Ghazals
Betrayal Irony Society Romance
Betrayal A
Fareb de ke saharon ka tazkera na karo
Dubo ke nao kinaron ka tazkera na karo
Abhi to baat khezan se nahin badhi aage
Abas abhi se baharon ka tazkera na karo
Woh baat raat ki thi, ab to raat raat nahi
Sahar mein chand sitaron ka tazkera na karo
Jo saaz toot chuka un ka zikr kya aye dost
Shikasta saaz ke taron ka tazkera na karo
Tumhari kaisi guzarti hai chandni ratein
Shabe faragh ke maron ka tazkera na karo
Khezan ki baat aee tishna khezan ki baat karo
Chaman ke masst nazaron ka tazkera na karo
**********************
Betrayal B
Phoolon ki kahani to aksar aa aa ke sunai logon ne
Kantoon pe guzarti hai kya kya ye baat chupai logon ne
Woh kahete rahe sab sunte rahe un per to nahi hai pabandi
Jab maine hillai apni zaban sau qaid lagayee logon ne
Ho jate bahem do dil mil ker ye baat gawara thi kisko
Mana woh khafa the kutch hamse, kuch aur lagayee logon ne
Us waqt kahan tum soye the itna to batado ab mujh ko
Jab meri muhabbat ki duniya hass hass ke metai logon ne
Ham doob rahe the toofan me kya tum ne nahin yeh dekha tha
Ehsan tumhara kyoon mane kashti to bachaie logon ne
Bad halo parishan khoee hue hum paunche jo un ki mahfil mein
Samjhe yeh koi dewana hai janjeer bardhai logon ne
Ham kaise pahunchte masjid me rukh kaise haram ka kar lete
Jo raah gai butkhane ko woh raah dekhai logon ne
Jis waqt mera ghar jalta tha us waqt ka manzar mat poocho
Lau aur bardhai de ker hawa kab aag bujhaee logon ne
Kya raz tha is me poshida kya baat thi aisi aee tishna
Jab hosh mujhe kuch aane laga maye aur pilayee logon ne
*********************