1.Husn Pariyo ka aur roop chand ka churaya hoga
Khoobsurat phoolo se hontho ko sajaya hoga
Zulf bhikhre to ghatayo ko aaye pasina
Badi fursat se Rab ne tujeh banaya hoga

2.kabhi ki hogi suraj ne Chand se mohabbat,
tabhi to Chand pe daag hai............
mumkin hai ki Chand se bhi hui hogi bewafai......
tabhi Suraj me aag hai..

3.Tujhe dekhe bin teri tasveer bana sakta hoon 
Tujhe mile bina tera haal bata sakta hoon 
Hai Itni Sachaayi Meri Mohabbat Mein Ke 
Teri Gam Ke Aansoo apni Aankho Se Gira Sakta Hoon 

4.Ae dil kissi ki yaad mein rona fijul hai
ye aansoo bade anmol hain inhe khona fijul hai
royo to unke liye jo tum par nisaar hain
unke liye kya rona jinke aashiq hazaar hain

5.Jaam pe jaam peene se kya faida
subah pii aur raat ko utar jayegi
are 2 boond pyaar ki pii kar to dekh
zindgi saari nashe mein guzar jayegi

6.Har lafz mein humari hee tasveer payoge
padhne ko jab tum kitaabe uthayoge
keh do na saaf saaf ki humi se mohabbat hai
aise kab talak yeh mohabbat chipaayoge

7.Aaj talak hum chahte rahein hain aapko
yeh baat bhi to sada btate rahein hain aapko
ab aap hee na samjhe to kya karein
hum to haal-e-dil sunaate rahein hain aapko

8.Aaj keh diya fir na kehna kabhi
meri nazro se door tum na rehna kabhi
khushi bankar labho pe aaye ho tum hee
ashq ban kar aankho se na behna kabhi

9.Aaj na jaane kyon bechain hain yaha
aaj na jaane kyon humara dil udaas hai
yeh jaante hain hum ki na aayenge aap
fir bhi na jaane kyon milne ki aas hai

10.Aapse kyon na pyaar karein
aap hume ache lagte hain
log kehte hain ki, haseen hote hain bewafa
par kya karein aap sache lagte hain

                                                                        

                                                                 

                                                                                                                     

Welcome to Goldy's Website

Never explain yourself. Your friends don’t need it and your enemies won’t believe it - Unknown