% ISB File: HabibWaliMohammed01(NonAlbum).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aaj jaane kii zid na karo}%
\film{}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Habib Wali Mohammad}%
\music{}%
\lyrics{Faiyyaz Hashmi}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

aaj jaane kii zidd na karo
yuu.Nhii pahaluu me.n baiThe raho
haay, mar jaaye.nge
ham to luT jaaye.nge
aisii baate.n kiyaa na karo

tum hii socho zaraa, kyo.n na roke.n tumhe.n?
jaan jaatii hai jab uTh ke jaate ho tum
tumako apanii qasam jaan\-e\-jaa.N
baat itanii merii maan lo
aaj jaane kii   \threedots

vaqt kii qaid me.n zi.ndagii hai magar
cha.nd gha.Diyaa.N yahii hai.n jo aazaad hai.n
inako khokar kahii.n, jaan\-e\-jaa.N
umr bhar na tarasate raho
aaj jaane kii   \threedots

kitanaa maasuum ra.ngiin hai ye samaa
husn aur ishq kii aaj me.n raaj hai
kal kii kisako khabar jaan\-e\-jaa.N
rok lo aaj kii raat ko
aaj jaane kii   \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aashiyaa.N jal gayaa gul_sitaa.N luT gayaa}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Habib Wali Mohammad}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

aashiyaa.N jal gayaa gul_sitaa.N luT gayaa
ab qafas se nikal kar kidhar jaaye.nge
kitane maanuus saiyaad se ho gaye
ab rihaa_ii milegii to mar jaaye.nge
aashiyaa.N jal gayaa \threedots

kaale kaale vo gesuu shikan\-dar\-shikan
vo tabassum kaa aalam, chaman\-dar\chaman
khii.nch lii un kii tasaviir dil ne mere
ab vo daaman bachaa kar kidhar jaaye.nge
aashiyaa.N jal gayaa \threedots

aur kuchh din ye dastuur\-e-\-maiKaanaa hai
tashnaqaamii ke ye din guzar jaaye.nge
mere saaqii ko nazare.n uThaane to do
jitane khaalii hai.n sab jaam bhar jaaye.nge
aashiyaa.N jal gayaa \threedots

ashq\-e-\Gam le ke aaKir kahaa.N jaaye.n ham
aa.Nsuo.n kii yahaa.N koii qiimat nahii.n
aap hii apanaa daaman ba.Dhaa diijiye
varanaa motii zamii.n par bikhar jaaye.nge
aashiyaa.N jal gayaa \threedots

ai nasiim\-e\-sahar tujh ko un kii qasam
un se jaa kar na kahanaa meraa haal\-e\-Gam
mere miTane kaa Dar to nahii.n hai mujhe
Dar ye hai un ke gesuu bikhar jaaye.nge
aashiyaa.N jal gayaa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{aisii bhiigii suhaanii raat me.n terii zulfo.n me.n kho jaauu.n mai.n}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Habib Wali Mohamed}%
\music{}%
\lyrics{Sehba Akhtar}%

% Contributor: Satish Kalra
% Transliterator: Satish Kalra
% Date: 22 Mar 2003
% Series: GEETanajali
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

aisii bhiigii suhaanii raat me.n\2
terii zulfo.n me.n kho jaauu.n mai.n
dil ye chaahe meraa raat Dhalane naa duu.n
umr bhar yuu.n hii baiThaa rahuu.n
umr bhar yuu.n hii baiThaa rahuu.n
aisii bhiigii suhaanii raat me.n
aisii bhiigii suhaanii raat me.n

o jhilamil jhilamil chaa.nd sitaare
ha.nste hai.n hamako karake ishaare
chhup chhup ke ye dekhe.n hame.n
kahate hai.n kyaa ye naa jaane
ko_ii kuchh bhii kahe meraa dil ye kahe
terii aa.nkho.N me.n Duubaa rahuu.n
aisii bhiigii suhanni raat me.n
aisii bhiigii suhanni raat me.n
terii zulfo.n me.n kho jaauu.n mai.n
dil ye chaahe meraa raat Dhalane na duu.n
umr bhar yuu.n hii baiThaa rahuu.n
umr bhar yuu.n hii baiThaa rahuu.n
aisii bhiigii suhaanii raat me.n
aisii bhiigii suhaanii raat me.n

o saamane tujhako apane biThaa ke
nazaro.n se terii nazare.n milaa ke
itanii Kushii mujhako milii
aise me.n jaan-e-wafaa
ho ijaazat agar mai.n yuu.nhii jhuumkar
pyaar ke giit gaataa rahuu.n
aisii bhigii suhaani raat me.n
aisii bhiigii suhanni raat me.n
terii zulfo.n me.n kho jaauu.n mai.n
dil ye chaahe meraa raat Dhalane na duu.n
umr bhar yuu.n hii baiThaa rahuu.n
umr bhar yuu.n hii baiThaa rahuu.n
aisii bhiigii suhaanii raat me.n
aisii bhiigii suhaanii raat me.n
aisii bhiigii suhaanii raat me.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{ik shammaa jalatii hii rahii parawaanaa aayaa hii nahii.n}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Habib Wali Mohamed}%
\music{}%
\lyrics{Sehba Akhtar}%

% Contributor: Satish Kalra
% Transliterator: Satish Kalra
% Date: 21 Mar 2003
% Series: GEETanjali
% generated using giitaayan

