Khud ko kar buland itna
Ke Himalay ki choti pe jaa pahunche..
Aur khuda tumse poochhe
Abe gadhe.."ab utrega kaise??


Humse karein woh pyaar
izhaar kisi aur se karein
Khuda kare jis se kare woh izhaar
woh bhi pyaar kisi aur se kare!!


Bewaffa sanam se to cigarette achhi hoti hai
Bewaffa sanam se to cigarette achhi hoti hai
Dil jalati hai, par hothon se to lagti hai!!


Woh sadak ke us paar thi
hum sadak ke is paar the
Kuch hum aage badhe, kuch woh aage badhi
hum kuch aur aage badhe, woh bhi kuch aur aage badhi
Hum aur bhi aage badhe, woh bhi aur aage badhi
Ab hum sadak ke us paar hain,
Aur woh sadak ke is paar hain!!


Dharti, taarey, pahaad, pathar
Dharti, taarey, pahaad, pathar...
Ekhathar, bahathar, chauhathar!!


Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain...
bilkul vaise hi jaise kal chamak rahe the!!


Maine tumhari yaadon mein ro ro ke tub bhar diye
Magar tum itne bewaffa nikle ki usme naha ke chal diye!!


Door se dekha to kuch dikha nahin...
Door se dekha to kuch dikha nahin...
Paas jake dekha to...kuch tha hi nahin!!


Door se dekha to patjhar dikhta tha...
Door se dekha to patjhar dikhta tha...
Paas jake dekha to ... sachmuch patjhar hi tha!!


Dharti so rahi hai, aasmaan so raha hai
Dharti so rahi hai, aasmaan so raha hai
Nonsense! yeh kya ho raha hai??


Aasmaan mein ud raha hai kabootar
Aasmaan mein ud raha hai kabootar
Flutter flutter, flutter flutter!!


Ghum woh cheez hai...
Ghum woh cheez hai...
Ghum woh cheez hai...
Jis se kagaz chipkaye jaate hain!!


Tum aa gaye ho
Noor aa gaya hai
Chalo teeno movie chalein


Itni raat gaye kyon apni qabar khod raha hai Ghalib
Itni raat gaye kyon apni qabar khod raha hai Ghalib
La, phawda mujhe de de!!


Ladka bola:
Kash in haseeno ke baap mar jaate,
Bahana ghum ka hota,
hum unke ghar to jaate
Ladki boli:
Bewakoof!! Yeh bolna bhi paap hoga,
Kisi din tu bhi kisi haseena ka baap hoga


Ladki boli:
Chaandni chaand si hoti hai, sitaron se nahin
Chaandni chaand si hoti hai, sitaron se nahin
Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahin
Ladka bola:
Chaandni agar chaand se hogi to siraaron ka kya hoga
Chaandni agar chaand se hogi to siraaron ka kya hoga
Mohabbat agar ek se hogi to baaqi saaron ka kya hoga


EK sher sunaata hoon bade dhyaan se suno
Mujhe sher nahin aata kisi aur se suno


Badli hai duniya, kuch main bhi badal gaya hoon
Pehle traine tha ab S/W Engr. ho gaya hoon


Project extend ho gaya to kya ho jaata hai?
Are tankha milti hai aur time pass ho jaata hai


Cheekh cheekh ke mera galöa baith gaya
Tab jaa ke VC4 manual ka xerox ban gaya


Ghayal hai scaaner mera, koi dawa to dila do
Kuch na sahi to basa ek mail id dila do


Kasam hai doston tumhein apne apne mail-id ki
laga do inprojects par baazi apni jaan ki


Kasam hai doston tumhein apne apne mail-id ki..
Agar mail nahin to koi junk hi sahi


Is 1 mahine mein yahan mujhe kuch nahin mila
Mail to kya ek visiting card bhi mushkil se mila


Pyaar to tum par mujhe bahoot aata hai
Par kya karoon yeh zalim zamana beech mein aata hai


