VEDIC CENTER
Ram Chalisa & Arti
Ganesh Chalisa & Arti
Vishnu Chalisa & Arti
Shiv Chalisa & Arti
Hanuman Chalisa & Arti
Krishna Chalisa & Arti
Durga Chalisa & Arti
Saraswati Chalisa & Arti
Laxmi Chalisa& Arti
[Gayatri Chalisa & Arti] [Santoshi Chalisa & Arti] [Mahakali Chalisa & Arti] [Main]
Jai jai jai shri jagat pati, jagadadhar anant Vishveshvar akhilesh aj, Sarveshvar Bhagvant. Jai jai Dhranidhar shruti sagar jayati Gadadhar sadgun agar. Shri Vasudev Devaki nandan Vasudev, nasan-bhav-phandan. Namo-namo sacharachar-svami paranbrahma prabhu namo namo namami. Namo-namo Tribhuvan pati Ish Kamala pati keshav yogish. Garudadhvaj aj, bhav bhai hari Murlidhar Hari Madan murari. Narayan shripati Purshottam Padmanabhi narhari sarvottam. Jai Madhav Mukuud, vanmali khal dal mardan, daman-kuchali. Jai aganit indniya sarangdhar vishva rup Vaman anand kar. Jai jai lokadhyaksh-dhananijai sahastragya Jaganath jayati jai. Jai Madhusudan anupam anan jayati Vayu-vahan vajra kanan. Jai Govind Janardan deva shubh phal lahat gahat tav seva. Shyam saroruh sam tan sohat darsha karat, sur nar muni mohat. Bhai vishal mukut shir sajat ur vaijanti mal virajat. Tirchhi Bhrikuti chap janu dhare tin-tar nain kamal arunare. Nasha chibuk kapol manohar mridu muskan kunj adharan par. Janu mani pankti dashan man bhavan basan pit tan param suhavan. Rup chaturbhuj bhushit bhushan varad hast, mochan bhav dushan. Kanjarun sam kartal sundar sukh samuh gun madhur samundar. Kar mahan lasit shankh ati pyara subhag shabda jai dene hara. Ravi sam chakra dvitiya kar dhare khal dal danav sainya sanhare. Tritiya hast mahan gada prakashan sada tap-traya-pap vinashan. Padma chaturth hath mahah dhare chari padarath dene hare. Vahan Garud manogativana tihun tyagat, jan hit Bhagvana. Pahunchi tahan pat rakhat svami ko Hari sam bhaktan anugami. Dhani-dhani mahima again ananta dhanya bhaktavatsal Bhagvanta. Jab-jab surahin asur dukhdinha taba tab prakati, kasht Hari linha. Sab sur-muni Brahmadi Maheshu sahi na sakyo ati kathin kaleshu Tab tahan dhari bahu rup nirantar mardyo-dal danvahi bhayahkar. Shaiyya shesh, Sindhu bich sajit sang Lakshmi sada-virajit. Puran shakti dhanya-dhan-khani anand bhakti bharani sukh dani. Jasu virad nigamagam gavat sharad shesh par nahin pavat. Rama Radhika Siya sukh dhama sohi Vishnu Krishna aru Rama. Aganit rup anup apara nirgun sagun svarup tumhara. Nahin kachhu bhed ved as bhashat bhaktan se nahin antar rakhat. Shri Prayag-Durvasa-dhama Sundardas Tivari grama. Jag hit lagi tumahin Jagdisha nij-mati rachyo Vishnu-chalisa. Jo chit dai nit padhat padhavat puran bhakti shakti sarsavat. Ati sukh vasat, ruj rin nasat vaibhav vikashat, sumati prakashat. Avat sukh, gavat shruti sharad bhashat Vyas-bachan nishi Narad. Milat subhag phal shok nasavat ant sainaya jan Han pad pavat. Doha Prem sahit gahi dhyan mahan, hridai bich Jagdish, Arpit Shaligram kahan, kari Tulasi nit shish. Kshan bhangur tanu jani, kari ahankar parihar. Sar rup Ishvar lakhai, taji asar sansar, Satya shodh kari ur gahai, ek Brahma Onkar, Atma bodh hovai tabai, milai mukti ke dvar. Shanti aur sadbhav kahan, jab ur phulahin phul, Chalisa phal lahahin jan, rahahi Ish anukul. Ek path jan nit karai, Vishnu dev chalis, Char padarath navahun nidhi, deyan Dvarikadhis
|
Vishnu
Aarti Om jai Jagadish Hare, svami jat Jagadish Hare, bhakt janon ke sankat, shan men dur kare, Om jai... Jo dhyave phal pave, dukh binse man ka, Sukh sampati ghar ave, kasht mite tan ka, On jai... Matpita tum mere sharan gahun main kiski, Tum bin aur na duja, as karun main jiski, Om jai... Tum puran Parmatma, tum antaryami, Parbrahma parmeshvar tum sab ke svami, Om jai... Tum karuna ke sagar, tum palan karta, Main murakh khal kami, kripa karo bharta, Om jai... Tum ho ek agochar, sabe ke pranpati. kis vidh milun dayamai, tum ko main kumati, Om jai... Din bandhu dukh harta, tum rakshak mere, Apne hath uthao, dvar pada main tere, Om jai... Vishai vikar mitao, pap haro deva, Shradha bhakti badhao, santan ki seva, Om jai... Tan man dhan jo kuchh hai, sab hi hai tera, Tera tujhko arpan, kya laga mera, Om jai....
