Shairi's For You....


SHAIRI's

A yaar sun yaari teri,muje zindagi se pyarri hai,
Jawab ek nahi hamaaraa kahin,badi khubsoorat yeh jodi hamaari hai.

Aap jiye qayamatak,Yeh khudasa meri gujarish hogi
Agar woh bhi chaha zindagi kisiki,to aapse pehle nachiz ki hogi.

Dekha tera dosti,dekha tera pyaar,
Ladki kya mil gayi,bhul gaya yaar.

Har phool khushbudar nahi hota,har pathar chamakdaar nahi hota,
Dosti dekh kar karna dost,har dost wafadaar nahi hota.

Zinda hu ish liye kyogi,mujhe tumse pyar hai,
Tum mujse pyar karte ho,sunne ke liya dil bekarar hai.

Pyar ka izahar kar do ab raha nahi jata,
Likh kar hi kar do agar kaha nahi jata.

Ram naam ki jagha par,ratta hai tera naam,
Tera naam ratte-ratte,bhul gaya hoon mein apana naam.

Dil tumhara hai yakinan muskara kar dekhlo,
Ham kaha tak bewafa hai azma ke dekh lo.

Dil aik phool na thaa,kanch ka tukra hota
Todnay walay ko,ik zakhm to ayaa hoto tha.

Marnay ka tere gham mein irada bhi naheen,
Ishq hai itna zyaada bhi naheen.

BEFORE MARRIAGE:
Hum to taj mahal banana chahate the,
Kya kare mumtaaz mili hi nahin.

AFTER MARRIAGE:
Hum to taj mahal banana chahte hain,
Kya kare mumtaaz marti hi nahin.

Shayad mare pyar ko,taste karna bhool gaye,
Dil ko aisa cut kiya,ki paste karna bhool gaye.

Kala chashma lagakar,Aankhe kyon chhupathi ho,
Bachpan mai line diyee,aab kyon sharmati ho.

Tumne dekhae aisa sapne,neend mai humme umar gawaadi,
Ek kami thi taj mahal main,humne tasweer teri lagaadi.

Toofaano ka khauff tha,jab tak kinaron per rahe,
Ab to toofaan hi,hamare vaaste kinaare ho gaye.

Mast nazaron se dekh keena tha,
Agar tamanna thi aazmane ki,
Hum to behosh yun hi ho jaate,
Kya zaroorat thi muskurane ki.

Khudaa jab husn deta hai,
Nazaakat aaa hi jati hai,
Kadam chunn chunn kar rakhti ho,
Kamar balkha hi jaati hai.

Ashq mile to pee leta hain,
Aap kahe to mar jayen hum.
Aap kahe to jee lete hain,
Hum to hain un phoolon jaise,
Jo kantoo main bhi jee lete hai.

Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bhot sataati hai,
Dhoop main chaanw main ghataao main,
Teri soorat ubhar ke aati hai.

Ek khuda mujhe kisi,par phida na kar,
Phida kare to phir,quyamat tak juda na kar.

Mana teri nazar ke kabil nahin hum,
Kadar un se pooch jin he hasil nahin hain hum.

Chanda se hasein hain chandni,chandni se haseen hain raat,
Raat se haseen hain zindagi aur voh zindagi hain aap.

Anjana sa ek chahra kyun jana pechana lagta hai?
Kyun kabhi wo apna,to kabhi begana lagata hai??

Pathar ko bhi pani kar de hum,woh jaan rakhte hai,
Anjaan ko bhi apna bana le hum,woh pechaan rakhte hai.

Ishq ka rog asha ki dawa bhi kam na kare,
Tera pyaar agar mujhe mile,to dawa se bhi bada kam kare.

pather se marati hain talwar mar dijiye
hum yuhin mar jayenge bus ek bar ankh mar dijiye.

Tum ban than kar na niklo ramzan ki chattpar,
Koi apna roza tod dega tumhe chaand samajh kar.

Gul gaya gulsan gaya,gayi honthon ki laali,
Ab to peecha chor de main ho gayi bachahon waali.

Zindagi bhar mein karenga,gustakhi ek baar
YAAR to paidal chalenge,hum janazhe peh sawar.



Ek bar dekhana se attraction hota hain,
Bar bar dekhana se connection hota hain.

Request karta hoon,refuse mat karna,
Dosti ek bulb hain,use off mat karna.

Cham cham karti aawaz aayi,maine socha ladki aayi,
Main mangalsutra, le gaya voh rakhi le aayi.

Phool ko phool pasand, gul ko gul pasand,
Hum ko aap pasand aap ko kaun pasand.

Mehndi rang lati sukhne ke baad,
Teri yaad aati hain door jaane ke baad.

Chirag jalte hain par, Usme tail nahin,
Mujhse takkar lena bacchon ka khel nahin.

Dil bhi tumhara ,jaan bhi tumhari,
Kaho to jaaneman banu lu gharwali.

Dil ne fariyad kiya tumne humko bhula diya,
Agar aisi baat nahin hain to phir tumne phone kyun nahin kiya.

Pyar mein insaan mara nahin karte,
Itni choti si baat pe koi rutha nahin karte.

Chappal bhi maro joota bhi maro,
Duniya main jeena hain to line bhi maro.



Rubie's

mail me your comments at
shashwat_pandey@rediffmail.com
GALIB


The Agony inside me

if i am online u can chat with me


Home  ||  Love Calculator  ||  Fun  ||  Test Your Brain  ||  Shashwat  ||  VLSI   ||  Link Book  ||  girl  ||  missing u?  ||  Shairi's©   ||  friend  ||  images  ||  Cosmos  ||  Rubaiyain  ||  Miss-ss  ||  money  ||  Myself  ||  Your God  ||  My Schooling  ||  Pakistan  ||  Mr Amitabh Bachan  ||  Chemistry of love  ||  Hacker's Lounge   ||  Agony of my heart  ||  Indian National Congress Truth about SRCM

Search my Web site

Search:

search tips sitemap