Jab tak tu apne dil ki baat mujhe samjhaayegi
Meri shaadi kahin aur ho jaayegi


Dum aadmi mein nahin cigarette mein hota hai
Isi liye aadmi cigarette ko nahin, Cigarette aadmi ko peete hai


Unko mere pyaar par ghussa aata hai
Aur mujhe unke ghusse par pyaar aata hai


Sab kuch pa ke bhi lagta tha kuch nahin hai
Aaj woh sab kho ke pata chala ki wahi sab kuch tha


Dil pe gehri chot ke baad duniya saaf nazar aati hai
Hosh aane ke baad mohabbat bakwaas nazar aati hai


Ek aag si lagi, Dhuuan sa utha
Mehfil mein unka dum ghutmey sa laga
Dekh ke unki sab bole
Bhaiya zara bidi to bujha do


Yeh peene waale bahoot hi ajeeb hote hain
Jahan se door yeh khud ke kareeb hote hai


Humne pyaar kiya bade josh ke saath
Humne pyaar kiya bade zor ke saath
Par ab pyaar karenge badi soch ke saath
Kyonki kal unhe humne dekha kisi aur ke saath


Jise dil diya woh delhi chali gayi
Jis se pyaar kiya woh italy cjali gayi
Dil ne kaha khudkushi kar le
Zalim... bijli ko haath lagaya to bijli chali gayi


Woh kehte hai mat piyo itna, behosh ho jaaoge
Kaun unhe samjhaaye, hum to peene ke baad hosh mein aate hai


Before Marriage:
Takdir hai magar kismat nahi khulti
Taj mahal banana chaahta hoon
lekin Mumtaz nahin milti

After Marriage:
Takdir hai magar kismat nahi khulti
Taj mahal banana chaahta hoon
lekin Mumtaz nahin marti


Phirta raha delhi mein
magar dil wali nahin mili
Marta tha jiski yaad mein
woh gharwali nahin mili


Woh aaye meri qabar pe...diya bujha gaye
Baaqi jo tel bacha tha...woh sar pe laga gaye!!


Gaadi chalaane se pehle uska handle dekh
Ladki chhedne se pehle uska sandal dekh


Ped se patte girte nahin...hawaa girati hai
Yaaron ladke yoonhi bigadte nahin... ladkiyaan bigaadti hain


Dil mein unhe basaaya apni jaanoo banake
Bewaffa kisi aur ke saath chal diye humein maamoo banake


Dil to neela gagan bhi nahin hai...
jo sab baadalon ko apni baahon mein sama loon
Dil to woh chaman bhi nahin hai...
jo khilkar sari muskuraahatein samet loon
Dil to woh pawan bhi nahin hai...
jo naraaz hote hi toojan ko laaoon
Are baskar yaar!! aakhir dil cheez hi kya hai...
jo main sirf dil, dil hi karta jaaoon


Nafrat hai humein is zamaane se jo
Khaali sher hi padta hai magar
dad nahin deta...
Mohabbat hai humein un shaayaroon se jo
padhne ke baad humein churaane ke liye
hosla jo hai deta...


Humare sheron pe wah wah ki jiye...
kyon ke yeh asli hai
bhala churaane ka mann bhi hua to bhi...
dil yeh zulm karne se kaapta hai
Yeh soch ke kyon main kisi aur ka tasawur churaaoon...
zakhm to har insaan ko milte hain...
to main kyon uska zakhm leke ooph ooph ki aah bharoon


Itna kamzor ho gaya hoon tanhaayi se...
Itna kamzor ho gaya hoon tanhaayi se...
Ab to cheeta bhi kheench ke le jaate hain mujhe chaarpai se


Aye deewane tera hosh kidhar hai...
Haddiyaan to idhar hain tera gosht kidhar hai


Ladki ko mat chhed paap hoga
Tu bhi kisi din kisi ladki ka baap hoga


Are oh bedhuke shaayar
zara hum pe reham kar
Dhang ki shaayari kiya kar
warna shaayari karna hi band kar


Hazaaron jhopdian raakh hoti hain
tab ik mahal banta hai
mere marne par kafan bhi nahin
aur unke marne par taj mahal banta hai


