% ISB File: MehdiHasan01(NonAlbum).txt, dated: May 27, 2005

\startsong
\stitle{aa ke sajjaadaa\-nashii.n kaise hu_aa mere baad}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{Meer}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

aa ke sajjaadaa\-nashii.n kaise hu_aa mere baad
na rahii dasht me.n kaalii ko_ii jaa mere baad

chaak karanaa hai isii Gam se girebaan\-e\-qafan
kaun kholegaa tere band\-e\-kabaa mere baad

wo hawaa\-khaah\-e\-chaman huu.N ke chaman me.n har subah
pahale mai.n jaataa thaa aur baad\-e\-sabaa mere baad

tez rakhanaa sar\-e\-har Kaar ko ai dasht\-e\-junuu.N
shaayad aa jaaye ko_ii aablaa\-paa mere baad

mu.Nh pe rakh daaman\-e\-gul roye.nge murGaan\-e\-chaman
har ravish Kaak u.Daa_egii sabaa mere baad

baad marane ke merii kabr pe aayaa wo 'miir'
yaad aa_ii mere iisaa ko davaa mere baad

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{dekhe bhaale dost hamaare ye jaane pahachaane log}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

% prelude
shahar\-e\-tarab me.n giile giile phirate hai.n mastaane log
apanii nazar hai viiraano.n par ham Thahare diivaane log

dekhe bhaale dost hamaare ye jaane pahachaane log
inakii nazar phirate hii ban gaye sab ke sab begaane log

bazm\-e\-tarab me.n shiishe uchhale jaane kitane dil TuuTe
saaGar\-o\-chashm chhalakate rahe aur bharate rahe paimaane log

tere karam se merii vusa_at raunak kaa saamaan banii
ab bhii aa jaate hai.n aksar apanaa dil bahalaane log

apane aish kii jot jagaane mere Gam ke andhere me.n
apane hii pindaar kii Kaatir aate hai.n samajhaane log

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Gair ban ke na mile.n ham tumhe.n apanaa kar le.n}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

Gair ban ke na mile.n ham tumhe.n apanaa kar le.n
ho ijaazat to ye chhoTii sii tamannaa kar le.n

tez saa.Nso.n me.n rachii pyaar kii shahanaa_ii ho
phuul saa cheharaa ho mahakii hu_ii tanahaa_ii ho
niichii nazare.n jo uThe.n dekh ke pardaa kar le.n

hamane allaah se yuu.N daad\-e\-wafaa maa.Ngii hai
jald mil jaa_o hame.n tum ye du_aa maa.Ngii hai
haa.N jo kah do to abhii shukr kaa sajadaa kar le.n

hai mukaddar par hame.n naaz mohabbat pe yaqii.n
jiite jii tumase judaa_ii kabhii mumakin hii nahii.n
marake bhii ham na judaa ho.nge ye waadaa kar le.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{Daag Dehalavi}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Aug 14, 2004
% Song Courtesy: http://www.indianscreen.com
% Credits: Afzal A Khan

\printtitle
#indian

Gazab kiyaa tere waade pe aitabaar kiyaa
tamaam raat qayaamat ka i.ntazaar kiyaa

ham aise mahav\-e\-nazaaraa na the jo hosh aataa
magar tumhaare taGaaful ne hoshiyaar kiyaa

tujhe to waadaa\-e\-diidaar hamase karanaa thaa
ye kyaa kiyaa ke jahaa.N ko ummiidavaar kiyaa

ye dil ko taab kahaa.N hai ke ho maan andesh
unho.n ne waadaa kiyaa hamane aitabaar kiyaa

na puuchh dil kii haqiiqat magar ye kahate hai.n
wo beqaraar rahe jisane beqaraar kiyaa

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jab tere nain muskuraate hai.n}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

jab tere nain muskuraate hai.n
ziist ke ra.nj bhuul jaate hai.n

kyuu.N shikan Daalate ho maathe par
bhuul kar aa ga_e ham jaate hai.n

kashtiyaa.N yuu.N bhii Duub jaatii hai.n
naaKudaa kisaliye Daraate hai.n

ik hasii.n aa.Nkh ke ishaare par
qaafile raah bhuul jaate hai.n

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jab us zulf kii baat chalii}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{Khatir}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

jab us zulf kii baat chalii
Dhalate Dhalate raat Dhalii

un aa.Nkho.n ne luuT ke bhii
in aa.Nkho.n ne luuT ke bhii
apane uupar baat na lii

shammaa kaa anjaam na puuchh
parawaano.n ke saath jalii

ab ke bhii wo duur rahe
ab ke bhii barasaat chalii

phir bhii chaTakii phir bhii kalii
dekh ke sab haalaat kalii

'Kaatir' ye hai baazii\-e\-dil
isame.n jiit se maat bhalii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{jo thake thake se the hausale}%
\film{non-Film}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hassan}%
\music{}%
\lyrics{Shaayar Lucknowi}%

