GUFTAGO

Yeh jo do Ghadi kabhee ham kaheen jo guzar laytay hain kobako

Yehi do Ghari kee hay guftago

Koee guftago ka jawaz hay?

Teri zindagi may khiyal hay

Teri zindagi ka jawaz hay

Tujhay zindagi ka khumar hay

Teri zindagi to hay zindagi

Meri zindagi ka pata nahee

Kabhee main chaman kee bahar tha

Magar ab to ek surab hoon

Main gaee ruttoon ka shabab hoon

Magar ab bhee mujh may qarar hay

Magar ab bhee mera woojood hay

Jo agar judai hoee kabhee

to yeh rakhna yaad lamhe haseen


Yeh jo do Ghadi kabhee ham kaheen jo guzar laytay hain kobaho

Yehi do ghadi kee hay guftago

Koee guftago may hay justajo

Nahee koee jis ka jawaz hay

Magar ek is may be raz hay

Yehi raz hee to hay zindagi

Jo keh zindagi ka jawaz hay

Jo na hoon gay ham to yeh sochna saray rah mil kay juda huay

Rahi zindagi to kabhee kaheen saray rah miltay rahain gay ham

Yehi arzoo hay meri Najim jo tadap rahi hay abhee talak

Dilay beqarar may kobako

Yehi do ghadi kee hay guftago

Click for Urdu Text

Download UmairI WEB-FONT from here, to read Urdu Text, you need to install it in Windows.



GHAZALAY BENAAM

Kabhee hay khiyal Woojood may, keh rakhoon main sir ko soojood may

Rahoon main Khuda kee Kayood may, Mairay nafs ko bhee zawal ho

Kabhee haal say main behaal hoon, main Khuda ka kaisa khiyal hoon

Main to lajawab sawal hoon, meri kaisay koee misal ho

Kabhee loge daikhay khumar may, kabhee zindagi say farar may

Kabhee daikha sab ko qarar may, mera janay yaan kia haal ho

Jo ho lab peh jam sharab ka, to pata lagay bhee shabab ka

Magar ek din hay hisab ka, usee ek din ka khiyal ho

Wohee taabnaak see jhalkian, ya wo guzray mazee kee talkhian

Main Najim karoon unhain kia bian, kiyon gayay lamhoon peh malal ho

Click here for Urdu Text



ISHQ

Ek ishq kia hay main isee ishq may dooba

Koee na pukaray keh mukallim hoon kisee say

Koee na sada day keh mera waqtay wasal hay

Main hoon mera mehboob hay aur koee nahee hay


Har patta bhee sakit hay har ek phoole bhee khamosh

Har nakhl jhuka hay meray mehboob kay aagay

Zahir nahee garchay magar aataa hay nazar woh

Har phoole may har shajr may har nakhl o bashar may


Mujh ko ghamay jana kee haqiqat nahee maloom

Mujh ko to khabar kuchh ghamay doraan kee nahee hay

Mujh ko ghamay doraan ghamay jana kee khabar kiyon?

Yeh ishqay haqeeqee hay nahee ishqay majazee

Phir kiyon ghamay jana ghamay doraan kee fikar ho?

Gar uss say muhabat mujhay uss ko bhee hay mujh say

Mehboob mera wo hay to main uss ka hoon mehboob


Ek ishq kia hay may isee ishq may dooba

koee na pukaray keh mukallim hoon kisee say

Koee na sada day yeh mera waqtay wasal hay

Main hoon mera mehboob hay aur koee nahee hay

Click here for Urdu Text



Continue