag alag path batalaate sab, par mai.n ye batalaataa huu.N
raah paka.D tuu ek chalaa chal, paa jaayegaa madhushaalaa
paa jaayegaa madhushaalaa

% music fading slowly

mannaa De :

sun kal kal, chhal chhal, madhughaT se giratii pyaalo.n me.n haalaa
sun kal kal, chhal chhal
kal kal, chhal chhal, madhughaT se giratii pyaalo.n me.n haalaa
sun runajhun runajhun jal vitaraN, karatii madhu saaqii baalaa
bas aa pahu.Nche, duur nahii.n
bas aa pahu.Nche, duur nahii.n, kuchh chaar kadam ab chalanaa hai
chahak rahe sun piinevaale, mahak rahii le madhushaalaa
chahak rahe sun piinevaale, mahak rahii le madhushaalaa

laal suraa kii dhaar lapaT sii, kah na ise denaa jvaalaa
kah na ise denaa jvaalaa
phenil madiraa hai, mat isako kah denaa ura kaa haalaa
dard nashaa hai is madiraa kaa,
dard nashaa hai is madiraa kaa, vigat smR^itiyaa.n saaqii hai
pii.Daa me.n aanand jise ho, aaye merii madhushaalaa
pii.Daa me.n aanand jise ho, aaye merii madhushaalaa

dharmagra.nth sab jalaa chukii hai,
dharmagra.nth sab jalaa chukii hai, jisake antar kii jvaalaa
mandir masajid girije sab ko, to.D chukaa jo matavaalaa
paNDit momin paadariyo.n ke phando.n ko jo kaaT chukaa
kar sakatii hai aaj usii kaa svaagat merii madhushaalaa
kar sakatii hai aaj usii kaa svaagat merii madhushaalaa

laalaa_it adharo.n se jisane haay nahii.n chuumii haalaa
harsh vika.Npit karase jisane haay na chhuaa madhu kaa pyaalaa
haath paka.D lajjit saaqii kaa,
haath paka.D lajjit saaqii kaa, paas nahii.n jisane khii.nchaa
paas nahii.n jisane khii.nchaa
vyarth sukhaa Daalii jiivan kii, usane madhumay madhushaalaa
vyarth sukhaa Daalii jiivan kii, usane madhumay madhushaalaa

bane pujaarii, premii saaqii, ga.ngaajal paavan haaraa
rahe pherataa, avirat gati se madhu ke pyaalo.n kii maalaa
aur liye jaa, aur piye jaa
aur liye jaa, aur piye jaa, isii ma.ntra kaa jaap kare
mai.n shiv kii pratimaa ban baiThuu.N, mandir ho ye madhushaalaa
mai.n shiv kii pratimaa ban baiThuu.N, mandir ho ye madhushaalaa

ek baras me.n, ek baar hii, jagatii holii kii jvaalaa
ek baar hii lagatii baazii, jalatii diipo.n kii maalaa
duniyaa vaalo.n kintu kisii din aa madiraalaya me.n dekho
aa madiraalaya me.n dekho
din ko holii, raat divaalii, roz manaatii madhushaalaa
din ko holii, raat divaalii, roz manaatii madhushaalaa

adharo.n par ho koii bhii ras, jiivhaa par lagatii haalaa
bhaajan ho koii haatho.n me.n, lagataa rakhkhaa hai pyaalaa
har suurat, saaqii kii suurat
har suurat, saaqii kii suurat, mai.n parivartit ho jaatii
aa.Nkho.n ke aage ho kuchh bhii, aa.Nkho.n me.n hai madhushaalaa
aa.Nkho.n ke aage ho kuchh bhii, aa.Nkho.n me.n hai madhushaalaa

sumukhii tumhaaraa, sundar mukh hii, mujhako ka.nchan kaa pyaalaa
chhalak rahii hai, chhalak rahii hai
chhalak rahii hai jisame maaNik ruup madhur maadak haalaa
mai.n hii saaqii banataa mai.n hii piine vaaalaa banataa huu.N
piine vaaalaa banataa huu.N
jahaa.N kahii.n mil baiThe ham tum, vahii.n gayii ho madhushaalaa
jahaa.N kahii.n mil baiThe ham tum, vahii.n gayii ho madhushaalaa

