Welcome to Sher Aur Shairies Page No.28

  1. Tere Khushboo

Tere Khushboo base Khat main jalaataa kaise,
Pyaar main dube hue Khat main jalaataa kaise.
Tere haathon ke likhe Khat main jalaataa kaise,
Teri yaadoon ko apni zindgi se mitaata kaise.

  2. Tere Khat

Tere Khat aaj main nadi main bahaa aayaa hun,
Aag bahate hue paani main lagaa aayaa hun.
Jo kabhi na soocha tha voh kaam kar aaya hun,
Tujhe aaj es dil ki duniya se nikaal ke chala aaya hun.

  3. Mera qalaam

Mera qalaam nahi tasbiih us mubaalig ki,
Jo bandagi ka bhi har dam hisaab rakhata hai.
Mera qalaam nahi mizan aise aadil ki,
Jo apane chehare pe dohra naqaab rakhataa hai.

  4. Tujh bin

Tujh bin ghar kitana suunaa tha,
Deewaaron se Dar lagata tha.
Bhuli nahin vo Shaam-E-Judaai,
Main us roz bahut roya tha.

  5. Khastaa-Haal

Deewaar khastaa-haal hai,
Aur dar udaas hai.
Jab se ko_ii gayaa hai,
Mera ghar udaas hai.

  6. Koi

Koi aake jaise chala gayaa,
Koi jaake jaise gayaa nahin.
Mujhe apana ghar bhi ghar lagaa,
Kabhi mujhe ghar lagaa nahin.

  7. Pardes

Khoob gaye pardes ki,
Apane Deewaar-O-Dar bhuul gaye.
Sheesh-Mahal ne aisa ghera ki,
mitti ke ghar bhool gaye.

* Home * Prev * Next * Last *

::Sign my Guestbook::               ::View my Guestbook::