|
(Contributed
By : Janki Sunal )
1) Chudkanee
Chudkani is a special dish of our region.I remember in my childhood I
use to ask my mother to give me plenty of *bhatt ke dane* in my chudkani.
Ingrediants : Bhatt,Besan ya Aata ,tel ,Pyaj ,Tamatar,namak,masala
Method :
Pahale bhatt ko tel mai bhoon kar (jab tak chatkaney na lagey)
alag se nikal lo. Phir kadhai mai thoda sa besan bhoon lo ( you can skip
this , if you have good amount of pyaj and tamatar paste and want to
make with it only or U can use aata also). Phir Pyaj , tamatar ityadi (U
can add other things according to your taste) ka masala taiyaar
karke usme bhuna besan aur panee dal kar khoob pakao.Bad mai bhune
hue bhatt daal do.phir 5 min aur pakakar nikal lo. serve it with garam
garam bhaat.
2) Kapa
Ingrediants : Palak,Besan ya Aata ,tel ,namak,masala
Method :
Palak ko dhokar bahut patla kaatkar pahle tel mai pakane daal do. Tel
thoda jyada hona chahiye jisse palak bina jale aaram se pak jaye. Jab
palak pak jaye to usee mai thoda sa besan daal kar sath mai bhoon
lo . Phir jab ye achche se bhun jaye to panee daal kar chalate raho
jisse besan ke gole na bane. Haan namak mirch-masale pahale hee
daal dena. Bas ek do ubaal aane ke baad ye ban jayega. Swad key liye
ismey thoda neebu nichoda ja sakta hai. U can serve it with *bhaat* and
roti.
 
|
|
Cuisines Of Kumaun
Kumauni
Eatables
Sngle
, Pua , Bada .Khajoorey
Rus
Chudkani
, Kapa
Gahut Ka Fana
Sana Hua Neebu
Shai aur Raita
|