do din hii madhu mujhe pilaa kar, Kuub uThii saaqii baalaa
do din hii madhu mujhe pilaa kar, Kuub uThii saaqii baalaa
bhar kar ab khisakaa detii hai, vah mere aage pyaalaa
naaz adaa andaazo.n se ab, haay pilaanaa duur huaa
ab to kar detii hai keval, farza\-adaa_ii madhushaalaa
ab to kar detii hai keval, farza\-adaa_ii madhushaalaa
ab to kar detii hai keval, farza\-adaa_ii madhushaalaa
farza\-adaa_ii madhushaalaa

chhoTe se jiivan me.n kitanaa pyaar karuu.n, pii luu.n haalaa
chhoTe se jiivan me.n kitanaa pyaar karuu.n, pii luu.n haalaa
aane ke hii saath jagat me.n, aane ke hii
aane ke hii saath jagat me.n, kahalaayaa jaanevaalaa
svaagat ke hii saath vidaa kii,
svaagat ke hii saath vidaa kii, hotii dekho taiyaarii
band lagii hone khulate hii,
band lagii hone khulate hii, merii jiivan madhushaalaa
merii jiivan madhushaalaa

shaant sakii ho, ab tak saaqii
shaant sakii ho, ab tak saaqii pii kar kis ura kii jvaalaa
aur aur kii raTan lagaataa,
aur aur kii raTan lagaataa, jaataa har piine vaalaa
kitanii ichchhaaye.n harjaane vaalaa, chho.D yahaa.N jaataa
kitane aramaano.n kii ban kar kabr kha.Dii hai madhushaalaa
kitne armaanoN ki ban kar kabr khaDi hai madhushala


yam aayegaa saaqii ban kar, saath liye kaalii haalaa
yam aayegaa saaqii ban kar, saath liye kaalii haalaa
pii, na hosh me.n phir aayegaa, suraa\-visudh yah matavaalaa
yah antim behoshii, antim saaqii, antim pyaalaa hai
pathik, pyaar se piinaa isako,
pathik, pyaar se piinaa isako, phir na milegii madhushaalaa
phir na milegii madhushaalaa

giratii jaatii hai din pratidin pranayaNii praaNo.n kii haalaa
bhagn huaa jaataa din pratidin subhage meraa tan pyaalaa
ruuTh rahaa hai mujhase ruupasi, din din yauvan kaa saaqii,
suukh rahii hai din din sundarii
suukh rahii hai din din sundarii, merii jiivan madhushaalaa
merii jiivan madhushaalaa

Dhalak rahii ho tan ke ghaT se, sa.naginii jab jiivan haalaa,
paatra garal kaa le jab antim saaqii ho aanevaalaa
haath\-paras bhuule pyaale kaa \-2
haath\-paras bhuule pyaale kaa, svaad\-suraa jiivhaa bhuule,
kaano me.n tum kahatii rahanaa
kaano me.n tum kahatii rahanaa
madhukaN pyaalaa madhushaalaa \-2

mere adharo.n par ho antim, vastu na tulasiDal pyaalaa
merii jiivhaa par ho antim, vastu na ga.ngaajal haalaa
mere shav ke piichhe chalane vaalo.n, yaad ise rakhanaa
raam naam hai satya na kahanaa \-2
kahanaa sachchii madhushaalaa \-2

mere shav par vah roye, ho jisake aa.Nsuu.n me.n haalaa
aah bhare vah, jo ho surbhit madiraa pii kar matavaalaa
de mujhako ve ka.ndhaa jinake pag mad Dagamag hote ho.n
aur jaluu.n us thor jahaa.N par kabhii rahii ho madhushaalaa
aur jaluu.n us thor jahaa.N par kabhii rahii ho madhushaalaa

aur chitaa par jaaye u.n.Delaa paatr na ghriT kaa, par pyaalaa
khaa.nT ba.ndhe a.nguur lataa me.n madhya na jal ho, par haalaa
praaN priiye yadi shraardha karo tum meraa to aise karanaa
piine vaalo.n ko bulavaa kar, khulavaa denaa madhushaalaa
piine vaalo.n ko bulavaa kar, khulavaa denaa madhushaalaa

naam agar koii puuchhe to, kahanaa bas piinevaalaa
kaam dhaalaanaa, aur dhaalaanaa sabko madiraa ka pyaalaa
jaati priiye, jaati priiye puuchhe yadi koii,
kah denaa diivaano.n kii
dharm bataanaa pyaalo.n kii le maalaa japanaa madhushaalaa
dharm bataanaa pyaalo.n kii le maalaa japanaa madhushaalaa

pitR^i paksh me.n  putra uthaanaa ardhya na kar me.n, par pyaalaa
baiTh kahii.n par jaanaa, ga.ngaa saagar me.n haalaa
kisii jagah kii miTTii bhiige, triptii mujhe mil jaaegii
tarpaN arpaN karanaa mujhako,
pa.Dh pa.Dh kar ke madhushaalaa

tarpaN arpaN karanaa mujhako, pa.Dh pa.Dh kar ke madhushaalaa ...

