Kaise bataayein...aur kisko bataayein...
ki kaisi thi woh muskuraahatein, jinmein zindagi ke ujaale the
kaisi thi woh nigaahein jo is dil ko chhuleti thi
kaisi thi woh khaamoshiyaan... jo kahaaniyaan sunaati thi
kaise the woh haath...
jo ab in haathon mein nahin hain...
Pyaar mein humein kya paaya tha
chhodo yeh sab jaane do
kya samjhaayein kya kaisa tha
jo bhi tha ab jaane do...
pyaar mein humein kya paaya tha
chhodo yeh sab jaane do
kya samjhaayein kya kaisa tha
jo bhi tha ab jaane do...
pyaar mein humein kya paaya tha...
Nazrein sab kehti sunti thi
hum dono chup rehte the....
nazrein sab kehti sunti thi
hum dono chup rehte the
do nazron ka aisa naata
do nazron ka aisa naata
toota tha kab...jaane do...
pyaar mein humein kya paaya tha...
Hum apne man bhed bataate
par tumne kab dhyaan diya...
hum apne man bhed bataate
par tumne kab dhyaan diya
hothon ko humein jab see dala
hothon ko humein jab see dala
aaye ho tab...jaane do...
pyaar mein humein kya paaya tha...
Sannate kehte hain mujhse
jaao jaake so jaao...
Sannate kehte hain mujhse
jaao jaake so jaao
koi nahin hai aane waala
koi nahin hai aane waala
beet gayi shab...jaane do...
Pyaar mein humein kya paaya tha
chhodo yeh sab jaane do
kya samjhaayein kya kaisa tha
jo bhi tha ab jaane do...
...........ab jaane do...
...........ab...jaane do
Other Songs
Lyrics main page...
Sare sapney kahin kho gaye...
Zara zara si baatein...
Sagar se bhi gehri hain...
Jab geet hawaaon ne gaye...
Tu nahin to jaise mere...
Gunj raha hai dil mein...
Saanwli si ik ladki...
What's more
Shaayari Home
Serious Shaayari
Humorous Shaayari
Hindi Shaayari
In English
Own Composed Shaayari
Quotations