Qataat
Kiss ko arman nahin sur sabz rahoon main lekin
Us ki marzi hai yehi zard bana deta hai
Khudhi karta hai hawaon ko eshara ke chalo tez chalo
Zard kar ke wohi pattoon ko gira deta hai
*****************************
Na poocha zindagi mein Haal jiska
Ab us ka taskira kyon ho raha hai
Bahut be chainyoon mein tha bechara
Hamesha ke liye ab so raha hai
***************************
Be asar faryad meri un ka shikwa baa asar
Tu ne dee un ko hasi aur mujh ko rulata raha
Theri Rahmat ke tasadduq theri bakhshish per nesar
Gul diya auron ko, mujh se khaar chunwata raha
*************************
Maslehat hai yehi phoolon se kinara kar lein
Phoolon ko chord kar kantoon ko gawara ker lein
Rokte kyon ho hamein , waqt ki awaz hae ye
Hai munasib yehi tufan ko sahara ker lein
**************************