SHAYARI COLLECTION
 

Dear friends. This shayari collection is brought to you by one of our best pals
MUDIT PANDEY
FOR MORE SHAYARI CONTACT mudit12k4@rediffmail.com
 

Kya tere jaane ka gamm mere liye kucch kam tha
Ye kehkar ki mujhe yaad na karna,

Ek aur gamm de diya tune.

                                                                             - Saagar

 
 


Ajeeb shakhs hai naraaz hokar bhi hansta hai
Main chahta hoon ki khafa ho to khafa hi lage.

Baal bikhre hue kisi turbat par, jab koi mazbin hoti hai

To mujhko aksar ye khayal aata hai, ki maut kitni haseen hoti hai.

Aas ban-ban ke toot jaati hai, Rooh is tarah zilmilati hai
Pooch is badnaseeb dulhan se,
Jiski baraat darwaaze se laut jaati hai.

Sitaron bhare aasman se bicchad kar wafa ki sunahri kiran so rahi hai
Janaaze ko aahista le chal, yahan koi gulbadan so rahi hai.

T
era pyar paakar yun socha tha maine, zindagi main koi gamm na hoga
Jis jis se mila hun raah-e-basar main, unme se saathi koi kam na hoga.

Jis chaman se tum guzar jaao, har qali par nikhaar aa jaaye

Rootho to rooth jaaye Khuda, hans do to bahar aa jaaye.

                                                                                                            

   
PAGE 2                                                                    PREVIOUS  NEXT

 

Yun na dekha karo
itni gehri nigahon se
tum mujhko. Bohat
mushkil hai doob kar
in aakhon main
dhoond paana khud
ko.

HOME
 
 
 
 

     
© 2000-2003 www.RIanz.com | All Rights Reserved
Best viewed at 1152X864, 1024X768 screen resolution and medium, smaller text size.