|
Jai Ganesh Girija suvan, Mangal mul sujan Kahit Ayodhya das tum, dev abhay vardan Jai Girijapati din dayala, sada karat santan pritpala. Bhol chahdrama sohat nike, kanan kundal nag phani ke. Ang gaur, shir gangabanae, mundamal tan chhar lagae. Vastra khal bagambar sohe, chhavi ko dekh nag muni mohe. Maina matu ki havai dulari, bam ang sohat chhavi niyari Kar men trishul sohat chhavi bhari karai sada shatrun shahkari Nandi Ganesh sohain tahan kaise, sagar madhya kamal hai jaise. Kartik shyam aur ganarau, ya chhavi ko kahi jat na kau. Devani jab hi ai pukara, tabahin dukh Prabhu ap nivara. Kiya upadrav Tarak bhari, devani sab mili turnahin juhari. Turant shadanan ap pathayo, lay nimesh mahin mari girayo. Ap jaladhar asur sanhara, suyash tumhara vidit sansara. Tripurasur sang yudh machai, sabahin kripa kari linh bachai. Kiya tapahin Bhagirath bhari, purve pratigya tasu purari. Davan manan tum sam kou nahin, sevak ustuti karat sadai. Ved nam mahima tab gai, akath anadi bhed nahin pai Pragateu dadi-manthan te jvala, jare surasur bahe bihala. Dindayal tahan kari sahai, Nilkanth tab nam kahai. Pujan Ramchandra jab kinha, jit ke Lanka Vibhishan dinha. Sahas kamal men ho rahe dhari, kinha pariksha tabahi purari Ek kamal prabhu rakhyau gohi, kamal nayan pujan chahan soi Kathin bhakti dekhi Prabhu Shankar, bhaye prasan diye ichhatvar. Jai Jai Jai Anant avinasi karat kripa sab ke ghat vasi Dushat sakal nit mohi satavaen, bhramat rahe mohi chain na avaen. Trahi trahi main nath pukarun, yahi avasari mohi, ani ubaro. Lai trishul shatruni ko maro, sankat se mohe ani ubaro. Mata pita bhrata sab hoi, sankat men puchhat nahin koi. Svarmi ek hai as tumhari ai haranu ab sankat bhari Dhan nirdhan ko det sadai, jo koi jancha so phal pahin. Ustuti kehi vidhi karaun tumhari shamahu nath ab chuk hamari Shahkar ho sankat ke nashan, vighna vinashan mangal karan. Yogi yati muni dhyan lagavain, sharad Narad shish nivavain. Namo, namo jai namo Shivaye, sur Brahmadik par na paye. Jo yah path kare man lai, tapar hot hain Shambhu sahai. Rinya jo koi ho adhikari, path kare so pavan-hari Putra ho na ichchha kari koi, nishchai Shiv prasad te hoi Pandit triyodashi ko lavain, dhyan purvak horn karavain. Tryodashi vrita kare hamesh, tan nahin take rahe kalesh. Dhup dip naived chadhavai, Shankar sanmukh path sunavai. Janam Janam ke pap nashavai, ahtvas Shivpur men pavai. Kahe Ayodhya as tumhari, jan sakal dukh harahu hamari |
Shiv
Aarti Jai Shiv onkara, Prabhu jai Shiv onkara Brahma Vishnu Sadashiv ardhangi dhara, Om Har Har Mahadev.... Ekanan, chaturanan, panchanan raje, Hansasan GarudaSan Vrishvahan saje, Om Har Har Mahadev.... Do bhuj, charu chaturbhui dashmukh ati sohe Tinon rup nirakhte tribhuvan janmohe, Om Har Har Mahadev.... Akshyamala banamala mundmal dhari Chandan mrigmad sohai, bhale shubhkari, Om Har Har Mahadev.... Shvetambar Pitambar Bagambar ange, Brahmadik Sankadik Pretadik sange, Om Har Har Mahadev.... Kar madhye kamandalu au trishul bhari, Sukhkari dukhahari jagpalankari, Om Har Har Mahadev.... Brahma Vishnu Sadashiv janat aviveka, Pranavakshar men shobhit ye tinon eka, Om Har Har Mahadev.... Trigun svami ki arti jo koi nar gave Kahat Shivanand svami man vanchhit phal pave, Om Har Har Mahadev.... |
