
1.Matt puchh teri mohhabat mein hume kya kya jarna pada
Jo kaam jindgi mein nehi kia tha voh aaj teri khatir karna pada
2.Mil bhi jaate hain, to katra-kar nikal jaate hain
mausam ki tarah dost bhi badal jaate hain.
3.Tumahri saadgi mein jab itna husn hai
to tumahra shingaar kaisa hoga
tumahre gusse mein jab itna pyaar hai
to tumahra pyaar kaisa hoga
4.Raat ki tanhai mein unko awaaz diya karte
hain
Raat mein sitaaron se unka zikre kiya karte hain
Woh ayen ya na ayen humare khwabon mein
Hum toh bus unhi ka intezaar kiya karte hain
5.Misaal dene mein shayad ho gayee ho bhul
kaha janab ka chehra?? aur kaha gulab ka phool???
6.Ek Aarzoo yehi hai dil-e-beqarar mein
Marjayu main kisi bhi hasina ke pyaar mein
Guzri hui jawani ko nikla hu dhundne
Shayad yahin kharri ho koi mere intezaar mein
7.Ujale apni yadoon ke saath rahne do
Badi der tak raat hi raat hogi
Musafir tum bhi ,Musafir hum bhi
Phir kisi moad par mulaqat hogi
8.Kuch der tak to sehma raha jag-hassai par
phir yu hua ki main bhi hassa is hassai par
sharminda ho na jaye kahin wo, ye khauf hai
ek sher kahne waala hu main, bewafai par
9.Khali dil izhaar ke kabil na raha,
koi bhi pyaar ke kabil na raha,
Dil mein bas gayi dosti teri,
ab to chaand bhi didaar ke kabil na raha.
10.Had ki had se guzarna koi aapse seekhe,
yu mohobbat mein jaan lutana koi aapse seekhe,
hum tu dil deke bhi aapke ho na sakey,
dil se dil ko churana koi aapse seekhe!!