Home | The Person | Family | Ghazals | Naat | Qataat | Nazam | Audio | Photos | Feedback | School | Mushaira

Nazam

Ehsas-e-Shikast

Ye haseen rut, ye haseen chand sitare qurban

Baadai husn ke sarshar eshare qurban

Jaadai nau pe qadam rakhna sambhal kar aye dost

Tujh pe gulzar mohabbat ke nazare qurban

Jaadai husn wa mohabaat se bhatak mat jana

Yaad Aajaon agar maien to sisak mat jana

Bholna aur bhulana to naee  baat nahin

Raw  mein  jazbat ke ae dost bahak mat jana

Ye haseen phool, chaman aur baharon ka saman

Teri Duniya to hai ab chand sitaro ka jahan

Tu salamat rahe duniya teri aabad rahe

Teri Mehfil mein bata mera guzar ab hai kahan

Pass aana bhi tere chahoon to aaon kaise

Aaa gaee samne deewar giraun kaise

Ab to main tere Guman mein bhi na ayon shayad

Tu  hi kah de mujhe ab tujh ko Bhulaun kaise

Daaman husn ki makhmur hawaien le le

Dhosh per zulf pareshan ki ghataien le le

Husn ke jalwae rangein me sama jaie aye dost

Apne Sar Aaaj Mohabbat ki ghataien le le

Teri Bechain Muhabbat ko sakoon mil jae

Teri Duniya -e-musarrat per Nikhaar ajae

Zulf ki chaon me aram se so jai aye dost

Hai dua meri tere dil ko qarar aajaei

************************

Top