Jai jai jai vandan bhuvan, nandan Gauri Ganesh, Dukh dvandvan phandan haran, sundar suvan Mahesh. Jayati Shambhu-sut Gauri-nändan, vighna haran nasan bhav-phandafl. Jai Gananayak jansukh dayak, vishv-vinayak Buddhi-vidhayak. Ek radan gaj badan biräjat, vakratund shuchi shund susajat. TiIak tripund bhal shashi sohat, chhavi Iakhi sur nar muni man mohit. Ur mani-mäl saroruh Iochan, ratna mukut-shir shoch vimochan. Kar kuthar shuchi subhag trishulam, modak bhog sugandhit phulam. Sundar pitambar tan sajit, charar paduka muni man rajit. Dhani Shiv-suvan bhuvan sukh data, Gauri-lalan shadanan bhrata. Riddhi Siddhi tava chanvar sudharahin, mushak vâhan sohit dvarahin Tav manima ko varne para janma charitra vichitra tumhara. Ek asur Shiv-rup banavai, Gaurihin chhalan hetu tahan avai. Yah karen te shri Shiv-pyari nij tan-mail murti rachi dari So nij sut kari grih-rakhvare, dvar pal sam tehin baithare. Jabahin svayam shri Shiv tahan aye, binu pahichan jan nahin paye. Puchhyo Shiv ho kinke lala. bolat bhe turn vacnan rasala. Main hun Gauri-sut suni lijai, age pag na bhavan hit dijai. Avahin matu bujhi tab jao, balak se jani bat badhao. Chalan chahyao-Shiv bachan na manyo, tab hvai kruddh yuddh turn thanyo. Tathshah nahi kachhu Shambhu vicharyo, gahi trishul bhul vashmaryo. Siras phul sam shir kati gayau, chat udi lop gagan mahan bhayau. Gayo Shambhu jab bhavan manjhari, jahan baithi Giriraj-kumari Puchhe Shiv flu manmuskaye, kahahu Sati-sut kahan te jaye. Khulige bhed katha sunh sari giri vikal giriraj dulari Kiyon na bhal svami ab jao, lao shish jahan se pao. Chalyo Vishnu sang Shiv vigyani, milyo na so hastihin shir ani Dhadh upar sthit kari dinhyon, pran vayu sanchalan kinhyon. Shri Ganesh Shiv nam dharayo, Vidya buddhi amar var payo. Bhe prabhu patham pujya sukhdayak, vighna vinashak buddhi vidhayak. Prathamahin nam let tav joi, jag kahan sakal kaj sidh hoi. Sumirahin tumahin milahin sukh nana, vinu tav kripa na kahun kalyana Tumharahin shap bhayo jag ankit, bhadavan chauthi chandra akalankit. Jabahin pariksha Shiv tuhin linha pradakshina prithvi kahi dinha Shatmukh chalyo mayur udai baithi rache turn sahaj upai, Ram nam mahi par likhi anka, kinh pradakshina taji man shanka. Shri pitu-matu-Charan dhari linhyo, ta kahan sat pradakshina kinhyo. Prithvi parikrama phal payo, as lakhi suran suman varshayo. 'Sundar das’ das ram ke chera, DurvaSa ashram dhari dera. Virchyo shri Gariesh chalisa, Shiv puran varnit yogisa. Nitya Gajanan jo gun gavat, grah vasi sumati pararn sukh pavat. Jan dhan dhanya-suvan sukh dayak, dehin sakal shubh shri Gananayak. Doha Shri Ganesh yah chalisa, path karai dhari dhyan, Nit nav mangal mod lahi, milai jagat sanman. Dvai sahstra dash vikrami, bhadra Krishna tithi gang, Puran chalisa bhayo, sundar bhakti abhang. |
|
Hindi
Ganesha’s
Aarti![]() |
Ganesh Arti Jai Ganesha Jai Ganesha Jai Ganesha Deva Maata Jaaki Parvati Pitaa Mahadeva Ladoowan Ka Bhog Lage Sant Karen Sevaa Jai Ganesh Deva Eka Dant Dayavant Chaar Bhujadhari Maathe Par Tilak Sohe Muse Ki Sawaari Paan Chadhe Phool Chadhe Aur Chadhe Mevaa Jai Ganesh Deva Andhe Ko Aankh Det Kohin Ko Kaaya Banjhan Ko Putra Det Nirdhan Ko Maaya Surya Shama Sharan Aaye Safal Kijye Sevaa Jai Ganesh Deva
|
Shri Hanuman Chalisa (in English) | ||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||||
|
|
Shri Hanuman-ji Ki Arti
Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki, Dushat Dalan Ragunath Kala Ki. Ja Ke Bal Se Giriver Kaanpe, Rog Dosh Ja Ke Nikat Na Jaanke. Anjani Putra Mahabaldaye, Santan Ke Prabhu Sada Sahaye. De Beeraha Raghunath Pathai, Lanka Jaari Siya Sudhi Laiye. Lanka So Kot Samundra Se Khaiy, Jaat Pavan Sut Baar Na Laiye. Lanka Jaari Asur Sab Maare, Siya Ramji Ke Kaaj Sanvare. Lakshman Moorchit Parhe Sakare, Aan Sajeevan Pran Ubhaare. Paith Pataal Tori Yamkare, Ahiravan Ke Bhuja Ukhaare. Baayen Bhuja Asur Dal Mare, Daayen Bhuja Sab Santa Jana Tare. Surnar Munijan Aarti Utare, Jai Jai Jai Hanuman Uchaare. Kanchan Thaar Kapoor Lo Chhai, Aarti Karat Aajani Mai. Jo Hanumanji Ki Aarti Gaave, Basi Baikuntha Amar Padh Pave. Lanka Vidvance Kiye Ragurai, Tulsidas Swami Aarti Gaaie. Aarti Ki Jai Hanuman Lala Ki, Dushat Dalan Ragunath Kala Ki.
