attacs.co.uk

  Awan Translation, Transcription and Computing Services

Awan transaltion and transcription services  


URDU POETRY

 
urdu poetry  

MEER TAQI MEER 
Flowery ruler

Urdu novel "Mehek"
Privious Page
Next Page



 
Transliteration

koft se jaan lab pe Aa’ee hai
ham ne kya choT dil pe kHa’ee hai

likHte ruq’a likH gaye dafter
shauq ne baat kya baRHa’ee hai

deednee hai shikastagi dil kee
kya 'maarat ghamooN ne DHaa’ee hai

hai taxan’a ke laal haiN woh lab
ya’nee ik baat see baRHa’i hai

dil se nazdeek aur itna door
kis se osko kuchH Aashna’ee hai

yaaN ho’ee khaak se brabar ham
wahaN wohee naaz-e-khud numa’ee hai

marg-e-majnooN peh 'qal gum hai Meer
kya diwaane ne maut pa’ee hai


  YOUR POETRY
This section of the poetry page is dedicated to you. If you want to send us your ghazals, nazams or she'rs. Please do so and your work will appear on this page.

Basir Sultan Kazmi
Imran Ahmed Awan
Muddasir Khan Hazrat
Syed Zahir Hasan Quadri

ghazal by Meer Taqi Meer





Email: poets@attacs.co.uk
You are our

visitor. Thank you


Urdu novel "Mehek"
Privious Page
Next Page