Koomplein Phir
Phoot Ayeen
(the leaves sprout again)
koomplein phir phoot ayeen shaakh per kehna usay
wo na samjha hai, na samjhay ga magar kehna usay
waqt ka toofan her shay baha ker lay gaya
kitni tanha ho gayi hai rehguzar kehna usay
Koomplein Phir Phoot Ayeen...
humsafar ki raah mein tanha safar kartay hoay
aa gaya hai khatm honay ko safar kehna usay
Koomplein Phir Phoot Ayeen...
ris raha ho khoon dil say, lab magar hastay rahein
ker gaya barbaad mujh ko yeh hunar kehna usay
Koomplein Phir Phoot Ayeen...
jis ne zakhmo se mera Shahzad seena bhar diya
muskura ker aaj piyare chaar agar kehna usay
koomplein phir phoot pyeen shaakh per kehna usay
wo na samjha hai, na samjhay ga magar kehna usay
Koomplein Phir Phoot Ayeen...
konpal photna / komplein phoot = sprouting leaf
shaakh = branch
shay, shaey = object, thing
rehguzar = path
ham-safar = companion
ris = leaking/dripping
back to nfak page: Click Here
pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for
anything
roOq Karachiite :)