|
Banshi shobhit kar madhur nil jalaj tanu shyam. Arun adhar janu bimba phal nayan kamal abhiram. Puran Indu Arvind mukh pitambar suchi saj. Jai Man Mohan Madan chhavi Krishiaachandra maharaj. Jai jai Yadunandan jag vandan Jai Vasudev Devki nandan. Jai Yashoda sut Nandadulare Jai prabhu bhaktan ke rakhvare. Jai Natanagar Nag nathaiya Krishna Kanhaiya dhenu charaiya. Puni nakh par Prabhu Girivar dharo Ao dinan-kasht nivaro. Banshi madhur adhar-dhari tero Hove puran manorath mero. Ao Harli puni makhan chakho aj laj bhaktan ki rakho. Gol kapol chibuk arunare mridu muskan mohini dare. Rajit Rajiv nayan vishala mor mukut vaijantimala. Kundal shravan pit pat achhe kati kinkini kachhani kachhe. Nil jalaj sundar tan sohai chhavi lakhi sur nar muni man mohai. Mastak tilak alak ghunghrale Ao Shyam bansuriya vale. Kari pai pan putanahin taryo Aka-baka kagasur maryo. Madhuvan jalat agin jab jvala bhe shital lakhatahin Nandaiala. Jab surpati Brij chadhyo risai Musar dhar bari barsai. Lakhat lakhat Bnij chahat bahayo Govardhan nakh dhari bachayo. Lakhi Yashuda man bhram adhikai Mukh mahan chaudah bhuvan dikhai. Dusht Kansa ati udham machayo Koti kamal kahan phul mangayo. Nathi kaiiyahin ko tum linhyo Charan chinh dai nirbhai kinhyo. Kari gopin sang ras bilasa sab ki pur kari abhilasa. Aganit maha asur sanharyo Kansahi kesh pakadi dai maryo. Matu pita ki bandi chhudayo Ugrasen kahan raj dilayo. Him se mritak chhahon sut layo Matu Devakl shok mitayo. Narkasur mur khal sanhari Lae shatdash sahas kumari. Dai Bhimahin tran chiri isara Jarasindh rakshas kahan mara. Asur vrikasur adik maryau Nij bhaktan kar kasht nivaryau. Din Sudama ke dukh taryo Tandul tin muthi mukh daryo. Duryodhan ke tyagyo meva Kiyo Vidur ghar shak kaleva. Lakhi prem tuhin mahima bhari Naumi Shyam danan hitkari. Bharat men parath-rath hanke Live chakra kar nahin bat thake. Nij Gita ke gyan sunaye bhaktan hridai sudha sarsaye. Mira aisi matvali vish pi gayi bajakar tali. Rana bheja samp pitari shaligram bane banvari. Nij maya tum vidhihin dikhayo urte sanshai sakal mitayo. Tav shatninda kari tatkala, jivan mukt bhayo shishupala. Jabahin Draupadi ter lagai Dinanath laj ab jai. Turatahih basan bane Nandlala badhyo chir bhe ari munh kala. As anath ke nath Kanhaiya dubat bhanvar bachavahi naiya 'Sundardas' vas Durvasa karat vinai Prabhu pujahu asa. Nath sakai un kumati nivaro chhamon vegi apradh hamaro. Kholo pat ab darshan dijai "Bolo Krishna Kanhaiya ki jai". Doha Krishna chandra ke nam Se, hot praphulit gat, tan ghatak patak tarat, rag dur hvai jat. Chalisa jo nit padhai, Kathin kasht kati jai, dhan jan bal vidya badhai, nit nar sukh sarsai. Yah chalisa Krishna ka, path krai ur dhari, asht siddhi nay niddhi phal, lahai padarath chari. |
Krishan
Aarti Arti yugal Kishor ki kijai, Radhe dhan nyochhavar kijai, Arti Ravi shashi koti badan ki shobha, tahi nirakh mera man lobha, Arti.... Gaur Shyam mukh nirkhat rijhai, Prabhu ko rup nayan bhar pijai, Arti.. Kanchan thar kapur ki bati, Hari aye nirmal bhai chhati, Arti.... Phulan ki sej phulan ki mala, Ratna sinhasan baithe Nandlala, Arti.... Mor mukut kar murli sohai, Natvar vesh dekh man mohai, Arti.... Adha nil pit pat sari, Kunj Bihari Girvardhari, Arti... Shri Purshottam Girvar dhari, arti karat sakal Brajanari, Arti.... Nand-nandan Vnishabhanu Kishori, Parmanand svami avichal jori, Arti.... |
Shree Durga Chalisa [Back]
|
AARTI Jai Ambe Gauri maiya, jaa Shyama Gauri Nishdin tumko dhyavat, Hari Brahma Shivji, Jai Ambe.... Mang sindur birajat, tiko mrigmadko, ujjvalse dou naina, chandravadan niko, Jai Ambe.... Kanak saman kalevar, raktambar raje, Raktapushp galmala, kanthhar saje, Jai Ambe.... Kehari vahan rajat, khadg khappar dhari sur nar munijan sevat, tinke dukhahari, Jai Ambe.... Kanan kundal shobhit, nasagre moti Kotik chandra divakar, samrajat jyoti, Jai Ambe.... Shumbh- nishumbh vidare, MahishaSur ghatia Dhumra-vilochan naina, nishdin madmati Jai Ambe.... Brahmani, Rudrani tum Kamala Rani, Agam-nigam bakhani. turn Shiv patrani, Jai Ambe.... Chaunsath yogini gavat, nritya karat Bhairon, Bajat tab mridanga, aur bajat damru, Jai Ambe... Tum ho jag ki mata, tum hi ho bharta, Bhaktan ki dukh harta, sukh sampati karta, Jai Ambe.... Bhuja char ati shobhit, var mudra dhari, Manvanchhit phal pavat, sevat nar nari, Jai Ambe.... kanchan thal virajat, agaru kapur bati Malketu men rajat, kotiratan jyoti, Jai Ambe.... |
