% ISB File: Hemant03(NonAlbum).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{vo saath hamaaraa de na sake}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Hemant}%
\music{Hemant}%
\lyrics{Madhukar Rajasthani}%

% Contributor: Prithviraj Dasgupta

\printtitle
#indian

vo saath hamaaraa de na sake ham naam pe unake jiite hai.n
do din ko Kushii ko paaye the kyaa kahiye kaise biite hai.n
vo saath hamaaraa \threedots

tanhaa_ii bahaaro.n se milakar jab unakii yaad dilaatii hai
ummiid ke kachche dhaage se zaKamo.n ko apane siite hai.n
vo saath hamaaraa \threedots

jaa aur kahii.n ab ai saavan kyo.n ThaNDii aag lagaataa hai
ham laa_e.N kahaa.N se ab aa.Nsuu aa.Nkho.n ke sarovar riite hai.n
vo saath hamaaraa \threedots

vo jitane ham se duur hu_e is dil kii ta.Dap utanii hii ba.Dhii
le jaam uThaa ab ai saaqii ham khuun\-e\-tamannaa piite hai.n
vo saath hamaaraa \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{yaad karoge hame.n tum yaad karoge}%
\film{}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Hemant}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Transliterator: K Vijay Kumar
% Credits: Hemantada, a genius in his niche #13

\printtitle
#indian

yaad karoge hame.n tum yaad karoge
yaad karoge hame.n tum yaad karoge
ek ek se tum dad.r kii fariyaad karoge
yaad karoge hame.n tum yaad karoge

ghabaraa_oge jab ham ko na paa_oge kisii din
duniyaa se pataa puuchhate aa_oge kisii din
daaman se lipaTakar merii fariyaad karoge
yaad karoge hame.n tum yaad karoge

kaano.n me.n sadaa pyaar kii shahanaa_ii bajegii
aa.Nkho.n me.n judaa_ii kii kasam nii.nd chubhegii
taqadiir kii dulhan ko bhii nashaad karoge
yaad karoge hame.n tum yaad karoge

ek ek se tum dad.r kii fariyaad karoge
yaad karoge hame.n tum yaad karoge

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong 
\stitle{zamaanaa kyaa kahegaa}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Hemant}%
\music{Ravi}%
\lyrics{Ravi}%

% Contributor: Prithviraj Dasgupta
% Transliterator: Prithviraj Dasgupta
% Date: Dec 28, 2000

\printtitle
#indian

zamaanaa kyaa kahegaa tum agar ham ko bhulaa doge
hamaare pyaar kii duniyaa banaakar yuu.N miTaa doge

nahii.n kuchh Gam hame.n is kaa kahe duniyaa jo diivaanaa
hamaarii bebasii ko haay tum ne bhii nahii.n jaanaa
hamaaraa haal kyaa hogaa jo tum bhii muskuraa doge
hamaare pyaar kii duniyaa banaakar yuu.N miTaa doge \threedots

vo dariyaa kaa kinaaraa vo suhaanii chaa.Ndanii raate.n
jahaa.N ham tum kiyaa karate the chhupakar pyaar kii baate.n
na sochaa thaa kabhii ham ne ke tum ye sab bhulaa doge
hamaare pyaar kii duniyaa banaakar yuu.N miTaa doge \threedots

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
