
1.Aap maan kar fir se na rooth jayein kahin
is liye aapko manaane se darte hain
hum to chahte hain ki aap raho sada yu hee roothe
Kyonki gusse mein aap aur bhi haseen Lagte hain
2.Ek din aap humi ko chahenge dekh lena
hum khuda se aapko maang layenge dekh lena
shayed aapko humari mohabbat ka ehsaans nahi
aapse hee iska ehsaans karvayenge dekh lena
3.Yeh zrori nahi ki bol dene se hee pyaar hota hai
aankho aankho mein bhi to pyaar ka izhaar hota hai
aap bas ek baar humari taraf dekh lijiye
fir dekhna ki aapka dil kaise bekraar hota hai
4.Aap rotha na karo humse oh jaanam
mere dil ki dhadkan badh jaati hai
zindgi to aapke naam kar hee chuke hain
jaa bas baaki hai vo bhi nikal jaati hai
5.Mere saamne hee to hi majil meri
par kadam mein badda nahi pa raha
ae mere dil tu hee koi baat kar le unse
main to nazar bhi unse mila nahi paa raha hu
6.Dil yeh humara bekraar ho raha hai
lagta hai ki hume aapse pyaar ho raha hai
aap aa jayo yaha jaldi se
aapka besabri se intzaar ho raha hai
7.Aap muskurate hue hee ache lagte ho
aap hamesha hee aise muskuraya karo
maja aata hai hume aapko satane mein
magar aap rooth kar maan jaya karo
8.Yaad aati hai jab unki yaaro
to ek shayer ban jaata hai
vaise to humko yaaro
likhna bhi kaha aata hai
9.Yeh aapne kaise keh diya humdum
ki aap hume yaad aate nahi ho
mushkil ho jaati hain vo ghadiya bitana
jis pal aap muskurate nahi ho
10.Tujeh bhool jayein yeh mumkin nahi hai
kissi aur ko chahe ye mera dil nahi hai
humari hee kismat ka koi dosh hoga
warna tu mere humdum koi qaatil nahi hai