Jai jai jai shri Lakshmi, kijai kripa apar Dijai dhan jan jani nij, lijai sharD manjhar. Jayati, jayati jaganidhivati, bhagyavati dhanavanti, Jai jai jalaj vilasini, ghat ghat mahan vichranti Jai jai shri kamle Hari priye, jalanidhi tanye amb, Vinvat sundardas ik man terahin avalamb. Sab sukh bharani Lakshmi Amba, dinan par kahan karati vilamba. Tu tribhuvan tam-nasani hari ho jag janni Vishnu ki pyari. Bhed tumhar na kou pavat, chhan mahansukh sampati upjavat, Pavat sheshadik nahin anta, mahima anupam agam ananta, Mukut bich shishu chand virajat, tisar nayan bhal bich sajat. Jhumat jhumak manin laran ki, sohat choli harit varan ki, pushparaj hiya har virajat, lakhi chavi sahas bhadan man lajat, Phahrat arun rang ki sari, Markat mani suchi jadit kinari, Kati kinkini guchhit treminyan, pad kamalan jhankat paijanyan, Shobha amit tej ki khani, lasit shastra ashtadash pani, Gada padma trishul kripanan, shankh chakra rajit dhanubanan, Vajra kundika pashu kuthari, ati shuchi akshamal kardhari, Sudha kalashras hastavirajat, ghanta vijai ghanaghan bajat, Man utpati katha sukhdai, veda puran sada yash gai, Ek samai as vidhi bhe bama, machige devasur sangrama, Sur asuran mahan ati bhaikari, machyo yudh tihun bk majhari, Tav Mahishasur nij bhuj bal Se, surahin parajit kinhyo chhalse, Bani apuhi devan kahan raja, Indrasan pan jai viraja, Lakhi Shiv Vishnu kupitchit bhayau, attirisbadhi bhrukuti chadhigayau, Mahalakshmi tu hin-sthal se, pragatin tej punj ke bal se. Lakhi sur muni prasanna man bhayau, nij-nij shakti matu kahan dayau, Mukh men basen tej bani Shankar, Vishnu oj bani basen bhujan par, Chanan Brahrna, angulin mahin Bhanu, dasyon kiran bani dragan krishanu, Diye prajapati dashan lalama, dhare kuber Lakshmi nama, Sabai shakti devan son pai, man bhain tej punj adhikai, Attahas kari garjyo jabahin, kampi uthyo dashahundish tabahin, Uchhlyo udadhi chalit bhe dharani, machyo yudh tas jai na varani, Sakyo na sahi mahibhar apara, thakyo shesh kinhyo phunkara. Dagamag dolat bhe giri kaise, Ram bimukh nar nahin thir jaise, Mahishasur jab rachi bahu maya, maha thakit bha par par na paya, Tab man kesh pakaah vadh kinhyo, devan gagan dundubhi dinhyo, Dhani ho dhanya Lakshmi mata, shesh Mahesh adi gun gata, Tav saman ko as jag janni, ati drinani sukh sampati bharani, Satya saneh matu kahan lagat, havai dukh dur sakal bhai bhagat, Sada Lakshmi satya ki cheri, karahin vas satyahin ur heri. Karat satya jo man gun gana, bharat su bhavan atut khajana. Darsat manchhavi parsat charanan, barsat mudra chhananan- chhananan, Harsat man tan tarsat puni-puni, dehin daras man terahin suni-suni, Sundardas sumiri Durvasa, gahyau matu charnan ki asa, As dhan kosh matu se payo, jo na ghatyo, nit ati sukh chhayo. Doha Mahalakshmi charit yah, chalisa chit lai. Path karai nit nem son rinihun dhani hvai jai. Nit nav sukh sampati badhai, kahai shastra sat granth. Ant shanti anandmai, lahai mukti ka panth |
Lakshmi
Aarti Jai Lakshmi mata, maya jai Lakshmi mata, Tumko nishdin sevat, Hara Vishnu vidhata, Jai Lakshmi... Brahmani, Rudrani Kamala, tuhi hai jagmata, Surya chandrama dhyavat, Narad rishi gata, Jai Lakshmi... Durga rup nirantar, sukh sampati data, Jo koi tumko dhyavat, riddhi siddhi dhan pata, Jai Lakshmi... Tuhi hai patal Basanti, tuhi shubh data, Karma prabhav prakashak, jagnidhi se trata, Jai Lakshmi... Jisghar men tum rahati, sab sadgun ata, Karna sake koi karle, man nahin ghabrata, Jai Lakshmi.... Tum bin yagya na hove, vastra na koi pata, Khan pan ka vaibhava, sab tumse ata, Jai Lakshmi... Shubh gun mandir sundar, Kshirodadhi jata, Ratan charurdash tumhin, koi nahTh pata, Jai Lakshmi... Arti Lakshmi ji ki, jo koi nar gata, Ur anand ati umeg, pap utar jata, Jai Lak |
Jayati jayati jai Bharati, Sarasvati jag devi, Jayati amit varadayini, sur nar muni jan sevi, Jai satvadini shambhavi, vina vadini amb, Padmpriye Parmeshvari, ik tumharahin avalamb Jai, Jai Sarasvati-jagdamba karahu matujani aj vilamba. Bash mam kanth dehu sad bani nij sut-jani ek agyani. Karahu kaj puran dai bhakti bharahu buddhi bai vidya shakti. Lahaun vijai jag mahan yash paun tav nit matu charan shir naun. Sapt suran rasnamrit bani yah tav charnamrit maharani. Sharad chandra sam tav tan sohat shvet hansvahan man mohat. Nayan kamal shobhit shashi bhala vina hast malati mala. Shesh Mahesh suyash nit gavain chhavi lakhi kotihun kam iajavain. Jai Ho! rachna sajan vali rasna bich virajan vali. Jayati Kaushiki gaur-dulari jayati jayati chaturanan-pyari. Shri