
1.Kaun rakhta hai yaad naamo ko,
Log insaan ko bhool jaya karte hain.
tum samundar ke baat karti ho,
Log aankho mein doob jaya karte hai.
2.Jis shaam mere lab par tera naam na aaye,
Khuda kare aisi koi shaam na aaye....
Ae jaane wafa, ye to kabhi mumkin hi na tha,
Ki Afsaana likhu aur tera naam na aaye.
3.Roz TaaroN ki numaa-ish mein khalal padta hai
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai
Unki yaad aayi hai saanso zara aahista chalo
dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai
4.Chiraagon Ki Roshni Jab Zara Hili,
Laga Tumahari Ek Aahat Si Mili
Jaake Dekha Jab Dar Pe,
To Phir Wahi Kafir Hawa Mili
5.Yu Achanak se Aa jaati ho saamne
ki mein kuch bhiKeh Pata Nahi,
kaya Kahu tere husn ke Sajjde mein
ke koi shayer bhi yaad aata nahin.
6.Maana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahein ki tere talab-gaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar daala, mita diya,
Lo ab tumhari raah mein diwaar hum nahi,
Jis ko swaara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahaar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko mohabbat ke naam se,
kaise kahein ki tere gunehgaar hum nahi
7.Mere jeene ke liye tera armaan hi kafi hai
dil ke kalam se likha yeh dastaan hi kafi hai
teer -e- talwaar ki tujhe kia zaroorat -e-nazneen
qatal karne ke liye teri muskan hi kafi hai
8.Mast Nazron se dekh liya hota
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum behosh yu hii ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki
9.Mat Muskurao itna
ke phoolon ko khabar lag jaye,
Ke kare woh tumhari tareef,
Aur tumhe nazar lag jaye.
10.Har baat ka matlab inkaar nahin hota,
Har jagah par baithna intzaar nahin hota,
Yu to milti hain hazzaron se nazrein,
Har nazar ka milna pyaar nahin hota.