% Contributor: Srinivas Ganti, Sep 05, 2002

\printtitle
#indian

jo Gam\-e\-habiib see duur the, vo khud apane aag me.n jal gaye
jo Gam\-e\-habiib ko paa gaye, vo Gamo.n se ha.Ns ke nikal gaye

jo thakey thakey se ?
vo shabaab banake machal gaye

vo nazar nazar se gale milii
vo bujhe charaag bhii jal gaye

ye shikas\-e\-diid kii karvaTen bhii baDii latiif\-o\-jamiil thii
mai.n nazar jhukaake ta.Dap gayaa
vo nazar bachaake nikal gaye

na khizaa me.n hai koii tiir ?
na bahaar me.n hai koii roshanii
ye nazar nazar ke charaage.n ho
kahii.n bujh gaye kahii.n jal gaye

vo nazar nazar se gale milii
vo bujhe charaag bhii jal gaye
jo sambhal sambhal ke bahak gaye
vo fareb raah the

vo makaam ishq ko paa gaye
jo bahak bahak ke sambhal gaye

jo khile hue hai.n rabish rabish
vo hazaar husn ?
magar un gulo.n kaa jawaab kyaa
jo qadam qadam pe kuchal gaye

na hai.n shaayad ab, gam\-e\- ?
na vo daag\-e\-dil na vo aarazoo
jinhe.n aitaabaar\-e\-bahaar thaa
vohii phuul ra.ng badal gaye
jo thakey thakey se

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kaise chhupaa_uu.N raaz\-e\-Gam}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{Hasrat Mohani}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

kaise chhupaa_uu.N raaz\-e\-Gam, diidaa\-e\-tar ko kyaa karuu.N
dil kii tapish ko kyaa karuu.N, soz\-e\-jigar ko kyaa karuu.N

shorish\-e\-aashiqii kahaa.N aur merii saadagii kahaa.N
husn ko tere kyaa karuu.N, apanii nazar ko kyaa karuu.N

Gam kaa na dil me.n ho guzar, vasl kii shab ho yuu.N basar
sab ye qubuul hai magar aab\-e\-sahar ko kyaa karuu.N

haal meraa thaa jab ba\-tuu tab na tujhe hu_ii Kabar
baad mere jo hu_aa asar ab mai.n asar ko kyaa karuu.N

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kuu\-ba\-kuu phail ga_ii baat shanaashaa_ii kii}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{Parvin Shakir}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004
% in Raag darbaarii

\printtitle
#indian

kuu\-ba\-kuu phail ga_ii baat shanaashaa_ii kii
usane Kushbuu kii tarah merii paziiraa_ii kii

% shanaashaa_ii: parichay
% paziiraa_ii: istekbaal, swaagat, welcome

kaise kah duu.N ke mujhe chho.D diyaa hai usane
baat to sach hai magar baat hai rusvaa_ii kii

teraa pahaluu tere dil kii tarah aabaad rahe
tujhape guzare.n na qayaamat shab\-e\-tanhaa_ii kii

wo kahii.n bhii gayaa lauTaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaa_ii kii

usane jalatii hu_ii peshaanii pe jab haath rakhaa
ruuh tak aa ga_ii taasiir masiihaa_ii kii

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

\startsong
\stitle{kyuu.N sharaabii sharaab piitaa hai}%
\film{? (Non-Film)}%
\year{}%
\starring{}%
\singer{Mehdi Hasan}%
\music{}%
\lyrics{}%

% Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004

\printtitle
#indian

kyuu.N sharaabii sharaab piitaa hai
aur phir behisaab piitaa hai
jaanataa hai ke chiiz hai ye burii
phir bhii Kaanaa\-Karaab piitaa hai

is kadar Gam mile hai.n duniyaa me.n
ham na piite to mar gaye hote
gar sahaaraa na jaam kaa hotaa
jaane kab ke bikhar gaye hote
jisane aa.Nsuu piye hai.n chhup chhup ke
aaj wo behijaab piitaa hai

aa.Nkh me.n Kushk ho ga_e aa.Nsuu
ek qataraa lahuu kaa dil me.n nahii.n
kaun saa jurm hai jo mere li_e
is kadar ta.ng ho ga_ii hai zamii.n
kuchh to dukh hai jise chhupaane ko
chiiz itanii Karaab piitaa hai

#endindian
\endsong

% _End_of_Lyrics

% _End_of_File