Sarasvatyai namah japat jan svapnahun rog na vyadhi rahat tan. Yadi taji kumati kusangati koi vidyarthi padhahin yahin joi. Saphal pariksha mahan hvai jav vidya buddhi badhai sukh pavai. Kahun gahi kumati, na bane ganvara khandai virya na ekahu bara. Ashtprakar prasangan men se jo na karai prasang bhulahun se. Ho nirogya balak tauu soi takahun svapn dosh nahin hai. Brahmacharya kari bis barisa budhi bal mahin banai avanisa. Nibhai ju niyam pachis pramana so hovai Hanuman samana. Brahmacharya as balak sajain Sarasvati tehin jivha rajain. Banain ashu kavi ati sukh pavain sut bhi Mahavir upjavain. Ved puran subhashit vani avasi labh kari dekhahin prani. Jo nasi viraj balapan men bhari vichar-vyabhicharahin man men. Sarasvatihin kahan dharahin na dhyana nit ashlilahi gavahin gana. Vah balak atishai dukh pavain rog grasit havi janam gavavain. Svapnadosh tehin mritak banavai virya-kosh tan tikan pavai. Yadi puni man ko vash karl prani dhyavain Sarasvatihin hath thani. Chalahin cheti atishai sukh pavahin jo na likhit upadesh blulavahin. Karai supujan devihin deva aru guru matu pita ki seva. Tahi na vyadhi satavahi kaya japar Sarasvati ki daya. Yadi yah shiksha man pitu devain banai putra layak sukh devain. Jo nar padhahin Sarasvati chalisa gunahin aru navahin shisha. Vishvamahin bat vidya mahin tason jiti sake kou nahin. Banai-mahip kavishvar soi vachan siddhi nidhi-nav graha hoi Lekhak shakti shastra padhi dekhyo tab yah vidyarthin hit lekhyo. Gahat niyam sukh lahat sharira karat Shiv-raksha bani bira 'Sundardas'navavat shisha man chalis diyo chalisa. Dhani dhani saras, Sarasvati amba nij jan hetu na karat vilamba. Vani vina-vadini mata vidya varidhi buddhi vidhata. Tumahin Ganesh sumiri jo dhyavat aru Hanumantahi shish navavat. Kathin se kathin karya kari darat satya satya as veda pukarat. Doha Nij sevak ko man tumhin, dinhyo pingal gyan. chalis vidhi chalisahin likh, linhyau suyash mahan. Sarasvati yah chalisa, virachit Sundardas, Nitya padhat vidya badhat, puran hot shubh as. Guru pitu matu padhai sut, jo yahi shiksha dehin, Balabudhi vidya sumati ki, man se bhiksha lehin. |
Sarasvati
Aarti Jai Sarasvati mata, jai jai he Sarasvati mata Sadgun vaibhav shalini, tribhuvan vikhyata, Jai Sarasvati.... Chandravadani padmasini dyuti mangalakare, Sohe shub hansa savare, atul tejdhari, Jai Sarasvati.... Baen kar men vina, daen kar mala, Shish mukut mani sohe, gal motiyan mala, Jai Sarasvati.... Devi sharan jo ae, unka uddhar kiya, Paithi Manthra dasi, Ravan sanhar kiya, Jai Sarasvati.... Vidya gyan pradayini, jag men gyan prakash bharo, Moh aur agyan timir ka jag se nash karo, Jai Sarasvati.... Dhup dip phal meva, man svikar karo, Gyanchakshu de mata, jag nistar karo, Jai Sarasvati..,. Man Sarasvati ki arti jo koi jan gave, Hitkari sukhkari, gyan bhakti pave, Jai Sarasvati.... |
Jai yug-yug ki Adi shakti, jag men prachalit hai nav bhakti Adi, madhya aur avasana, teri gati vidhi koi na jana Nirmal shradha men khush hoti, thode men santusht ho jati Kali men nam dharyo Santoshi, agni tulya pratyaksha-vishekhi Kala, gyan, bal, vidya, datri, tum sam saral sukhadan hindhatri Sakal charachar tum se chalte, bhut-pret yamdut sinharte Dushta dalan sanhar karni, Mata tum Brahmanda dharini Sarasvati Lakshmi aur Kali, amit shakti ki khan nirali Tumhare sharan gahe jo koi, mano kamana purna hoi Tum Gaaesh ki man kanya, tumse dharti ho gai dhanya Riddhi, siddhi, hai tumhari mata, mangalmai vardana ke data Brahma, Vishnu, Mahesh, Trimaya, us ka bat tujh men hai samaya Sur par kanchan mukut suhata, sundar ratnasamuh dikhata Madhur-manohar mukhda komal, pushpamal aur shyamal kuntal Alankar sohit hain ang men, navya divya tan meru rang men Sundar vastra men mala rakhti, darshak ke man vash men karti hai Ga trilakh da dhare do hath, chatur bhuji ko tekahu matha Sanmukh amritbhari surahi, sath kamdhenu manchahi Svarna kalash rahta hai age, bhakton ke saubhag ya ham jage Tumhare bhaktibhav jo pave, ajar amar jag men ho jave Namo namo, jagtaran hari, dukh daridra taro mahtari Shukravar din ati anukula, Santoshi vrata mangalmula Bahuvidhi mat ki puja kar, Santoshi kl katha shravan kar Gud aur chana prasad chadhave, nirhar ek jun manave Savadhan us din yah rakkhe, bhul se khatta deve na chakhe Nahin to matu kupitu ho jati, bansh sahit santan nasati Shukravar solah vrat rakhe, udya pan-utsah se manave Phir to ichchha puran hoi, matu kripa se de na hoi Adbhut devi chamatkarini, pal men