SHAYARI COLLECTION
 

Dear friends. This shayari collection is brought to you by one of our best pals
MUDIT PANDEY
FOR MORE SHAYARI CONTACT mudit12k4@rediffmail.com
 

Tumhe kya aaj bhi agar koi milne nahi aaya
Yeh baazi humne haari hai, sitaron tum to so jaao.

                                                                             - Saagar

 
 


Log gairo ki baat karte hain, humne apno ko aazmaya hai

Log kaanto se bachkar chalte hain, humne phoolon se zakhm khaye
hain.

Jab se tujhe dil se bhulane ki kasam khaayee hai
Aur jyaada pehle se teri yaad aayee hai.

Ishq ke darbar main jab koi chala jaata hai

To laut nahi sakta jab jee chahta hai.

Door hoke bhi tumhe dil se door na kar paaye
Paas hoke bhi tere dil tak na pahunch paaye.


Raah-e-ishq main koi manzil nahi hai
Ye dariya hai wo jisme koi saahil nahi hai.

Aag si bhar gayee nas nas main, pata nahi kab tum kareeb aaye ho
Kucch naam nahi in rishto ka, na tum apne ho na paraaye ho.

                                                                                                           
PAGE 3                                                                          PREVIOUS

 

Saamna hote hi yun
muskuraya na karo,
aur fir dekh ke yun
nazarein churaya na
karo. Waada karti ho
kai baar ke kal aaongi,
Aa hi jaati ho to utth
kar yun jaaya na karo.
HOME


Halke ulfat tha
mitaane se mitaya
na gaya, mera khat
unse kisi tarah
jalaya na gaya.
Jinke aane ki
ummeedon par
guzari thi raatein,
saamne se wo
guzare to bulaya na
gaya.
 
 

     
© 2000-2003 www.RIanz.com | All Rights Reserved
Best viewed at 1152X864, 1024X768 screen resolution and medium, smaller text size.