1.Ishq ka jahaa bhi naam hota hai
Tadapna sisakna aam hota hai
Karvatein badalna tamaam raat jaagna
Zakhmon ko dil se kaam hota hai
Khush-naseeb kabhi ishq ho nahi sakta
Ye to badnaseebiyo ka jaam hota hai

2.Dil ko tadpaate ho yeh dastoor kaisa hai
Bimaar-e-mohabbat ka kehna aisa hai
Kon kehta hai ki tum chaand jaise ho
Haqeeqat to yeh hai ki chaand tum jaisa hai.

3.jinko rahe dhundte dar-bader...
vo dil ke reh-numa nikle...
ab tanhaai hum se nahi katt ti..
vo mile to humari jaan nikle...

4.Palkein Hoon Khuli Ya Bandh Sanam
Teri Tasveer Dekhayi De
Mera Naam Jab Pukare Koi
Mujhe Tera Naam Sunayi De

5.Aaine main tasveer tumhari hi dekhe hum
Dhadkan bhi maane tumhe hi apna humdum
Dil ki yeh baat hoton par kaisey laaye hum
tum apne ho yeh tumhe kaise bataye hum 

6.Yeh siishe yeh sapne yeh rishte yeh dhaage,
kise kiya khabar hai kahan toot jayein,
mohabbat ke dariya mein tinke wafa ke, 
na jaane yeh kis mod par doob jayein. 

7.Muskuraate hain to bijliyaa gira dete hain
Baat karte hain to dewaana bana dete hain
Husn waalo ki nazar bhi kam nahi quamat se
Aag paani mein nazroo se Lgaa dete hain

8.Humne maanga tha saath unka,
woh juddai ka gham de gaye,
hum yaadon ke sahare ji lete,
who bhool jaane ki kasam de gaye

9.Har baar katal ho mera jhukti hai jab nigaah teri
AankheiN chaar se ho kya anjaam tere nishane ka
Guzra hu teri gali se zara haath mera thaam le
jaanta nahi koyi aur pata mere aashiyane ka 

10.Mohabat Ka Naam Dekar 
Sitam Izaad Kar Dalaa 
Hasino Ne Jise Chaha 
Use Barbad Kar Dalaa 

                                

                                     
                                               

                                                                         

                                                                                                                         

Welcome to Goldy's Website

The trouble is not so much dying for a friend, it is finding a friend worth dying for - Unknown