chinta pidha harini Japan kripa matu ki hoi, jit sake na usko koi Dhanvivek sukhshanti pradayini, is yug ki navpran vidhayini Tum sam devi kou nahin, dekh liya main Tribhuvan mahin Dukh ati pai bahU bichari, pati vyog ki vah dukhyari Nariyal-khopar pikar pani, bhus kiroti khai abhagini Santoshi ka vrat jo kinhin, pati sahit vaibhav pa linha Pida, chinta katahu marta, ashtsiddhi navanidhi ki data Santoshi upvas kare jo, sukh sampati ka bhog kare vo Vahan vahan sab thaur samai, tumhari mahima kahi na jai Man vanchhit var pavai kvari pain suhag sadhva sannari Sukh dhan jan sab manokamna, purna hogi satya janana Path sava sau karai jo koi, mitai kasht sukh-sampati hoi. Doha Santoshi sankat haran, he chamatkar kif murti Grah badha ko dur kar, karo kamna purti. |
Santoshi
mata Aarti Jai Santoshi mata, maya Jai Santoshi mata, Apne sevak jan ki, sukh sampati data, Jai Santoshi mata.... Sundar chir sunahri, man dharan kinhon, Hira Pana damke, tan shringar liyo, Jai Santoshi mata.... Geru lal chhata chhavi, badan kamal sohe Mand hansat karunamayi, Tribhuvan man mohe, Jai Santoshi mata.... Svarna sinhasan baithi, chanvar dhure pyare, dhup, dip, madhu meva, bhog dhare nyare, Jai Santoshi mata.... Gud aur chana param priya, tamen santosh kiyo, Santoshi kahlai bhaktan vaibhav diyo, Jai Santoshi mata.... Shukravar priya manat, aj divas soha Bhakti mandali chhai, katha sunat mohi, Jai Santoshi mata.... Mandir jag mag jyoti, mangal dhvani chhai, Vinai kare tere balak, charnan sir nai, Jai Santoshi mata.... Bhakti bhavmai puja angikrit kijai, Jo man vasai hamare ichha phal dijai, Jai Santoshi mata.... Dukhi, daridri, rogi, sankat mukti kiye, Bahu dhan dhanya bhare ghar sukh saubhagya diya, Jai Santoshi mata.... Dhyan dharo jan tero manvanchhit phal payo, Puja katha shravan kar ghar anand ayo, Jai Santoshi mata.... Sharan gahe ki, laja rakhiyo Jagdambe, Sankat tu hi nivare, dayamayi Ambe, Jai Santoshi mata.... Santoshi man ki aarti jo koi jan gavai, Riddhi-Siddhi sukh sampati, ji bhar ke pavai, Jai Santoshi mata.... |
Jayati Mahakali jayati, Adya Kali mat, Jai karal vadane jayati, jagat matu vikhyat Jai jai rup Prachandiaka, Mahakalika devi, Jayati jayati Shiv-chandrika, sur nar munijan sevi Jayati jayati Raktasana, Raudramukhi Rudrani, Ari shonit khapair bharani Khadga dharani shuchi panni. Jai jai jai maiya Shri Kali jayati khadga kar khappar vali. Jayati Mahamaya vikr ala Rudra-shakti kalahun ko kala. Man madhu kaitabh ke vadh-hetu pragati shri Hari ke tan se tu. Shyamal gat mat tav sohat Ravi sam chhavi lakhi chavi pati mohat Dashmukh tis nain man bhavan Bhal bal shashi, mukut suhavan. Ko chhavi varani sakai man teri shyam kesh janu ghata sugheri. Ur ari mundamal chhavi chhajat Astra shastra dash hast virajat. Khappar khadg trishul kuthari Gada chakra dhanu shankh sudhari. Ari kar-katan ghanghara rajai Ang-ang suchi bhushan sajai. Rangit rakt dash charan karala jihi vishal rup vikarala. Jabahi attahas man karati Kanpat thar-thar, thar, thar dharti. Adi shakti dhani Jagdhatri Maha pralaya ki adhishthatri. Man tav charan pragat shri Shankar Rasna bahar, vadan bhayankar. Dhani-dhani Kalkate ki Kali Sahasabhuji shri Shivpur vali. Tuhi kali Siya Dashmukh nasyo shri Raghupati pad vijai vilasyo. Jag sukh shanti hetu kalyana karin nUp dharan bidhinana. Tuhin, shri Krishna rup ki Kali Chandrahas murli kar vail. Chaturbhuji tanu ashta bhuji dhari kahun dashbhuj,ashtadashkari. Kahun battis, chausath bhuj dharat kahun sahasra bhuj kari marat. Tun Hari shakti ardh nishi vali Tikshnadant rasna, risi vali. Raktachandika khadga dharani Rudra chandrika khal sanharani Shri satshringi Adya kali kalikhoh nivasani vali. Adi matu tuhin narn shirmali tumhin kansahanani Baitali. Tumhin Bhadrakali Kailasi sada khalan ke raktapyasi. Khach-khach-khach shir kati shatrukar Bhar-bhar-bhar-shomit khappar bhar. Dal-dal-dal-danav bhakshan kar chal-chal chal-khal rakta khalan kar. Gani-gani-gani anikarahu nipata Dhani-dhani-dhani shri kali mata. Yahi ardas das kahan mai Pujahu as tu hou sahai. Paryogadh sankat ab bhari kehi ka maiya aj pukari. chari-chor lagyo mag mohi, karan chahat Raghupati ko drohi. Hai ehi shatrun ka bhupa kam krodh moh iobh sarupa. Inahin dehun yadi anta-pachhari Tabahin milahin bhagvantmurari. Dujo ek arj yah mata todhahu sapadi khalan ke tanta. Jete dushta maha apradhi badkarmi pamar bak vyadhi. Jo nit binu apradh satavat dharma karma shubh hon na pavat. Tinahin matu tu chakija hali bachan putra ki hohi na khali. Puni bani Aindri avahu mata Adbhut shakti dikhavahu mata. Chatpat lehu khalahin sanhari Mori matu jani karahu abari. Bharahu shanti sukh dhan jan dhama ati anand hoi yah grama. Puni-puni vinavahi Sundardasa maiya pur karahu abhilasa. Doha Maha Kalika charit yah, ik prakar ka mantra, sarva kamna puran prati, manahun yantra aru tantra. Kali chalisa padhai, lali chahai ju koi, Kali ari ka nash ho, khali bachan na hoi. Kaii Hari kau teu hain, ari ko nasan har, Hari ko puran shakti hain, karat hetu sanhar. Sorath Yahin sumirat sab as, lahat puran jag narinar, Govat Sundar dis, pavat ati shubh sahaj phal. |
