Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Dar Se
Ilahee Yeh Ghata Do Din To Barse
Faraib-E-Aarzoo Mein Aa Na Jaaon
Na Daikho Tum Mohabbat Ki Nazar Se
//Ilahee Yeh Ghata Do Din To Barse
Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Dar Se
Na Chaire Humnashi Rudaad-E-Maazi
Baras Jain Gay Toofan Chashm-E-Tar Se
//Ilahee Yeh Ghata Do Din To Barse
Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Dar Se
Mere Ghar Aaj Koi Aa Raha Hai
Ilaahee Aasmaan Say Noor Barse
//Ilahee Yeh Ghata Do Din To Barse
Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Dar Se
Sarapa Sher-O-Naghma Mah-O-Bul Ho
Tumhein Daikhe Koi Meri Nazar Se
//Ilahee Yeh Ghata Do Din To Barse
Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Dar Se
Qamar Tum Ko Hum Hee Kuch Jante Hain
Nazar Aate Ho Kaise Motabar Se
//Ilahee Yeh Ghata Do Din To Barse
Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Dar Se.
Ilaahii = God
Faraib = Fraud,Cheat
Aarzo = Derise, Longing
Humnasheen = Companion
Rudaad = Story
Maazi = Past
Sarapa = From Head To Toe, Full Image
Motabar = Reliable
back to nfak page: Click Here
pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)