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{havaa havaa ai havaa Kushbuu luTaa de}%
\film{}%
\starring{}%
\singer{Hasan Jahangir}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits: Dev Alok (dalok@eos.ncsu.edu)
%          Tushar Samant (samant@tartarus.uchicago.edu)
%          Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu)

\printtitle
#indian

(havaa havaa ai havaa khushabuu luTaa de 
kahaa.N khulii haa.n khulii zulf bataa de 
ab usakaa pataa de, zaraa mujhako bataa de 
mai.n us se miluu.ngaa, ek baar milaa de 
yaar milaa de, diladaar milaa de \- 2 ) \- 2

(phir kisii ke chehare kaa ra.ng khil gayaa 
bichha.Daa huA aaj koI usako mil gayaa ) \- 2
kaise mil gayaa, kahaa.N mil gayaa 
ham ne to DhU.NDh liyaa saaraa zamaanaa 
havaa havaa ai \threedots

(ye adaa bhI usakii kyaa kaam kar gayii 
jaate jaate ek hasiin shaam kar gayii ) \- 2
shaam kar gayii, tere naam kar gayii 
aise hasiin chehare ko apanaa banaanaa 
havaa havaa ai \threedots

(zindagii kii dhuup ko saayaa kar gayii 
aaj mere paas se vo guzar gayii ) \- 2
usane jo kahaa, tumane hii sunaa 
ye baat aur kisii ko nA bataanaa 
havaa havaa ai \threedots
havaa havaa ai \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ai sanam tujh se mai.n jab duur chalaa jaauu.ngaa}% 
\film{}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Hussaini Bros.}%
\music{}%
\lyrics{Anwar}%

% Contributor:  Vandana Sharma (uusharma@uxa.ecn.bgu.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle 
#indian

(ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa \- 2
yaad rakhanaa ke tujhe yaad bahut aauu.Ngaa ) \- 2
ai sanam tujh se mai.n jab dUr chalaa jaauu.ngaa 

ye milan aur ye hasiin raat nA jaane kab ho 
saa.Njh ke baad mulaakaat nA jaane kab ho 
ab tere shahar musaafir kii tarah aauu.Ngaa  
ai sanam \threedots

chaa.Nd ke aks me.n sUraj kii hasii.n kiran me.n 
jhiil ke aaIne me.n bahate hue jharano me.n 
in nazaaro.n mai.n tujhe mai.n hii najar aauu.Ngaa  
ai sanam \threedots

yaad jab aaegii vo pahalii mulaaqaat tujhe 
aur muhabbat ke fasaane kii har ik baat tujhe 
tere khvaabo.n me.n khayaalo.n me.n chalaa aauu.Ngaa  
ai sanam \threedots

tujh ko is giit kA har sher karegaa bekal 
merI yaad aaegii jab bhI tujhe ai jaan\-e\-Gazal 
nagamaa ban ban ke khayaalaat pe chhaa jaauu.ngaa 
ai sanam \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{lab pe tere iqaraar\-e\-mohabbat sher gazal kaa lagataa hai}%
\film{}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Hussain Brothers}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: Vandana Sharma (uusharma@uxa.ecn.bgu.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)

\printtitle
#indian

lab pe tere iqaraar\-e\-mohabbat 
sher Gazal kA lagataa hai
sharm se cheharaa laal gulaabii 
phuul kamal kA lagataa hai
lab pe tere \threedots

dil ko najar se Takaraaye bhii 
ek zamaanaa bIt gayaa 
choT magar hai itanI tAzaa 
haadasaa kal kA lagataa hai
lab pe tere \threedots

bekhud hokar mast havaae.n 
aise kab laharaatii thii 
ye jaadU to halke halke 
us aa.Nchal kA lagataa hai 
lab pe tere \threedots

ham samajhe the bhuul gaye hai.n 
vo chaahat kA afasaanaa
aaj magar phir dard saa 
dil me.n halkaa halkaa lagataa hai

lab pe tere iqaraar\-e\-mohabbat 
sher Gazal kA lagataa hai
sharm se cheharaa laal gulaabii 
phuul kamal kA lagataa hai
lab pe tere \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
