
1.Mujh se achhe to hain teri raah ke pathhar sanam
Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate huye
2.Hai pyaar hume tum se,Hamraaz farishtey hain,
Pehchaan le laankhon mein, Ye rooh ke rishtey hain
3.Pyar aaya ishq aaya,Aur aaya intzaar
Milan nahi hua aaj tak,Jinko kiya humne pyar
4.Mere pass a aa kar haye mujh ko tadpaana aapka
door khade ho kar haye vo muskurana aapka
dekh lena jaa meri le lega ek din
vo palke utha kar haye fir se jhukana aapka
5.Jinki yaad hai dil mein nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye hume kahani ki tarha
6.Hasna humara kissi ko gwara nahi hota
har musafir zindgi ka sahara nahi hota
yu to milte hain laakho dost is tanha zindgi mein
par koi dost aap jaisa pyara nahi hota
7.Ek aap he to ho jis ke liye humne
khud apne aapko bhi bhula diya hai
aur kis ki himmat jo jhukata humko
aapke aage to khud sar jhuka diya hai
8.Ashiq marte nahi, jinda dafnaye jatein hain
Kabar khol kar dekho, to intzaar main paaye jatehain
Aayi thi meri kabar per, diya jala kar chali gayi
marne ke bad he sahi roshane to mile
9.chand se pyari hai chandni,
chandni se pyari hai raat,
raat se pyari hai zindgi,
zindgi se pyari ho aap
10.Har Dil Mai Ek Umang Utha Karti Hai
Har Umang Ek Raaj Kaha Karti Hai
Mumkin Nahi Ki Har Koi TajMahal Bana De
Magar Har Dil Main Ek Mumtaz Raha Karti Hai