\printtitle
#indian

ik shammaa jalatii hii rahii
parawaanaa aayaa hii nahii.n
us bewafaa ke pyaar me.n
wo raat bhar rotii rahii
ik shamaa jalatii hii rahii
parawaanaa aayaahii nahii.n

kahaa usane ro ke o bewafaa
terii baahe.n thii.n meraa haar, haar re
teraa pyaar thaa merii zi.ndagii
kahaan kho gayaa teraa pyaar, pyaar re
tere saath aisii bahaar thii
ke jo raat thii wo si.ngaar thii
ke jo raat thii wo si.ngaar thii
meraa har si.ngaar miTaa diyaa
mujhe tuune kaisaa silaa diyaa
ke Kushii bhii Gum me.n badal ga_ii
merii sej sholo.n me.n Dhal ga_ii
ik shammaa jalatii hii rahii
parwaanaa aayaa hii nahii.n

jise samajhaa shamma ne bewafaa
wo chalaa ke baat naa jaaye re, jaaye re
magar ek aa.ndhii ne raah me.n
use zakhamii kar diyaa haaye re haay re
wo huzoor-e-husn to aa gayaa
parajhal kaa saayaa bhii chhaa gayaa
parajhal kaa saayaa bhii chhaa gayaa
na Kabar thii shammaa ko ye magar
ke jo paas TuuTe pa.De hai.n par
hai.n nishaanii usake hii pyaar kii
jo nissaar kar gayaa zi.ndagii
par shamaa kahatii hii rahii
parwaanaa aayaa hii nahii.n
parwaanaa aayaa hii nahii.n
parwaanaa aayaa hii nahii.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jaa kahiyo unase nasiim\-e\-sahar meraa chain gayaa merii nii.nd gaii}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Habib Wali Mohammed}%
\music{}%
\lyrics{Bahadur Shah Zafar}%

% Contributor: Nita, 1998/01/21
% Transliterator: V S Rawat, 2004/01/27

\printtitle
#indian

jaa kahiyo unase nasiim-e-sahar meraa chain gayaa merii nii.nd gaii
tumhe.n merii na mujhako tumhaarii Khabar meraa chain gayaa merii nii.nd
gaii

ai baadashaah-e-Khubaan-e-jahaa.N terii mohanii suurat pe qurbaa.N
kii mai.n ne jo terii jabii.n pe nazar meraa chain gayaa merii nii.nd gaii

huii baad-e-bahaarii chaman me.n ayaa.N gul-buuTe me.n baaqii rahii na
fizaa merii shaaKh-e-ummiid na aaii sa.Nvar meraa chain gayaa merii
nii.nd gaii

ai barq-e-tajalli bahar-e-Khudaa na jalaa mujhe ishq me.n shammaa saa
merii ziist misle-chiraaG-e-sahar meraa chain gayaa merii nii.nd gaii

kahataa yahii ro ro ke "Zafar" merii aah-e-rasaa kaa huaa na asar
terii hijr me.n maut na aaii abhii meraa chain gayaa merii nii.nd gaii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kab meraa nasheman ahal\-e\-chaman}%
\film{}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Habib Wali Mohammad}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: K Vijay Kumar
% Transliterator: K Vijay Kumar

\printtitle
#indian

kab meraa nasheman ahal\-e\-chaman gulashan me.n ga.Nvaaraa karate hai.n
gu.Nche apanii aavaazo.n me.n bijalii ko pukaaraa karate hai.n

po.nchho na araq ruKsaaro.n se ra.ngiinii\-e-\husn ko ba.Dhane do
sunate hai.n ki shabanam ke qatare phuulo.n ko nikhaaraa karate hai.n

jaatii huii maiyyat dekh ke bhii allah tum uTh kar aa na sake
do chaar qadam to dushaman bhii taqaliif ga.Nvaaraa karate hai.n

ab nazaa kaa aalam hai mujh par tum apanii muhabbat vaapas lo
jab kashtii Duubane lagatii hai to bojh utaaraa karate hai.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{lagataa nahii.n hai jii meraa uja.De dayaar me.n}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Habib Wali Mohammed}%
\music{Saraswati Devi}%
\lyrics{Bahadur Shah Zafar}%

% Contributor: BOL ANAMOL [V S Rawat], 13/01/2004

% Song courtesy: http://www.indianscreen.com (Late Shri Amarjit Singh)

\printtitle
#indian

lagataa nahii.n hai jii meraa uja.De dayaar me.n \-2
kisakii banii hai aalam\-e\-naapaayadaar me.n
lagataa nahii.n hai jii meraa

kah do in hasarato.n se kahii.n aur jaa base.n \-2
kahii.n aur jaa base.n
itanii jagah kahaa.N hai dil\-e\-daaGadaar me.n
itanii jagah kahaa.N hai

umr\-e\-daraaz maa.Ng ke laaye the chaar din
laaye the chaar din
do aarazuu me.n kaT gaye do i.ntazaar me.n
do aarazuu me.n kaT gaye

kitanaa hai badanasiib zafar dafn ke liye
dafn ke liye
do Gaz zamiin bhii na milii kuu\-e\-yaar me.n \-2
lagataa nahii.n hai jii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{sunate hai.n ke mil jaatii hai har chiiz du_aa se}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Habib Wali Mohammad}%
\music{Rana Akbarabadi}%
\lyrics{Sohail Rana}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, May 20, 2005

\printtitle
#indian

sunate hai.n ke mil jaatii hai har chiiz du_aa se
ik roz tumhe.n maa.Ng ke dekhe.nge Kudaa se

tum saamane hote ho to hai kaif kii baarish
wo din bhii the jab aag barasatii thii ghaTaa se

ai dil tuu unhe.n dekh ke kuchh aise ta.Dapanaa
aa jaaye ha.Nsii unako jo baiThe hai.n Kafaa se

duniyaa bhii milii hai Gam\-e\-duniyaa bhii milaa hai
wo kyuu.N nahii.n milataa jise maa.Ngaa thaa Kudaa se

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