Sangemarmar ki chamak maana aye haseen tere badan mein hai
Baaqi bacha jo pathar woh khuda ne banay tera dil hai


Nazaaqat naazneeno ke banaane se nahin hoti
Khuda jab husn ceta hai nazaaqat aa hi jaatio hai


Ab to ghabra ke yeh kehte hain ki mar jaayenge
Mar ke bhi chayen na paaya to kidhar jaayenge


Boy: Khoon se likhta hoon, siyaahi na samjho
Pyaar karta hoon tumse, bhai na samjho
Girl: Khoon se likhte ho,siyaahi nahin mili kya
Pyaar mujhse karte ho, koi aur nahin mili kya
Boy: Siyaahi to bahoot hai, par khoon jaisi kahan
Ladkiyaan to bahoot hain, par tum jaisi kahan


Nazar ne nazar ko nazar se nazar milaate dekha
jo padhi nazar ke upar nazar ki nazar,
nazar ne nazar ko nazar se nazar churaate dekha!!


Gustakhi kar chuke hain hum akhir
Maafi mang chuke hain sab jaa kar


Dil tod kar hansti hai tun mera
waffayein meri yaad karogi
Agar maine internet connection disconnect kar diya
to darling kis se chat karogi


Jo sadiyon se hota aaya hai
woh repeat kar doonga
Tu na mili to tujhe
shift delete kar doonga


Ladkiyaan sunder hain
aur lonely hain
problem hai ki bus woh
read only hain


Shaayad mere pyaar ko
taste karna bhool gaye
Dil ko aisa cut kiya ki
paste karna bhool gaye


Woh samajhte hain dil tod diya
to hum dead hai
Woh nahin jaante ki is dil mein
aur kitne thread hain


Tumhare saamne hain itne sample
kabhi humein bhi pick karo
Humare pyaar ke icon par
kabhi to click karo


Roz subah hum karte hain
itne pyaar se unhe good morning
Woh humein ghoor kar dekhte hain
jaise 0 error but 5 warning


Apple katta hoon knife se,
Paani peeta hoon pipie se,
Kya zamaana aa gayaa
Joote khaata hoon apni wife se


Use karte hain make-up ka dabaa roze kyon?
Ban sanwar kar nikalte hain chhailaa roze kyon?
Mummy tum to kehti thi Eid to kab ki gayee...
Phir parosan se gale milte hain papa roze kyon?


Gul gaya, Gulshan gaya, Gayi honthon ki laali
Ab to peechha chod de, main ho gayi bachon waali


Chandni raat thi, main so rahi thi
Phir kisi ne darwaaza khutkhataaya
Maine socha mera dil aaya
Darwaaza khol ke dekha to bijli ka bill aayaa


Maine tujhe dekha
Dekhta raha, dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya


Pathar kyon marte ho, pura pahaad maar do
Hum yoon hi mar jaayenge, sirf ek maar aankh maar do


Katchi kali katchnaar ki, katcha na samajhna
Lar jaaoonga tere baap se, bacha na samajhna


Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se haseenon ka pyaar dekha hai
Unhein khilaane pilaane mein hui hai yeh haalat
Kasam khuda ki... Cinema bhi udhaar dekha hai


Tairna hai to paani mein aao,
Kinare pe kya rakha hai
Ishq karna hai to baahon mein aao,
Ishaaron mein ky6a rakha hai


Yeh zulfein hain tumhari
ya resham ke jaal
Kitne khush naseeb hain woh choohe
jinho ne kutre tere baal


Dil hai tera dariyaa...
Aankhen hain teri jheel
So my darling...
What'z the big deal??

Mujhe phir wohi yaad aane lage hain
jinhe bhulaane mein zamaane lage hain
Yeh kehna hai unse mohabbat hai mujhko
yeh kehne mein unse zamaane lage hain




More Shaayari
Shaayari Home Serious Shaayari Hindi Shaayari In English Own Composed Shaayari My Favourite Lyrics Quotations