Khable Zahoor Duniya Ki Halat.
By Shair-E-Millath Late Baquer Amanath Khani.
-
Izhaar e noor e kibriya behad hai ab kareeb
us wajibul wajood ka maksad hai ab kareeb
afshai raze khudrath e sarmad hai ab kareeb
ghaibath ke tajdaar ki amadh hai ab kareeb.
Tadbeer e inthaa pe faq o fajoor ki
duniya bani hui hai alaamath zahoor ki.
-
Har ek zaban ab hai tasannoo ke rang mein
sab ka bayan hai tasannoo ke rang mein
har dastan ab hai tasannoo ke rang mein
sara jahan ab hai tasannoo ke rang mein
nakli har ek cheez ki surath hai aaj kal
har kaam beniyaz e haqueeqat hai aaj kal
-
Badli hui jahan ki halat hai aaj kal
iqulas se hati hui hai neeyath hai aaj kal
har kaam mein kamal e siyasath hai aaj kal
har khoul beniyaz e sadaquath hai aaj kal
aab marte hai jhoot ke patthar se sadqe ko
karthe hai zibha shimrr ke khanjar se sadqe ko
-
Tahzeeb ke usool se nafrath hai aaj kal
ghusse ka josh maniye himmath hai aaj kal
chaiye hui dilonpe jahalath hai aaj kal
maniye sabbo sitam shujaath hai aaj kal
kehte hai jisko taish sifath buzdili ki hai
choubees saal sabr shujaath ALI ki hai
-
Muflis nazar mein khabil e nafrath hai aaj kal
insaan ko seem o zar se mohabbath hai aaj kal
daulath hi ahle aish ke jannath hai aaj kal
shaddad ka khawab haqueeqath hai aaj kal
tanziya kaih-khai hai gareebi ke sabar par
Copyright © Reserved Hassan Amanath Khani.
|