Mahakali
Aarti Prem sahit nit karun aarti, Maha Kalika maiya ki. Ari-daladarni mangal bharani dukhharni sukh- daiyaki, Prem sahit.... Tumhin agambhav bharne vali, tumhin jagat lai karne vali, Tumhin kashtalakhi nij bhaktan par, akar turat sahaiya ki, Prem sahit.... Tumhin prabal ho Hari ki shakti, Raudrabhav Shankar ka bhakti, Tumhin janni patvar bani, ik sevak Sundar naiya ki Prem sahit.... |
Doha Jayati jayati Ambe jayati, yag Gayatri Devi Brahma gyan dharani hrdaya,adi shakti surasevi Jayati jayati Gayatri Amba, katahu kasht na karhu vilamba Tab dhyavat vidhi Vishnu Mahesha, Iahat agam sukh shanti hamesha Tuhi Brahma gyan urdharini, jagtarni magmukti prasarini Jan tan sankat nasani hari harani pishach pret dai tari Mangal modbharni bhajna sani ghat ghaf v~sini buddhi prakasin Puran gyan ratna ki khani, sakal siddhi dani kalyani Shambhu netra niti nirat karaiya, bhavbhai daruha darap haraiya Sarva kam krodhadik maya, mamta matsar moh adaya Again anishthaharan mahashakti sahaj bharati bhaktan urbhakti Om rup kali kalashu vibhanjani bhurbhuvah svah svatah niranjani Shabda ‘tatsa vitu’ hansa savari aru vairanyan Brahmadulari Bhargo-jan tanu kalesh nashavan, prem sahit devasya ju dhyavat Dhamaki-dhir dharat urmahi dhiyo-buddibala vimal suhahin Yonahnit navambhakti prakashan, prachodayatah punj aghanashan Akshar-akshar mahan guna rupa, agam apar sucharit anupa Jo gun shantra na tumharo jana, shabda arth jo sunan nana So nar durlabh as tan pabat, papas gahatan kanakabanavat Javaiagi brahma kripa nahin teri, rahahi tabahilagi gyan ki deri Prakriti Brahma shakti bahuteni, maha ‘vyahriti’ nam ghaneri Om tatva nirgunjag jana, bhuh mahi rup chaturdal mana Bhurvah-bhuvan palan shuchikari svah-aksha solah dal dhari Ta-vidhirupajan palanhari tsa-rasa rup Brahma sukhkari Vi-rachit gandha shishir sanyukta, tu ramit ghat-ghataji-vanmukta Vr-nata shabda su vigrah karan re svasharir tatvayut dharan Nyam-sarvatra supalan karta bhavan bich mud mangal bharta Go-sanyukta gandh abinashi de tan buddhi bachan sukhrasi Va-sat Brahma yugavahu svarupa, sva-tanu lasat shatdal anurupa Dhi-januprakrti shabda nit karan Ma-nit Brahmarupini nitdharan Hi-jahi sarva para Brahma prakanina, dhyo-buddhi balavidya vasina Yo-sarvatra lasat thai jal nidhi, nah nit tej punj jaga vahu vidhi Pra-bala aniikaya nit karan cho-pari purna shri shivdharan Da-man karatiagha pragatini shakti yat-gyan prabishan hari bhakti Jayati-jayati jaya-jaya jagadhatri, jaya-jaya maha mentra ga jatni Tuhi Shriram Radhika Sita tuhi shri Krishna mukhar Sita-Gita Adishakti tuhibhakti Bhavani jagata janani phalabanchit dani Tuhu shri Durga Durganashini uma Rama baikunth vasini Tuhi shri Bhakti Bhairavi dani, tuhi malu Mangala mri dani Jete mantra jagat ke mahin, par Gayatni sam koi nahin Jahi Brahma hatyadik lagai, Gayatrihi japson anghabha gai Dhani ho dhanitrai Iokyavandini, jayaho jayo shni Bhnamanandini Doha Shri Gayatri chalisa, path karai sanand Sahaj tarai patak harai, parai na puni bhava phandi Bas hoi grah Lakshmi, gahi mana vanchhit asa, Asa puran lahi sakal vidhi, virchyo Sundardasa. |
Gayatri
Aarti Arti shri Gayatri ji ki Gyan ko dip aur shraddha ki bati So bhakti hi purti karai jahan ghiki, arti... Manas ki shuchi thal ke upar, Devi ki joti jagai jahniki, arti... Shudhi manorath ke jahan ghanta Bajai karain asahu hi ki, arti... Jake samaksh hamen tihun lok kai, Gaddi milai tabahu lagai phiki arti... Arti prem son nem son kari, Dhyavahin murti Brahma lali ki arti Sankat avai na pas kabau tinhen, Sampada aur sukh ki banai, Iiki, arti OM Bhur-Bhuvah-Svah. Tat savitur varenyam bhargo devasva dhimahi. Dhiyo yo nah pracodayat. 0 Lord, my Being, Becoming and Bliss, May we imbibe in ourselves the choicest effulgence of Thee, the divine Impeller, that He evokes our intellects. |